Bismillah Hir Rahmaan Nir Raheem Vaqia' Jamal aur afsaana Jamal, Tamhid: Har qism ki ta'reef, hamd va sanaa Allah ta'aa'laa ke li'ey zebaa va sazaavaar hai jis ne 'alam-e-insaaniat ki falah ki liye apne aakhri Nabi (saw) ke zariye aur tosat se apne qavaanein ko insaanon tak pohnchaaya aur apne aakhri Rasool va Nabi (sw ke zari'e hi in qavaanein ko masaali taur par naafiz frmaayaa. In qavaanein mein aik qaanoon qanoon-e-qisaas hai. Ye qaanoon aisaa 'azeem al-shaan hai ke is ke zariye' amane 'alam barqaraar rehtaa hai. Is qaanoon ke zaria' insaanon ki jaanein, in ki aabruyein aur in ki jildein mahfooz rehtein hain aur in ke maal bhi mehfooz rehtey hain. Agar is qaanoon ko naafiz na kiyaa jaa'ey to dunyaa "zaharalfasaadu filbarri valbahri" ka naqsha pesh karti hai na kisi ki jaan mahfooz rehti hai aur na kisi ki aabru, zulm va tashadud ka baazaar garam hojaataa hai aur dunyaa museebat kada ban jaati hai.
Welcome message from author
This document is posted to help you gain knowledge. Please leave a comment to let me know what you think about it! Share it to your friends and learn new things together.