Top Banner
{We gave the Book, recite it as it should be recited} 121/AlBaqarah {We gave the Book, they (believers) recite it as it should be recited} 121/AlBaqarah VOL-1
32

VOL-1 - Fluent Quran Institute

Apr 28, 2023

Download

Documents

Khang Minh
Welcome message from author
This document is posted to help you gain knowledge. Please leave a comment to let me know what you think about it! Share it to your friends and learn new things together.
Transcript
Page 1: VOL-1 - Fluent Quran Institute

{We gave the Book, recite it as it should be recited}

121/AlBaqarah

{We gave the Book, they (believers) recite it as it should be recited}121/AlBaqarah

VOL-1

Page 2: VOL-1 - Fluent Quran Institute
Page 3: VOL-1 - Fluent Quran Institute

VOLUME-1

TABLE OF CONTENTS Sl. No LESSON Page

1 ILM–AT-TAJWEED 1

2 TILAWAT KE TAREEQEH 3

3 QUR’AN KA TARRUF 4

4 QUR’AN PADHNEY KA AJR 8

5 TILAWAT KE ADAAB 9

6 TA’WWUZ AUR TASMIYA’ 11

7 HUROOF 12

8 ALIF (HAMZAH) KI SIFAAT 13

9 AIRAAB/HARKAAT 14

10 TANVEEN 15

11 MADD-E-HUKMI 16

12 SUKOON/JAZM 17

13 TASHDEED/SHADDAH 18

14 HUROOF-E-MADDAH 19

15 HUROOF-E-LEEN 20

16 HUROOF-E-QAMARI WA-SHAMSI 21

17 HUROOF-E-QALQALAH 22

18 TAFKHEEM AUR TARQEEQ 23

19 AHKAAM RAA’ 26

20 AHKAAM LAAM ISM JALALAH 28

Page 4: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-1

LESSON-1 ILM-AT-TAJWEED

¬ TAJWEED:-

Tajweed ka matlab hai “Behtareen, Umdah ya Haseen Qayem karna”

Har ek harf ko uskey Makhraj aur Sifaat se padhna. Aur us harf ka Haq ada karna.

¬ MAKHRAJ:-

Woh maqaam (Exit point) jahan se Harf nikley usko Makhraj kehtey hain.

Singular=Makhraj Plural=Makharij

¬ HARF:-

Har ek harf ki apni Sifaat hoti hai jo ussey kabhi juda nahi hoti. Us Sifaat ke saath harf

ko padhney se harf ka haq ada hota hai.

¬ SIFAAT:-

Harf ko ada kartey waqt awaaz ka Tez ya Halka hona, badaltey rehta hai. Ye kaifiyat jo

awaaz par taari hoti hai, usko Sifaat kehtey hain.

(Yani Ayaat ke hisaab se Harf ke Sifaat badalte rehtey hain)

¬ TILAWAT:-

Tilawat ka matlab hai “Qur’an padhna”.

Tilawat ko Qiraa’ah (ya Qira’at) bhi kehtey hain.

Tilawah/Tilawat

Qiraa’ah/Qira’at

Page 5: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-2

¬ TILAWAT KAISE KEE JATI HAI?

1) Buland awaaz se jismein poorey Tajweed ke Qawaid ada hon.

2) Khamoshi se lekin qareeb mein baitha hua shaqs sun sakey.

¬ QUR’AN AUR AHADITH:-

Tajweed se Qur’an padhna Farz hai.

Ahadith ke muamley mein mukhtalif rai paayi jati hain.

¬ TAJWEED KA EEJAAD:- (Who is the founder of Tajweed?)

Muhammad - Kyunke Allah ne Qur’an Majeed ko, seedhey Muhammad par

bazariye Wahi aur Jibra’eel se nazil kiya tha.

Aap ne apne Sahabah ko sikhaya, aur Aapne aagey sikhaya. Aur bina koi bhi

Radd-o- Badal ke, Qur’an hum tak chala aya hai.

¬ TAJWEED KI HIKMAT:- (necessity/reason)

1) Tajweed seekhna Farz-e-Kifayah hai. (koi bhi ek shaqs community mein seekh lein toh kafi hai)

2) Tajweed par Amal karna Farz-e-Ain hai.

(har Musalman mard ho ya aurat, sab par Farz hai)

Page 6: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-3

LESSON-2 TILAWAT KE TAREEQEH

¬ TILAWAT KAISE KARNA CHAHIYE?

1. Bohut hi Ahista se. (Makhraj, Tadabbur aur Tajweed ke saath)

2. Bohut hi Tez. (Tajweed aur Sifaat ki adayegi ke saath)

3. Na Ahista na Tez. (Tamaam Qawaid ko dhyan se ada kartey huye)

Ayat 4/Surat-ul-Muzzammil mein Allah ne farmaya hai: -

{Aur Qur’an ko Tehr Tehr kar padha karo}

Hazrat Ali ke mutabiq Tarteel ka matlab hai:

Yani 1) Har Harf ko Tajweed ke saath ada karna

2) Kahan rokna aur kahan nahi rokna uska ilm rakhna

¬ TAJWEED KE QAWAID: -

Allah ke Alfaaz ko mehfooz rakhney ke liye.

Kyunke “Ghair-Arab” (Non-Arabs) Arabi zaban aur Ayaton ke saheeh Talaffuz se anjaan

they, jiski wajeh se bohut ghaltiyan ho rahi thee.

Page 7: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-4

LESSON-3 QUR’AN KA TARRUF

QUR’AN

Qur’an ka matlab: Padhi janey wali Kitab/Mili-Juli/Similar/Combined

(Waqyaat/Pareh)

¬ KYA CHEEZ HAI YE QUR’AN?

Allah ne Surat-Ash-Shua’ra/Ayat 192 se 196 mein farmaya hai:-

{Aur Bila Shak-o-Shubah ye (Qur’an) Rabb-ul-A’lameen ka nazil farmaya hua hai.

Isey Amanatdaar farishta lekar aya hai. Aap ke dil par utra hai.

Taakeh Aap agaah karney walon mein se hojayen. Saaf Arabi zaban mein hai .

Aur pichli kitabon mein bhi iska zikr hai.}

¬ QUR’AN KI EHMIYAT:-

1) Jibra’eel Wahi ke Zariye laye they.

2) Rasool Allah ke dil par utra.

3) Ramadan ki ba-barkat raat (Lail-at-ulQadr) ko nazil hua.

4) Behtreen Shehr (Umm-ul-Qur’a/Makkah) mein utra hai.

5) Behtreen Ummat (Ummat-e-Mohammadiyah/Taa-Qayamat tak) ke liye nazil hua hai.

¬ QUR’AN ARABI MEIN KYUN UTRA?

ü Rasool Allah ke zamaney ki zaban aur samajhney mein asani thi. ü Ek Arabi lafz poora jumlah bayan kardeta hai. ü Sirf Arabi mein padhna hee, Allah ka kalaam kehlayega.

or

--

se hai.

Page 8: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-5

¬ CHUNEY HUYE BANDEY KAUN HOTEY HAIN?

ü Allah waley - Imaan waley - Qur’an waley - Jihad karney waley.

ü Rasool Allah ne farmaya {Tum mein se behtreen

woh log hain jo Qur’an ko seekhtey aur sikhatey hain}

*Ilmi Sata’ par Utmost Struggle karne waley (yani Jihad karne waley)

Apne ghar, bachey-badey, khandan, dost-rishtedar sabko saath letey huye, Qur’an

seekhney ka safar taiy karna bhi ek Jihad hai!

¬ QUR’AN KI HIFAZAT:-

Allah ne Surat-Al-Hijr/Ayat 9 mein farmaya hai:-

{Ham ne hee is Qur’an ko nazil farmaya hai aur Ham hee iske Muhafiz hain} ü Yani Allah ne khud iski hifazat ka zimmah liya hai. ü 1400 saal se koi change nahin kar saka. ü Us waqt ki batein aaj Scientifically bhi prove ho rahi hain. ü Arabi zaban aur Text aaj bhi mehfooz hai. SubhanAllah!

¬ QUR’AN KI TARTEEB (COMPILED/ORDER) KISNE BANAYI?

Jab saara Qur’an nazil hogaya, Jibra’eel ne usko tarteeb ke saath poora karwaya.

Aur aisa do baar hua.

Isse hamein ye pata chalta hai ke Surat-al-Fatihah jo 5th nazil hui 1st Surat kyun hai.

¬ QUR’AN KA NUZOOL KAISE HUA?

ü Qur’an zaroorat ke mutabiq thoda thoda, 23 saal mein Wahi ke zariye nazil hua tha.

ü Makkah mein 13 saal aur Madina mein 10 saal Wahi aati rahi.

ü 86 Suratein Makkah mein aur baqi ke Suratein Madinah mein nazil huin thee.

Page 9: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-6

¬ QUR’AN MEHFOOZ KAISE HUA?

Makkah mein taqreeban 17-log likhna jantey they aur unmein se 12 log Aap ke hukm

ke muntazir rehtey they.

(Hazrat Abu Bakr Siddeeq Hijrat ke waqt bhi saath they)

Sarey Kaatib fauran likhtey aur usko yaad kar letey.

Mard, Aurtein aur bachey bhi Hifz karletey.

¬ QUR’AN PEHLEY SE HI JILD MEIN THA?

Nahi / Jab Aap faut hogaye toh Hazrat Abu Bakr Siddeeq ne Zaid-bin-Sabith ko

hafizah check karney ke liye appoint kiya. Aap Hafizah suntey they aur dobarah

likhtey. Aur phirsey likhey huye ko hafizeh par check kiya jata tha.

(Yani double check kiya gaya doosrey Sahabiyon ke saath)

Hazrat Abu Bakr Siddeeq ke zamane mein Jild Chakor (square) thi jisko Ruba’ kehtey

they.

Original copy ab Hazrat Hafsa ke paas rakhi gayi.

(Umar ki beti aur Aap ki zaujah)

¬ HAZRAT USMAN KA ZAMANA:-

Mus’haf Qur’an toh tha lekin officially copies badey badey shehron mein Hazrat

Usman ne bhijwaya.

Isiliye Aap ko “Jam’ey Qur’an” kehtey hain aur jo Saudi Arab mein jo Mus’haf

follow kartein hain usko “Usmani Mus’haf” kehtey hain.

Page 10: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-7

¬ MUS’HAF?

Likhi hui Wahi Jo ek jagah jama’ keegayi/Pehli Kitab jo 30-Pareh jama’ karkey compile

keegayi thi, baghair koi Tarjumah ya Tafaseer ke.

INDIAN MUS’HAF (Non-Arab Mus’haf)

USMANI MUS’HAF (Arab Mus’haf)

¬ KUCH AUR EHM LOGON KA ZIKR:-

ü Hajjaj-bin-Yusuf:- Zeir, Zabar, Pesh lagwaye.

ü Ibn-e-Muklah:- Khat-e-Koofi (Calligraphy/Khoobsurat likhawat)

*Aur bhi details hain jo InSha’Allah aapko “Introduction to the Understanding of the

Qur’an” mein milengein

(DarulArqam ka Complete Course Qur’an ke Tarruf mein)

*(Checkout DarulArqam Website OR YouTube Channel to view All Lectures)

Page 11: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-8

LESSON-4 QUR’AN PADHNEY KA AJR

¬ AHADITH KI RAUSHNI MEIN:-

¨ Rasool Allah ne farmaya {Ek harf=10 Nekiyan aur =30 Nekiyan} Tirmidhi

¨ Ayesha se riwayat hai, ke Rasool Allah ne farmaya {Jo shaqs Qur’an atak atak kar padhta hai (yani La-ilm/ ya koshish ke bawajood) usko dugna ajr milega aur jo Khoobsoorti ke saath padhta hai usko Farishton ke saath muqam milega} Sahih Bukhari

¨ Rasool Allah ne farmaya {Qur’an haq mein ya phir khilaf gawahi dega} Yani Qayamat ke din Qur’an Gawahi dega aur Sifarish Qubool bhi hogi, uske padhney walon ke haq mein

¨ Aur ye bhi farmaya {Agar koi chahta hai ke woh Allah aur Rasool se mohabbat karey toh woh Mus’haf* padhey}

¨ Rasool Allah ne farmaya {Jis chamdey mein Qur’an bandh hai, woh Jahannam mein nahi jalaya jayega} Yani Hafiz ko aag ka Azaab nahi hoga! SubhanAllah!

¨ Aur ye bhi farmaya {Do cheezon mein hasad (us jaisa banney ki) Ja’ez hai} 1) Qur’an seekh kar din raat padhney waley se. 2) Maldaar se (jo apna maal Allah (swt) ke rastey mein [Fee-Sabilillah] kharch karta ho)

¨ Rasool Allah ne farmaya {Jo log Qur’an padhney ke liye ikhatta hotey hain, Unke atraaf Rehmat Gherleti hai. Farishtey Dua kartey hain, Allah unpar Aman utaarta hai Aur apni mehfilon mein unko yaad karta hai.} *Allah ham sabko Aisa bana dein.

¬ EK AUR HADITH:- ¨ Hazrat Abu Moosa-al-Ash’ari se riwayat hai, Rasool Allah ne farmaya:- {Us MOMIN* ki misaal, Jo Qur’an padhta hai Turanjbeen (citron) ki tarah hai, ke uski khushboo bhi achi aur mazaah bhi acha hai! Aur Us MOMIN* ki misaal Jo Qur'an nahi padhta, Khajoor (dates) ki tarah hai ke uski khushboo nahi lekin uska mazah meetha hai Aur Us MUNAFIQ* ki misaal Jo Qur'an padhta hai us Powdeh (rose etc) ki tarah hai jiski khushboo achi hai Lekin mazah talkh hai Aur Us MUNAFIQ* ki misaal Jo Qur’an nahi padhta, Andraain (colocynth) ki tarah hai jiski Khushboo bhi nahi aur uska Zaiqah bhi kadwa hai} Sahih Bukhari & Sahih Muslim}

~ZATI TAZKIYAH:- In mein se Ham kaun hain?

Page 12: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-9

LESSON-5 TILAWAT KE ADAAB

¬ QUR’AN PADHNEY KE KUCH ADAAB:-

1. Batini Aadaab: -

a) Alfaaz ki asl pehchan karna.

b) Yaqeen karna.

(ke ye alfaaz sirf Allah ke hain aur

kisi bhi Insan ke nahi hain)

c) Dil se Tilawat karna.

d) Tadabbur karna.

(Allah ke alfaaz ka matlab samajhna)

e) Maino ki gehrai samajhna.

f) Zati Tazkiyah karna.

(Allah ke alfaaz mein khud ke liye jo

Hukm miltey hain, unko samajhna aur

unpar Amal karna)

2. Zahiri Adaab: -

a) Jism, jagah aur kapdon ki paaki

karna.

b) Qibleh ki taraf rukh karna

(Masnoon)

c) Jama’i letey waqt Qur’an nahi

padhna.

d) Baat karna ho toh Tilawat rok dena.

e) Ayaat padhtey waqt aajiz hona ya

rona.

f) Tambeeh ki ayaat ko rok kar

Allah ke azaab se panah

maangna.

g) Aur Rehm ki ayaat par ruk kar

Allah ka shukrmand hona.

Page 13: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-10

¬ TILAWAT KO ROKNA KAB FARZ (Obligatory) HOGA?

1) Islami Salam ka jawab deney.

Yani kehney.

2) Cheenk ajaye toh kehkar Allah ka shukr ada karney ke liye.

3) Jab koi Cheenkey aur Alhamdulillah boley, Uskey jawab mein bolney ke liye.

¬ TILAWAT KO ROKNA KAB MASNOON (Optional) HOGA?

Jab Tilawat kartey waqt Azaan hojaye toh Tilawat ko rokna masnoon hai. (Yani chahey toh Tilawat stop karkey Azaan ka jawab dein Ya phir continue karein)

¬ TILAWAT TEZI SE KARNA: -

Tilawat tezi se karna Jae’z nahi. Rasool Allah ne farmaya hai ke {3 din/7 din/ ya 1 mahine mein Qur’an padhkar khatm karna chahiye. Jo 3 din se kam waqt mein padhta hai woh Qur’an ko na samajh sakta hai aur na uska haq ada kar sakta hai} Mafhoom ahadith ka.

¬ JAB QUR’AN KI TILAWAT HO, KYA KARNA CHAHIYE?

Ghaur se sunna aur Tadabbur karna chahiye. Dhyan agar kahin aur hai toh Qur’an ko na padhna aur na sunna chahiye.

¬ SAJDAH-E-TILAWAT: -

Sajdah-e-Tilawat karna Sunnat hai.

Tilawat karne aur Sunney wala fauran Sajdah-e-Tilawat karlein toh behtar.

Page 14: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-11

LESSON-6 TA’WWUZ AUR TASMIYA’

¬ TA’WWUZ/AL-ISTIA’DAH

{Mai Allah ki panah chahti hoon, Shaitan Mardood se}

Jab Tilawat shuru kartey hain toh Ta’wwuz se shuruat kartey hain.

Kyunke Ayat 98/Surat-AnNahl mein Allah ne farmaya hai:-

{Toh jab tum Qur’an padho, Shaitan Mardood se Allah ki panah talab karo}

¨ Ta’wwuz padhna Sunnat hai.

¬ TASMIYA’/AL-BASMALAH

{Shuru karti hoon Mai Allah ke naam se}.

Jab Tilawat shuru kartey hain toh Ta’wwuz ke baad Tasmiya padhtey hain.

Tasmiya’ Sirf Surat-al-Fatihah ka hissa (1st Ayat) hai. Isliye usko padhna Zaroori hai.

Baqi ke Suraton mein Tasmiya’a likha hai, jisko padhna Masnoon/Afzal hai, lekin Farz

nahi hai.

~Siwaye Surat-at-Tawbah ke baqi sab Suraton mein Tasmiya’ hai.

Ayat 1/AtTawbah

¬ TASMIYA’ KYUN NAHI HAI IS SURAT MEIN?

1) Allah ke “hukm/order se shuru hota hai “Mushrikeen ke saath Jihad karo!” 2) Rasool Allah ne aisa hi farmaya hai.

Page 15: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-12

LESSON-7 HUROOF

¬ TOTAL HUROOF-E-TEHEJJI 29 HAIN: - ا ب ت ث ج ح خ

Kha Ha Jeem Sa Ta Ba Alif

د ذ ر ز س شSheen Seen Za Raa Zaal Daal

ص ض ط ظ ع غGhain Ain Za Tha Daad Saad

ف ق ك ل م نNoon Meem Laam Kaaf Qaaf Fa

و ه ء ىYa Hamzah Haa Waw

¬ HUROOF KE MAKHARIJ: -

Page 16: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-13

LESSON-8 ALIF (HAMZAH) KI SIFAAT

Jab Alif kisi word ke start mein aata hai toh shiddat se padhtey hain.

Eg:

Jab Alif kisi word ke middle ya last mein aata hai toh narmi se padhtey hain.

Eg:

Jab Alif par zabar, Zeir, Pesh ya Jazm ho toh woh Hamzah kehlata hai.

Eg:

¬ ALIF (HAMZAH) KI MISALEIN: -

Page 17: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-14

LESSON-9 AIRAAB/HARKAAT

¬ Zabar, Zeir aur Pesh ko Harkaat kehtey hain. Inko jald padhein thoda bhi na

kheenchey.

Fathah (yani Zabar ) koi bhi harf ke upar aye toh harf ko Maftooh kehtey hain.

Kasrah (yani Zeir ) koi bhi harf ke neechey aye toh harf ko Maksoor kehtey hain.

Dammah (yani Pesh ) koi bhi harf ke upar aye toh harf ko Madmoom kehtey hain.

Page 18: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-15

LESSON-10 TANVEEN

Fathathain (yani Do Zabar ) Ye koi bhi harf ke upar aye toh harf ko Mansoob kehtey hain.

Kasratain (yani Do Zeir ) Ye koi bhi harf ke neechey aye toh harf ko Majroor kehtey hain.

Dammatain (yani Do Pesh ) Ye koi bhi harf ke upar aye toh harf ko Marfooh kehtey hain.

¬ TANVEEN KI MISALEIN:-

Page 19: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-16

LESSON-11 MADD-E-HUKMI

¬ Non-Arab Mus’haf key hisaab sey:-

Khada Zabar (jaisey - ) Ye koi bhi harf ke upar aaye toh Madd-e-Hukmi kehlata hai. Khada Zeir (jaisey - ) Ye koi bhi harf ke neechey aaye toh Madd-e-Hukmi kehlata hai. Ulta Pesh (jaisey - ) Ye koi bhi harf ke upar aaye toh Madd-e-Hukmi kehlata hai.

Note: Khada Zabar, Khada Zeir aur Ulta Pesh ko “ek Alif ke barabar/2 counts” kheinch kar padhty hain ¬ Arab Mus’haf key hisaab sey Madd-e-Hukmi ke Qawaid:- 1. Chota Alif jab ek Fathah ke sath laga ho toh woh Alif Sagheerah kehlata hai. 2. Chota Yaa’ jab ek Kasrah ke sath laga ho toh woh Yaa’ Sagheerah kehlata hai. 3. Chota Waw jab ek Dammah ke sath laga ho toh woh Waw Sagheerah kehlata hai.

¬ MISALEIN: -

Alif Sagheerah. Ex:-

Yaa’ Sagheerah. Ex:-

Waw Sagheerah. Ex:-

Page 20: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-17

LESSON-12 SUKOON/JAZM

¨ Sukoon (yani Jazm ) - Ye koi bhi harf ke upar aaye toh harf ko Sakin kehtey hain. ¨ Jis harf par Jazm ya sukoon ho isey pichley harf se milakar padhengey.

¬ SUKOON KI MISALEIN:-

Note:- Hamzah par Sukoon ho toh halka sa jhatka dekar padhengey.

Page 21: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-18

LESSON-13 TASHDEED/SHADDAH

¨ Shaddah (Shaddh/Tashdeed )-Ye koi bhi Huroof ke upar aaye toh harf ko Mushaddad kehtey hain.

¨ Jis harf par Tashdeed ho usko do baar padhtey hain, ek bar pichley harf se milakar aur

ek baar khud se.

Note: Meem mushaddad (ّم ) aur Noon mushaddad (ّن ) mein hamesha ghunnah hoga. Aawaz ko naak mein thodi der rokna Ghunnah kehlata hai.

- :KI MISALEIN ( ّن) AUR ( ّم)

SHADDAH KI MISALEIN:-

Eg:

Eg:

Page 22: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-19

LESSON-14 HUROOF-E-MADDAH

Madd ka matlab hai “Zayed/Extra” (Yani Huroof-e-Madd ko zyada harkaat dekar khenchna)

Waw Maddah-Waw Sakin se pehley harf-e-Madmoom (Yani Pesh) ho.

Alif Maddah-Alif se pehley harf-e-Maftoo’ (Yani Zabar) ho.

Yaa’ Maddah-Yaa’ Sakin se pehley harf-e-Maksoor (Yani Zeir) ho.

Note: In teeno ko Huroof-e-Maddah, Madd-e-Asli, Shart-e-Madd ya Huroof-e-illat bhi

kehtey hain.

¬ MADD KI MISALEIN:-

Eg:

Eg:

Eg:

Eg: Teenon Madd ek saath:-

Page 23: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-20

LESSON-15 HUROOF-E-LEEN

¨ Narmi se padhey jaaney waaley huroof ko Leen ya Layyanah kehtey hain.

¨ Waw Sakin ( ْو ) aur Ya Sakin ( ْي ) se pehley Maftooh ( ـَــ ) yani Zabar ho toh ye Harf-

e-Leen hoga.

¨ Isko narmi se padhengey.

¬ LEEN KI MISALEIN:-

Eg:

Page 24: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-21

LESSON-16 HUROOF-E-QAMARI WA SHAMSI

LAAM TA’REEF (Alif-Laam - لا ) / THE DEFINITE ARTICLE

¬ IZHAR QAMARIYAH:-

Alif Laam jab Ism (yani Noun) se pehley aye jo in 14 huroof se shuru ho tab Laam Sakinah ka Izhar kiya jayega.

Huroof-e-Qamari (The Moon Letters)

*Laam Sakinah ka Izhar karney ki Wajeh:- In 14 huroof ke Makhraj aur Laam ka Makhraj door hai.

*Izhar Qamariyah ki pehchan:- Ism se pehley waley Laam ke upar Sukoon hoga. Yani Laam Sakinah hoga aur Laam ko padhengey. Qamari Harf par harkat hogi.

Eg:

¬ IDGHAM SHAMSIYAH:-

Alif Laam jab Ism (yani Noun) se pehley aaye jo in 14 huroof se shuru ho tab Laam Sakinah ka Idgham kiya jayega.

Huroof-e-Shamsi (The Sun Letters)

*Laam Sakinah ka Idgham karney ki Wajeh:- In 14 huroof ke Makhraj aur Laam ka Makhraj qareeb hai.

*Idgham Shamsiyah ki pehchan:- Ism se pehley waley Laam ke upar kuch nahi hoga. Yani Ism jis harf se shuru hota hai us Shamsi harf par Shaddah hoga. Pichley lafz se milayengey isliye Alif aur Laam donon nahi padhengey.

Eg:

Page 25: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-22

LESSON-17 HUROOF-E-QALQALAH

Huroof-e-Qalqalah 5 hain: Jinka majmua’ hai:

Jab in 5-Huroof par Jazm (ya Sukoon) ho toh inkey Makhraj takkar (echo) khakar alag hojatey hain, jisko Qalqalah kehtey hain.

¬ QALQALAH KI IQSAAM:-

1. Qalqalah Sughra/Weak Echo:- Jab Huroof-e-Qalqalah par Asli Sukoon (ya Jazm) ho toh inko Weak (halka) Qalqalah karengey. (Weak kyunke Asli Sukoon harf ke beech ya phir Akhir mein hoga)

Eg:

2. Qalqalah Kubra/Strong Echo:- Jab Huroof-e-Qalqalah par Aridh Sukoon (ya Jazm) dala jayega toh inko Strong Qalqalah karengey. (Strong kyunke Aridh Sukoon hoga, sirf rokney ki soorat mein)

Eg: 3. Qalqalah Akbar/ Greatest or Strongest Echo:- Jab Huroof-e-Qalqalah par Shaddah ho toh inko Strongest Qalqalah karengey. (Strongest kyunke Asli aur Aridh Sukoon, donon ek saath hongey, rokney ki soorat mein) (Yani sirf rokney ki soorat mein Asli + Aridh Sukoon donon hongey)

Eg:

*Note:- Qur’an mein Thaa/ ط ke saath shaddah maujood nahi hai!

Page 26: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-23

LESSON-18 TAFKHEEM AUR TARQEEQ

I. TAFKHEEM ka matlab hai “Harf ko Pur (mota) padhna”. Jo Harf pur padha jaye us

harf ko “Mufakham” kehtey hain.

HEAVY LETTERS

(Mufakham Huroof) 7 Huroof

خ ص ض غ ط ق ظ

Motey padhey jatey hain.

Jinka majmua hai:

Ithbaaq

Ye Huroof hamesha motey (strong) padhey ص ض ط ظ

jatey hain.

Isti’alaa

Ye Huroof bhi motey خ ص ض غ ط ق ظ

(strong) padhey jatey hain lekin Harf ki Sifat ke hisab se strong ya weak hongey.

Page 27: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-24

¬ Tafkheem ke paanch levels hain:- Examples

1. Huroof-e-Isti’alaa par Fathah ho aur uske baad Alif Madd ho.

2. Huroof-e-Isti’alaa par Fathah ho.

3. Huroof-e-Isti’alaa par Dammah ho.

4. Huroof-e-Isti’alaa par Sukoon ho aur….

a) ….usse pehley Fatha ho

b) ….usse pehley Dammah ho

c) ….usse pehley Kasrah ho

5. Huroof-e-Isti’alaa par Kasrah ho. Ye sabse weak hoga.

Page 28: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-25

II. TARQEEQ ka matlab hai “Harf ko bareek padhna” Jo Harf bareek padha jaye usko

“Muraqqaq” kehtey hain.

LIGHT LETTERS

(Muraqqaq Huroof)

Baqi ke 19 Huroof bareek padhey jatey hain.

Ye Huroof hamesha bareek hongey. Siwai Alif, Laam aur Raa’ ke.

{AL-INFITAH=19 Huroof jo hamesha Muraqqaq hotey hain}

{AL-ISTIFAL=22 Huroof jo Muraqqaq hotey hain/Lekin usmein se 3 huroof hain

jo kabhi bareek ya kabhi motey padhey jatey hain}

¬ 3-Huroof jo kabhi bareek ya kabhi motey padhey jatey hain:-

Examples

1. Alif=Agar Huroof Tafkheem ke saath ho toh Alif Tafkheem hoga

2. Alif=agar Huroof Tarqeeq ke saath ho toh Alif Tarqeeq hoga

3. Laam=Laam Ism Jalalah ke lesson mein padhengey.

4. Raa’=Raa’ ke lesson mein padhengey.

Page 29: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-26

LESSON-19 AHKAAM RAA’

I. RAA’ MUFAKHAM (Yani Mota)

¬ Raa’ Mufakham ke panch levels hain:- Examples

1. Raa’ Maftooh (Zabar) ya Madmoom (Pesh) ho

2. Raa’ Saakin ho aur….

a) ….usse pehley Maftooh (Zabar) ya Madmoom (Pesh) ho b) ….usse pehley Harf-e-Saakin ho aur usse Pehley Maftooh

(Zabar) ya Madmoom (Pesh) ho

c) ….usse pehley Asli Kasrah ho aur Raa’ Saakin ke baad

Huroof-e-Musta’liaa ho

d) ….usse pehley Aridh Kasrah ho

II. RAA’ MURAQQAQ (Yani Bareek)

¬ Raa’ Muraqqaq ke chaar levels hain:- Examples

1. Raa’ Maksoor (Zeir) ho

2. Raa’ Saakin ho aur….

a) ….usse pehley Kasrah ho

b) ….usse pehley Ya Saakin (ْي ) ho

c) ….usse pehley Harf-e-Saakin ho aur usse pehley Kasrah ho

Page 30: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-27

¬ Exceptions for Raa’ (Yani Mustasniyat/Choot hoti hai)

Lafz aur ki Raa’ ko Mufakham aur Muraqqaq har do tarah se padh saktey

hain lekin Muraqqaq padhna ulaa (sabse pehley) hai; Albatta ki Raa’ ko Mufakham

padha jayega

*Recommended:- 21 Ayat/Surah Naba’- mein Raa’ ke Qawaid miltey hain. Practice.

Page 31: VOL-1 - Fluent Quran Institute

http://www.livequraneverymoment.org

Page-28

LESSON-20 AHKAM LAAM ISM JALALAH

{Laam Ism Jalalah (Lafz Allah ka Laam)

Mota padha jata hai jab uspar Fathah ya Dammah hota hai.}

¬ Laam Ism Jalalah, lafz Allah ke laam ko kehtey hain. Jiske padhney ke do

Ahkaam hain.

1. MUFAKHAM (yani Mota padhna)

2. MURAQQAQ (yani Bareek padhna)

v Mufakham =Allah ke laam se pehley harf-e- Maftooh (Zabar) ya harf-e-Madmoom (Pesh) ho toh Laam Mufakham (mota) padha jayega.

Eg:

v Muraqqaq =Allah ke laam se pehley harf-e-Maksoor (Zeir) ho toh Laam Muraqqaq (bareek) padha jayega.

Eg:

Page 32: VOL-1 - Fluent Quran Institute