Top Banner
1. Is kuche men nahin ab nishan koi mere yaar ka, Kaho, kab janaza utha tha yahan se bahaar ka, Wo ulfat ke qaail hi nahin, jo yeh na samjhen, Naazuk hota hai dil bahot, dil na dukhana dildaar ka, Maidan e jung bhi kya khel hai nirala, dekho, Hafize men koi suraagh nahin girte sawaar ka, Banti nazar aati hai sirf garam baazar yeh duniya, Koi to batao kya hoga aapasi sar o kar ka, Na hui aashnayi gar tanhai se teri, Ai aalim, kya hoga phir tere afkaar ka, Aate raho, ai nafas, musalsal ho ravani, Kya hoga varna kaho, 'sahil' ke kaarobaar ka. 2. Tukhm e taskeen men pareshani kyon, Yaqin ke pehlu men hairaani kyon, Jab zehr pilaati hai tu, ai zeest, Phir peeri men bata jawani kyon. 3. Nazar aata hai saraab to usi ki jaanib chalta chal, Na sahi haqeeqat dil men uski umeed to hai, Kal kya tha aur kal kya hoga, pareshan hota hai kyon, Nahin hai kuch manane ko kam az kam eid to hai,
139

ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

May 27, 2018

Download

Documents

hanguyet
Welcome message from author
This document is posted to help you gain knowledge. Please leave a comment to let me know what you think about it! Share it to your friends and learn new things together.
Transcript
Page 1: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

1.

Is kuche men nahin ab nishan koi mere yaar ka, Kaho, kab janaza utha tha yahan se bahaar ka,

Wo ulfat ke qaail hi nahin, jo yeh na samjhen, Naazuk hota hai dil bahot, dil na dukhana dildaar ka,

Maidan e jung bhi kya khel hai nirala, dekho, Hafize men koi suraagh nahin girte sawaar ka,

Banti nazar aati hai sirf garam baazar yeh duniya, Koi to batao kya hoga aapasi sar o kar ka,

Na hui aashnayi gar tanhai se teri,Ai aalim, kya hoga phir tere afkaar ka,

Aate raho, ai nafas, musalsal ho ravani, Kya hoga varna kaho, 'sahil' ke kaarobaar ka.

2.

Tukhm e taskeen men pareshani kyon,Yaqin ke pehlu men hairaani kyon,Jab zehr pilaati hai tu, ai zeest,Phir peeri men bata jawani kyon.

3.Nazar aata hai saraab to usi ki jaanib chalta chal,Na sahi haqeeqat dil men uski umeed to hai,

Kal kya tha aur kal kya hoga, pareshan hota hai kyon,Nahin hai kuch manane ko kam az kam eid to hai,

Kabhi humsafar they sanam, hum nawa bhi they,Na sahi us tarannum men, yaad wo nasheed to hai,

Page 2: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Kaasa uski sarwat hai faqir hai uska naam,Shaikh wo saail kum nahin , jiska ek mureed to hai,

Gunah se apne aagah hun 'Sahil' main zurur,Dil men lekin har dum pukhta, hai kalaam e majeed.

Page 3: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

4.

Chal chalen khet men 'Sahil' dekhen kya boya hai tu ne, Waqt per na seench kar dekhen kya khoya hai tu ne ,

Bharam tera gulshan men hai, ruswa tu hai nahin,Gar daagh tere daaman per na they , daaman kyon dhoya tu ne,

Sada lauh aur saadagi jab yehi hai pechaan teri,Mahal bana kar ghar ko apne zar se kyon sajoya tu ne,

Maana tu mukhlis hai sab ka, raqib aur ghair kya,Per baar kyon auron ka apne, kaandhon per dhoya hai tu ne,

Zaalim hai yeh dunya 'Sahil' khuftah hi main raazi tha,Kyon kia bedaar mujhko, kyon na chhorda soya tu ne.

5.Na yaqin chahiye na gumaan chahiye,Mujhe to saatwaan aasmaan chahiye,

Kya karunga main le kar nakhuda tumhara,Kashti ko meri baadbaan chahiye

Kab kaha hai main ne raah hamwaar ho,Bas navazish ho ya rab, zeest aasaan chahiye,

Nasheb O faraaz khub samajhta hun main,Per waqt to khudaya meharbaan chahiye,

Mahabat ko yaro mahabat chahiye,Na dil chahiye na jaan chahiye,

Sabhi ko dosto wisaal chahiye

Page 4: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Sumundur ko bhi darya rawaan chahiye

Hairan hai wo dekh kar tujhe,Ke hayat ko bhi 'Sahil' dil jawaan chahiye.

Page 5: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

6.Kyon

Kyon nahinKya kyon ke baghairZindagi nahin,SukunSukun nahinKya sukun ke baghair zindagi nahin,

AziatDushwaariQisse hain zindagi ke,SubhShaamHisse hain zindagi ke,

Sawaal JawaabKhalal hain zahn ke,Kh-moshiTaskeenFarzaanagi dahn ki,

ShakGumaanVahm har qadam per,Yaqin rakho tum Rab ke karam per.

Darya ki ravaani lab e darya dekhi,Bas, rukey na 'Sahil', kabhi ravani teri.

Page 6: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

7.

Nazar aata hai saraab to usi ki jaanib chalta chal,Na sahi haqeeqat dil men uski umeed to hai,

Kal kya tha aur kal kya hoga, pareshan hota hai kyonNahin hai kuch manane ko kam az kam eid to hai,

Kabhi humsafar they ai sanam, hum nawa bhi they,Na sahi us tarannum men yaad , wo nashid to hai,

Kaasa uski sarwat hai, faqir hai uska naam,Shaikh wo saail kum nahin, jiska ek mureed to hai

Gunah se apne aagah hun, ai 'Sahil', main zurur,Dil men lekin har dum pukhta, kalaam e majeed to hai

9.

Jo zamin per na bana sakey apna yaar koi,Chalen hain falak per banane naqsh o nigaar koi,

Qabul hai aziat jab hukm hai tera , lekin,Hausile se zyada na dena khudaya aazaar koi,

Jab dekhte hain jahan men iman ko bhi bikteNa dikhao tum hamen garmiye bazaar koi,

Jisey deho hai mahv munafaqat men aaj,Kyon nahin hai sadaqat ke ghode per sawaar koi,

Samjhe they badlenge log aqdaar apne,Aate nahin nazar hamen is baat ke aasar koi,

Page 7: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Aulaad, aulaad hai 'Sahil',daraad na aaye koi,Na samjha shajar ne latakte samar to baar ko

Page 8: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Nahin jinhen koi qadr hamari,Khush rahen 'Sahil' hai dua hamari.

10.

Gar mai e naab mil jaaye to sharab ka kya karen,Lagi ho gar bhookh to aab ka kya karen,

Dagmate qadam hain per dil hai jawaan,Phir sitaron ka bhala hisaab kya karen,

Baar uthana hai hum hi ko waqt ka apna,Kya batoren ab saamaan, asbaab ka kya karen,

Na shak na gumaan, pukhta hai imaan,Per, kaho arzu e sawaab ka kya karen,

Har su hai aandhi biyaban men nasheman,Ab tumhi kaho gulaab ka kya karen,

Chalo bhula dete hain 'Sahil', Lahore ki wo galian,Per koi yeh to bataye, tassavur e chenaab ka kya karen.

Page 9: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

11. Zindagi bata tera payaam kya hai,Khub jaante hain hum tera anjaam kya hai,

Wafaat hai jab muqqadar tera,Tu hi bata yeh khayal e dawaam kya hai,

Jab mahabat, dosti wabastagi hai zeest,Samjhaye phir koi jazba e inteqaam kya hai,

Neki ka dastur subhan allah,Koi yeh to bataye inaam kya hai,

Nasha nasha hai mai ke aalam men,Surahi ke aage yeah jaam kya hai,

Maula ki riza bin nahin hilta hai patta,Phir yeh bata vaaiz haraam kya hai,

Sajde karta hai tu aur yaad khuda ko,Ai insaan phir bandon ko salaam kya hai,

Takhallus hai 'Sahila' yeh jaante hain hum,Yeh to bata dost tera maqaam kya hai.

Page 10: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

12. Tu kya kashti chalayegaMallah to koi aur hi hai,Kya baqa aur kya qazaZeest to bas ik daur hi hai.

Jisey kehte ho tum khizaan yaro,Wo bhi baharon ki muntazir hai,Jis dil men basti hai kiran umeed kiWoh zakhmi hi to mera jigar hai

13.Maa Ki Mamta

Yaad aayi jab bhi maa kiJee bhar kar hum bhi roye,Neend jab aayi udti udtiHaule haule hum bhi soye.

Ma ki mamta anokhi haiJaisi bhi ho , ma hi hai,Gudda gudiya hum sab uskeHumko khil khil hansati hai.

Daant dapat kar suna kar lori,Pariyon se wo milati hai,Jeena mushkil unke bin haiYaad uski bhi satati hai.

Sun lo bhaiya baat hamariMa ki mamta anokhi hai,Rus bhi jaayen phir bhi toWohi hamen manaati hai.

Page 11: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Maa ki mamta anokhi hai Rusne walo yaad rahe,Pee jaati hai ansoo apneDukh apne wo jhelti hai,Maa ki mamta anokhi hai.

Jab jab yaad aayi mujhe ma ki 'Sahil', mushkil se main soya hun,Yaad men teri main ne, MaaApna jeewan bitaya hai.

14.

Kar fana ghurur zahan se,Dekh kya moti milte hain,Kitna bada hai shajar tujhse,Phir bhi, patte haule haule hiltey hain.

Ki jo neend haraam kisi ki Milegi phir maafi nahin,Dukh na dena tu kisi ko Ke 'sorry' kehna kaafi nahin.

Pand na de 'Sahil' tu Jo kehta hai kar ke deekha,Chhord dunya ko haal per apneDunya ko tu mat seekha.

15.

Phadphadaati jaan tu ud ja,Zamin se aasmaan , tu ud ja,

Page 12: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Raah taaban karenge taare,Ab chhord yeh jahan, tu ud ja,

Naayaab hai khayal , meri jaanKar fana yeh majaaz armaan, tu ud ja,

Muqaddas hai bulandi us baargaah ki,Rehta hai jismen la makaan, tu ud ja,

Page 13: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

'Sahil', har rooh hai mehmaan yahan,Ai phadphadati jaan , tu ud ja.

16.

Wo jo kal na jaane kis ke sahare they,Aaj zamin per bikhare wo kal ke sitare they,

Unki aahen, wo ansoo, aankhon ki nami, Wo armaan ai 'sahil' kya wo bhi tumhare they,

Na puchhna us se jiska thama ho haath,Gehra kitna tha paani, dur kitne kinare they,

Wo bhi kya ghazab ke nazare they, logo,Barasti thi falak se shabnam, jab zamin pe angaarey they,

Baat to thi un girte sitaron ki 'sahil',Kya tu ne yeh na socha, shayad wo qismat ke maare they.,

Neend nahin aati yaro koi darmaan to batao,Ab kahan se laaun us maa ki god, wo shab, jo mere gehwaarey they.

17.

Kya hua hai 'Sahil' is zamane ko aajBhule hain log maazi aur fasane ko aaj,

Kis qadar be hiss hain log, dekhiyeKoi patthar bhi nahin maarta deewane ko aaj,

Masruf hai jaane yeh insan kahan, shughal iska kya,Fursat jisey nahin hai soney ki na sulane ki aaj,

Mujhe mere haal pe chhordo main deewana hun,

Page 14: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Yeh fikr e daroon bahot hai dil ke behlane ko aaj,

Ud gaye qafas se mere sab parinde ab,Nahin hai koi bacha 'Sahil', paas bulane ko aaj.

Page 15: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

18.

Khamosh kyon hai ai dil kuch baat kar,Gar sawaal hain tere to sawalaat kar,

Dekh li hai teri raushani, ai aftaab, hum ne,Muntazir hain khwabon ke, ab raat kar,

Maghfirat, jannat, arsh e bareen o mojize,Aaj eid hai vaaiz koi nayi baat kar,

Majbur ho jayen aane per farishte,'Sahil', tu paida aise kuch haalaat kar,

Khuftah mat reh dost uth jaag zara,Subh ki baang ke maalik se mulaqaat kar.

19.

Baat asl kar vaaiz nahin sun ni hai dastaan, Haqeeqat hain sitaare baaten karni hain aasaan,

Kya khwahishon ka hona fitrat nahin hai, Bata kahan tak dafnaye inhen yeh insan,

Khanabadosh hun main aaj, ai mir e kaarwaan, Le jaaun kahan khud ko main aur kahan yeh saamaan,

Kis kis ka karen shukria ada hum dosto,Jab thaam lia raah men hum ne mila jo daamaan,

'Sahil', khush rahen kis tarah dekh kar jahan ko, Ro raha hai chaman aaj ro raha hai aasmaan.

Page 16: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

20.

lamhe ki ek zindagi haiPinhaan usi men bandagi hai,

Waqt ko dijiye aap pur ehtiraam,Usi men aapki farzaangi hai

Khuzu men hi teri aala haiAi bande, khushu men hi mardaangi hai,

Is rukti ka ghari ka kya karun,Waqt men hi to ravaangi hai,

Main rahun na rahun koi baat nahin,Ibadat hi meri deewaangi hai,

'Sahil', mat suna mujhe daastaan tu apni Khamoshi men hi bulandgi hai,

Kar le parastish maula ki dostUsi men teri tawaangi hai.

21.

'Sahil' kabhi zabt tha mera aisa mai o jaam per, Ke hanste tha main kabhi dil e na kaam per,

Gharq aisa tha main teri ibadat men maula, Ke yaqin na hua kabhi ehsaas e dawaam per,

Parvaaz is qadr thi ruswayi ki jaanan,Ke gumaan hua mujhe, tere sar e baam per,

Saada lauh rahi aisi tabiyat meri,Ke iman na raha mera harf e gulfaam per, Dil de kar main raha bahot pasheman, 'sahil',

Page 17: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Ke dil dia us ne to bas mere naam per.

22.

Zamane huay hain , 'sahil' zara soch,Guftagu dil se kiye huay, zara soch,

Sogwaar hai kyon kuch to bata, ai shaair,Armaan kis ke kab kaamil huay hain, zara soch,

Har haal men tujhe khush rehna hai, dost,Ke mehfil men aaj adu bhi shaamil huay hain,

Munafiq hai jahan, doghle ho gaye hain log, Ehsan faramosh aur zaalim huay hain,

Hum kya karenge yaar ghar tere aa kar,Tujh se to tere apne bhi, be dil huay hain,

Kin faraaiz ki zikr ho raha hai,Zimmedari se to apni log ghafil huay hain.

23.

''Zindagi kya hai anasir men zuhar e tarteeb,Maut kya hai inhin ajza ka pareshan hona",

Nahin hoti naseeb shikebayi sab ko,Ai darya , muqqadar hai tera rawaan hona,

Sun le 'sahil', maqsad-e-dua kya haiTeri mushkilon ka bas aasaan hona,

Ai farishta e ajal kaash tu bhi samjhe,Laazim hai jazba e javidaan hona,

Aarzu ka hona jibilli hai 'sahil',Hayat ki maahyat hai armaan hona,

Page 18: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

24.

Muddat hui hai 'sahil', zara soch,Guftagu dil se kiye huay, zara soch,

Sogwaar hai kyon bata, ai shaair,Armaan kis ke kab kaamil huay hain, zara soch,

Rehna hai tujhe har haal men khush baash, Ke mehfil men adu bhi shaamil huay hain zara soch,

Munafiq hai jahan, log do ru ban gaye hain, Ehsan faramosh aur zaalim huay hain, zara soch,

Zamana badla hai aaj dekho kaise,Jo they kabhi baladast kaahil huay hain, zara soch,

Hum kya karenge munkir ghar aa kar tere, Tujh se to tere apne bhi be dil huay hain, zara soch,

'Sahil', kyon faraaiz ki baat karta hai tu,Zimmedari se apni log ghafil huay hain, zara soch.

25.

'Sahil', mat suna mujhe daastaan tu apni, Ke khamoshi men hi bulandagi hai,

Har lamhe ki ek zindagi haiAur pinhaan usi men bandagi hai,

Waqt ko dijiye aap pur ehtiraam,Ke usi men aapki farzaanagi hai

Khuzu men hi teri alaa haiAi bande, khushu men hi mardaangi hai,

Page 19: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Is rukti ka ghari ka kya karun kaho,Waqt men hi to ravaangi hai,

Main rahun na rahun koi baat nahin,Ibadat hi meri deewaanagi hai,

Kar le parastish maula ki dostUsi men teri tawaanagi hai.

26.Har su hai boseedagi na aashna hai sab,Kya yeh mera hi ujda shahar hai

Gulsitan wohi, gul wohi, baghbaan bhi wohiAisa na tha veeran kabhi kya yeh mera hi shaar hai,

Na thi aisi haal ki kabhi sahil Kya yeh meri hi dekhi hui lehar hai,

Sawaad wohi, uqaab wohi, chaman bhi wohi,Wo rang kuch aur they kya yeh mera hi dagar hai.

Jaane sa lagtr hain zurur dar-o-deewar iske Per koi to batao, kya yeh mera hi ghar hai

Dubo diye hain safiney jis ne aah sunte huay,Kya wo meri hi kal ki nahar hai,

Shab se shanasayi to hai per qadeemKoi to bata do kya yeh wohi sehr hai

Yaro jis tarah se chaho dekhoPer yeh to meri hi nazar hai.

Page 20: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Junoon wohi hum wohi per kuch to hai badlaBata 'Sahil', tu hi bata, kya yeh mera hi jigar hai.

27.

Wo tum theen ya hawa thee,Simoom thi ya saba thi,Jo jhonke de kar guzar gayi,Wo tum na theen to wo kya thi,Wo thum thee ya hawa thi?

Jo haule haule aati thi,Dabey paon jo jaati thi,Chhord kar jo mehak apni,Meri neendon ko bulati thi,Wo tum theen ya hawa thi?

Haqeeaqat thi ya kahani thi,Tum thi ya darya ki ravaani thi,Jo chhord kar tanha mujhe,Behr ki deewani thi, Wo tum theen ya hawa thi?

Page 21: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Wo dil tha ya jaan thi,Na tha, ya haan thi,Hum takte reh gaye 'Sahil',Kya wo zaalim thi ya naadaan thi,Wo tum theen ya hawa thi?

28.

Haseen raat guzarne ko aaye to kya kijiye,Aur subh khafa ho jaaye to kya kijiye,

Hum to roothe hain us se dil dukhaya hai jisne,Gar wo khud manane aaye to kya kijiye.

Jee to kar raha hai jaanaan taare mil kar ginenKhwaab aa kar lalchaaye to kya kijiye,

Saraabon ki duniya se bahot dur rahey hum,Gar haqeeqat hi nazar na aaye to kya kijiye,

Chal bhul jaate hain 'Sahil', haqeeqat hum apni,Per dil se khayal na jaaye to kya kijiye.

29.

Parwaaz hi to ism hai zindagi ka,Aakhir baad e marg bhi to 'Sahil', parwaz hi hai.

30.

Le mazaa 'Sahil' tu mauseeqi se shanasayi ka,Aakhir lutf kya milega baad e marg, shehnai ka,

Page 22: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Kya paayega tu bata daanayi se,Gar shauq nahin hai tujhe apni, tanhai ka ,

Dete hain log dhoka per khud hi koJo mafhum, nahin samajte paak wafai ka,

Le ajal se zeest dars tu shikebayi kaShauq nahin hai mujhe teri raftar e purwayi ka,

Haif, Kyon jaate hain log garm bazaron men yaro,Jab lim nahin hai unhen mehangahyi ka,

Karna hai qabul mujhe khuda ke huzurn men,Batam kya karega, ai munsif, tu meri gawahi ka,

Kyon haath pakarte hain log bewafai ka,Jab koi chaah nahin hai ulfat ko, ruswai ka,

Kyon padhta hai tu ghazal , ai 'Sahil' , bata,Jab saleeqa nahin hai tujhe ghazal sarayi ka.

31.

Kar fana ghurur zahan se,Dekh kya moti milte hain,Kitna bada hai shajar tujhse,Phir bhi, patte haule haule hiltey hain.

Ki jo neend haraam kisi ki Milegi phir maafi nahin,Dukh na dena tu kisi ko Ke 'sorry' kehna kaafi nahin.

Pand na de 'Sahil' tu

Page 23: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Jo kehta hai kar ke deekha,Chhord dunya ko haal per apneDunya ko tu mat seekha.

32.Bade ho kar daanah hote hain,Bad tameez aur be ehtiraam hotey hain,Khudaya , tere nanhe se wo bachche isi tarah,Bade ho kar badgumaan bhi hote hain

33.

Kya kijiye gar dil hi apna mastana ho,Be bas hai shama gar parwana hi deewana ho,

Us tabassum ka lutf kya ayega kaho,Jis chehre ka shughal hi muskana ko,

Raah dikhla saqi kisi aur khumgaah ki,Wo khanabadosh nahin jiska ghar, tera thikana ho,

Us se kya jeetega tu baazi bisaat ki,Aabginaah hi jiska hadaf o nishana ho,

Usey nahin hai khauf koi, qaza se yaro,Farishta e ajal se jiska dostana ho,

Wo kya hovega kisika, ai yaar zara soch,Jo khud hi se na waaqif aur begana ho,

Kya khaak ji hai zindagi us ne 'Sahil',Hayaat jiske liye sirf jeene ka bahana ho.

34.

Page 24: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Mahabat kar ke dekh li raqabat bhi to dekh lun,'Sahil', jabeen per shikan yaar ki, qahr bhi to dekh lun,

Jalwa e shab, raunaq e sham'a, jalta hua parwana,Dekh chuka hun yeh tamashe, rang e sehar bhi to dekh lun,

Na rok saka waqt ko na uski main raftaar ko,Ab behta paani dekh lun, ravaani nahar ki dekh lun,

Mai pila, mai e naab pila, jo pila sukun pila,Nahin to saqi teri khumgah men, zahr bhi pi kar dekh lun,

Jabal dekhe, raagh dekhe, iram ke baagh dekhe,Sahil dekha, tufaan dekhe, ab behr bhi to dekh lun,

Shab dekhi, subh dekhi, aftab ki mehar bhi dekhi,Ghurub honey se qabal 'Sahil', do pahar bhi to dekh lun.

35.Wo jo kal na jaane kis ke sahare they,Aaj zamin per bikhare wo kal ke sitare they,

Unki aahen, wo ansoo, aankhon ki nami, Wo armaan ai 'sahil' kya wo bhi tumhare they,

Na puchhna us se jiska thama ho haath,Gehra kitna tha paani, dur kitne kinare they,

Wo bhi kya ghazab ke nazare they, logo,Barasti thi falak se shabnam, jab zamin pe angaarey they,

Baat to thi un girte sitaron ki 'sahil',Kya tu ne yeh na socha, shayad wo qismat ke maare they.,

Neend nahin aati yaro koi darmaan to batao,Ab kahan se laaun us maa ki god, wo shab, jo mere gehwaarey they.

Page 25: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

36.

Kya hua hai 'Sahil' is zamane ko aajBhule hain log maazi aur fasane ko aaj,

Kis qadar be hiss hain log, dekhiyeKoi patthar bhi nahin maarta deewane ko aaj,

Masruf hai jaane yeh insan kahan, shughal iska kya,Fursat jisey nahin hai soney ki na sulane ki aaj,

Mujhe mere haal pe chhordo main deewana hun,Yeh fikr e daroon bahot hai dil ke behlane ko aaj,

Ud gaye qafas se mere sab parinde ab,Nahin hai koi bacha 'Sahil', paas bulane ko aaj.

Page 26: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

37Safar e zindagi men 'Sahil' tanha hi chalte ja,Kabhi to milega kahin tujhe tera muntazar khuda, Sair e gulshan, rang e mai, donon men hai mazaa,Hote hain khaar har gaam per bhi yaad rahe hamesha, Tere dil men kyon hai khauf musafir zara sach to bata,Jaan apni ki fikr hai tujhe khwah auron ki bata, Shajar se kaha barg ne udte huay aaj,Phir milen ya na milen hai maula ki riza, Bhatak na jaana 'Sahil' tu raah e khuda se kabhi,Kiya hai tu ne khud se dost vaada yeh pukhta. 38. Shor e gul o hungama nahin to bazaar nahin,Jo lut gaya bazaar men wo kharidaar nahin, Kitna ajab hai ravaiya mere yaar ka , dekhiye,Sach per yaqin nahin, jhoot per ikhtiyar nahin, Gulaab wo dikhao to maanen tumhen,Mehak to ho jis men per koi khaar nahin, Har tukhm men zinda ek gul bhi hai,Khazan wo dikhao jis men muntazar bahaar nahin, Isi shab ke lamhe ko zeest maante hain hum,Tuloo e aftaab per hamen aitbaar nahin, 'Sahil' tu hi samjha daanaayi e hayat kya hai,

Page 27: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Kya wohi zinda hai jis ke sar pe junoon savaar nahin ? 39. Tu'lu e aaftab, khazan o bahaar ke naam, Aaj ki shaam rang e mai, tere ruksar ke naam, Tere khutbe se ho kar be zaar saqi,Hum ne ki yeh shab mai khwaar ke naam, Shikebaayi mubarak ho tumhen yaro,Hum to karte hain hayaat hawa sawaar ke naam, Dekhe hain gul o gulshan is jahan ke bahot, Socha, kyon na ki jaaye yeh raat harf e khaar ke naam, Badi zaalim hai zabaan shamsheer hai yeh, Kijiye isey shireen guftaar ke naam, Gunahgaar hai tu bande daamaan pur daagh, Kar jaan nisaar apni tu ibraar ke naam, Log karte hain basar zeest jaan apni ke liye, Lo, hum ne to ki 'sahil', jaan dildaar ke naam. 40. Mushkil nahin aap Hayaat ki aasani dekhiye, Raftaar e darya nahin us ki ravaani dekhiye,

Jism se Lagao kaisa woh to khaak hai yaro, Milo rooh se apni jo la faani hai dekhiye

Tuloo e aaftaab se tuloo e mahtaab tak,Roz o shab ki yeh meharbani dekhiye

Maana ke zindagi ek Safar hai dosto,

Page 28: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Per bin maqsud yeh be maani hai dekhiye,

Aarzu, tamanna, kwahish, insaani hain,Jo dil se uthe aah woh roohani hai dekhiye,

Dur sahi dost dil men to hai,Yeh bhi nishan e pasbani hai dekhiye,

Vaasta nahin umr se zinda dili ka 'sahil', Gar dil jawan hai to jawani dekhiye

Page 29: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

41.

Khamiyazah Utahana bhi fan hai 'sahil',Asaan nahin hai pashemani,Subh to hogi, aftaab tul'oo bhi,Per kahan hai wo ubharti jawab,

Jawani men vaaiz tajurba kahan hai,Samajh Le isey tu nadaani,Dekh tu josh darya ka jabal per,Phil dekh us ka taskin our paani,

Ladkhate qadam, larazti zabaan,Har nafas hi samajhiye jaawidaani,Haqeeqat se ghafil, nazar falak per,Kabhi maante they khud ko la faani,

Kya lete naseehat kisi se hum vaaiz,Jab Teri bhi hum ne nahin maani,Kar le qabool tu bhi, ai nadaan,Zindagi hai zaalim o deewaani,

Jo rehta hai haafize men kisi ke,Ik din wo bhi to hoga faani,Ajab hai yeh armaan Har insan ka yahan,Baad e marg reh jaaye koi nishani,

Khamashi be zubaani nahin hai,yaro, Khamashi hi hai firasatdaani,Shajar Ko dekhiye wo khamosh hai kaise, 'Sahil', khamoshi hai asl zindagaani.

Page 30: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

42.

Sitaron se uncha hai jahan ek aur,Falak se uncha hai aasmaan ek aur,

Teri neki bhi dekhi hai shaikh hum ne,Per, tujh se bhi uncha hai mehrban ek aur,

Bagh e iram ki kar le tu sair jab chaahe, Per us se bhi uncha hai gulsitan ek aur,

Yaro, aahen bhareen zindagi men bahot,Abhi baaqi hai lekin fughaan ek aur,

Kisey bataun raaz main apne,Sab se uncha to hai raazdaan ek aur,

Sun le yeh purani kahani 'sahil',Suna dunga tujhe main daastan ek aur.

43.

Aaj kh-mosh kyon hai 'sahil' bata khaama tera,Kya zeest hai tujh se khafa?Likhte reh dost yehi zindagi hai,Rukne ka naam hai qaza.

Page 31: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

44.Aasaan nahin hai marz e dil ka darmaanRoka hai kis ne kabhi tufaan e armaan,

Beh jaate hain sab valvalon men kaiseNa sahil na kashti na roke yeh jahan,

Nahin dhulte hain daagh aasani se joLag jaate hain jab, paak jitna ho daamaan,

Jaise hote hain pinhaan abr men aansuWaise hoti hai aag jahan hota hai dhuaan,

Na khao qasam khuda ki tum yaroGar yaqin nahin hai aur pukhta imaan,

Pareshaan kyon hai, ai dost, bata,Koi raaz to hai tere baatin men nihaan,

Us dil men khilenge gul kya bataoJis dil ki basti ho dasht o veeraan,

Kya maangta hai tu us ghafoor se insaanJo har waqt hai sab per har dum meharbaan, Na khumgaah na ma'bad na jahan koi aur, 'Sahil',woh dil men basa hai, justaju hai kahan.

Page 32: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

45.

Nahin rukegi kabhi yeh baad e sabaJaise roz o shab jaise kaali ghata,

Jaise hota hai gharq aab men sahilJaise karta hai waqt har shai ko fana,

Garajte hain baadal chamakti hai bijliKabhi uthta hai jaise koi valvala,

Aa jaati hai jaise raaton ko neendKhwabon men hoor aur kabhi bala,

Kar le dua maghfirat ki, ai dostHaqeeqat hain donon, saza o jaza,

'Sahil', dost to bante hain jahan men bahot Per sab se aala hai dost, woh sabka khuda.

46.Gulshan wo dikhao jis men khaar na hoUs khazaan se milao jis men bahaar na ho,

Har aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho,

Do raaha umeed o beem hai duniyaAdavat wo dikhao jis men pyaar na ho

Nimrud se mat puchho, tumhin bataoKya koi hai aisi naar jis men gulzaar na ho,

Dhalta hai suraj bhi sumundar taleKoi lail wo dikhao jis men nahaar na ho,

Page 33: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Iblees bhi to 'sahil' jannat se gira tha Do rukhah hai jahan, tu be zaar na ho.

Dars is men dosto hai sab ke liyeKoi raah nahin aisi jo kabhi hamwaar na ho

Page 34: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

47.

Tanhai se dur jaana chahta huKisi bheed men kho jaana chahta hunSahar ka kya bharosa 'sahil'Is waqt to sona jaana chahta hun.

48.

Ajab hai zindagi, ajab is ke rangKahin jashn aur kahin janaza,Turfa kaisa hai yeh tamasha 'sahil'Mehr kahin aur kahin khamyazah

Page 35: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

49.

Subh hoti hai sham hoti hai, umr yun hi tamaam hoti hai'', Tanhayi hi to 'sahil' kul sar o samaan hoti hai,

Gharq hota hai insaan udaasi men jab hi Dil ki nagri jab us ki veeraan hoti hai,

Main milta hun khud se falak ke taley Per milti hai taskin jab raat sunsaan hoti hai,

Faramosh hai jo bhi haqeeqat se us ki Us ghaafil ke liye muezzin ki azaan hoti hai,

Jiske ragon men ravaan ho lahu imaan ka, Usi hi per to qismat meharbaan hoti hai,

Ajal se na darna tu 'sahil' kabhi Himmat e mardaan to har dum jawaan hoti hai.

50.

Kya chahiye kisi ko gar humnava naazneen miley,Na shams o qamar na sitaare, ik mahjabeen miley.

'Gulon men rang bharey baad e nau bahaar chale'Phir mujhe aur mere dildaar ko pur taskeen miley,

Har hijaab men pinhan gar ho haya,Har jaame ko phir aasteen miley,

Dil chaahe jahan wahan kar lo parvaaz,Bas paon ko har ja zamin miley,

Yeh bhi na bhulna dosto,Ke yahan bhi gauhar behtareen miley,

Page 36: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Need aati hai jab ro ro kar mujhe,Umeed rakhta hun khwab haseen miley,

Qusur nazar ka hai baaghban ka nahin, Gulshan men gul gar ghamgin miley,

Chehcahana hai fitrat parindon ka,Insan ko kh-moshi se tamkeen miley,

Falak ke age yaad rahe tujhe 'sahil',Udnewaale ko arsh e bareen miley.

51.

Karte hain dua hum ghairon ke liyeKabhi hum per bhi koi mehraan to ho

Kotahi nahin hai sama'at men lekin,Shakhsiyat men shirin zaban to ho,

Har ja hai ma'bad, har ja khuda,Kaash , is jahan men koi insan to ho,

Sitare falak men raushan to hain,Dekhnewala bhi koi qadr daan to ho

Dilchaspi nahin hai karwaan se mujhe,Per rehne ka koi aashian to ho,

Kar lenge safar aasitan ka bhi 'Sahil',Batin men sadaqat o irfan to ho.

52.

Page 37: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Fikr kisey hai shaikh tere qahr ki Barsengi boonden mujh per mehr ki

Imaan hai pukhta har shai khuda kiZarurat nahin , kisi agar magar ki

Raah dikhata hai maula mujhe,Talaash kyon ho kisi aur dagar ki

Yeh aziat ki shab guzar jaayegiBar qaraar hai dil men umeed sahar ki

Main khush hun logo naao men apni,Mujhe justaju nahin kashti e behr ki

Sukun hai sookhe sahil per mujheKoi chaah nahin hai kisi lehar ki.

Umr guzri hai yaro baahon men subh ki ,khwahish nahin hai ab kisi do pahar ki,

Nahin jaana hai koh e toor ko 'Sahil', Kashish nahin mujhe kisi sehr ki,

53.

Thokaren khaayin to wo bhi daanista,Ke saabir na thi raftar, na ahista,

Hasraten theen kuch aisi, ai 'sahil' Teri, Armaan kuch aise Jo na they shaaista,

Pagdandion per chalne ka shauq ho jisey, Nazar aata nahin usey haq ka raasta,

Page 38: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Mahal na banao tum reg per logo,Halka tufaan karega haal phir khasta,

Na uthe Jo dil se usey dua kya maanen,'Sahil' chor baazari ka saamaan to Hota hai sasta.

54.Nahin rukegi kabhi yeh baad e sabaJaise roz o shab jaise kaali ghata,

Jaise hota hai gharq aab men sahilJaise karta hai waqt har shai ko fana,

Garajte hain baadal chamakti hai bijliKabhi uthta hai jaise koi valvala,

Aa jaati hai jaise raaton ko neendKhwabon men hoor aur kabhi bala,

Kar le dua maghfirat ki, ai dostHaqeeqat hain donon, saza o jaza,

'Sahil', dost to bante hain jahan men bahot Per sab se aala hai dost, woh sabka khuda.

55.

Subh hoti hai sham hoti hai, umr yun hi tamaam hoti hai'', Tanhayi hi to 'sahil' kul sar o samaan hoti hai,

Gharq hota hai insaan udaasi men jab hi Dil ki nagri jab us ki veeraan hoti hai,

Main milta hun khud se falak ke taley

Page 39: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Per milti hai taskin jab raat sunsaan hoti hai,

Faramosh hai jo bhi haqeeqat se us ki Us ghaafil ke liye muezzin ki azaan hoti hai,

Jiske ragon men ravaan ho lahu imaan ka, Usi hi per to qismat meharbaan hoti hai,

Ajal se na darna tu 'sahil' kabhi Himmat e mardaan to har dum jawaan hoti hai.

56.

Kya chahiye kisi ko gar humnava naazneen miley,Na shams o qamar na sitaare, ik mahjabeen miley.

'Gulon men rang bharey baad e nau bahaar chale'Phir mujhe aur mere dildaar ko pur taskeen miley,

Har hijaab men pinhan gar ho haya,Har jaame ko phir aasteen miley,

Dil chaahe jahan wahan kar lo parvaaz,Bas paon ko har ja zamin miley,

Yeh bhi na bhulna dosto,Ke yahan bhi gauhar behtareen miley,

Need aati hai jab ro ro kar mujhe,Umeed rakhta hun khwab haseen miley,

Qusur nazar ka hai baaghban ka nahin, Gulshan men gul gar ghamgin miley,

Chehcahana hai fitrat parindon ka,Insan ko kh-moshi se tamkeen miley,

Page 40: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Falak ke age yaad rahe tujhe 'sahil',Udnewaale ko arsh e bareen miley.

57.

Karte hain dua hum ghairon ke liyeKabhi hum per bhi koi mehraan to ho

Kotahi nahin hai sama'at men lekin,Shakhsiyat men shirin zaban to ho,

Har ja hai ma'bad, har ja khuda,Kaash , is jahan men koi insan to ho,

Sitare falak men raushan to hain,Dekhnewala bhi koi qadr daan to ho

Dilchaspi nahin hai karwaan se mujhe,Per rehne ka koi aashian to ho,

Kar lenge safar aasitan ka bhi 'Sahil',Batin men sadaqat o irfan to ho.

58.

Fikr kisey hai shaikh tere qahr ki Barsengi boonden mujh per mehr ki

Imaan hai pukhta har shai khuda kiZarurat nahin , kisi agar magar ki

Raah dikhata hai maula mujhe,Talaash kyon ho kisi aur dagar ki

Page 41: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Yeh aziat ki shab guzar jaayegiBar qaraar hai dil men umeed sahar ki

Main khush hun logo naao men apni,Mujhe justaju nahin kashti e behr ki

Sukun hai sookhe sahil per mujheKoi chaah nahin hai kisi lehar ki.

Umr guzri hai yaro baahon men subh ki ,khwahish nahin hai ab kisi do pahar ki,

Nahin jaana hai koh e toor ko 'Sahil', Kashish nahin mujhe kisi sehr ki,

59.Bulbul naghma na sunaya to kya kijiyeAur bahaar rooth jaaye to kya kijiye

Hum to kho jaayen 'Sahil', khwabon men zurur,Khayal unka sataye to kya kijiye,

Jahan saara hai waqif, tanhia se meriDil unka na samajh paaye to kya kijiye

Taakheer na hui daanista, maana humne,Per bahana dil na behlaye to kya kijiye,

Jis pyaar se sulaya shab na aaj yaro,Aftaab hi na jagaye to kya kijiye,

Page 42: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Be baha hain ashk, hai iska mujhe paasPer dil kambakht hi bhar aaye to kya kijiye,

Bharosa karun kis per is zamaan men , kaho,Jab gehwara hi na jhulaaye to kya kijiye,

Yaqin hai mera mohkam imaan per 'Sahil'Per jee ghabraya to kya kijiye

Tareek hai shab , mah o anjum nihaan,Phir, sham'a bujh jaaye to kya kijiye,

Adu ho muaalji ko kya kijiyeNaar paani ko jaaye to kya kijiye.

Jiski rakhte hain yaad hafize men mahfizWo hamen hi bhulaye to kya kijiye

Baadah nosh farmane ka shauq to nahin,Koi mai e naab pilaye to kya kijiye.

Page 43: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

60.

Rooh e Raavi Tu Darya Nahin, Meri Jaan Hai

Reg e Raavi tu surma e nazar hai,Dilon men tu har dum albasar hai,

Rag rag men daurti hai tere, maasumiat,Tu zamane ke taghaiyuraat se be khabar hai,

Pehlu men tere jis ne sajde na kiye,Wo ravani key jaane Jo khaak basar hai,

Ilm kisey hai reg e ravaan ka, yaroDoob jaata hai sahil, wo kh-mosh o be khabar hai,

Aaj siyaasi hai zamana is qadar dostoLekin, reg e Raavi to siyasat se be khabar hai,

Ek umr guzri hai, Raavi, tujhe dekhe huay, Phir bhi lagta hai kyon tu ba wafa humsafar hai,

Tajurba kisey hai kaho aab e Kausar ki taskeen ka, Per, lab e Raavi na raha koi tishna, ke wo gauhar hai,

Darya ka shor o ghul hota hai ghairon ke liye, Mere liye to 'sahil', Raavi ka sukoot to anmol Jauhar hai.

Page 44: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

61.

So ja sahil muntazir hain be hisaab aaj khwab tere Milenge phir tujhe zurur muntazar jawab tere,

Dasht o sahra hashn bana le, raagh to hain shadaab tere,

Kya bigadenge tera behr ke tufan kabhi,Sahil hai tu, mitate hain pyaas jab sailab tere,

Haasil hai safiney ko jab raahat tere kinaron per, Kyon rakhe bata koi kotahi ke hisab tere,

Mutayyan hain do farishte shaanon per tere, Dekhte hain jo ghaur se neki o sawab tere,

Sarkash na ho, ai baghban, mausam hi hai bahaar ka, Pazmurda hote varna yeh dilkash gulab tere,

Hum to aye sair karne tere dasht o gulshan ki khuda, Turfa hai jahan tera tu hi jaane nisab tere,

Tafakjur mujhe kis bat ka hai, sarwat hai be kar, Jab jahan hai tera, ai khudaya, mah o anjum o aftab tere,

Kar basar ai bande, tu maula ki ibadat men, Mil jayenge khaak men kaakh o asbaab tere,

Likhte reh, ai sahil' tu, hayat teri isi men hai, Padhta hun main baar ha likhe huay baab tere.

Shireen rakh alfaaz tu 'Sahil' zaalim hai zamana bahot,Bhulega yeh mauseeqi teri aur yeh rubaab tere.

Haqeeqat jo bhi to teri, suhane hain saraab tere,Dasht o sahra haseen bana le raagh to hain shaadaab tere,

Page 45: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

62.

Na sar pe saya na zer e pa zamin hai,Ishq e junoon bhi kya shai haseen hai,

Tishna phirta hai insan daar ba dar, haif !Jab sookhe sahil ko har dum taskin hai,

Takte ho kyon kehkashan ko tum,Zamin per bhi insan parveen hai,

Aarzu hai tumhari falak tak,Per uske aage to arsh e bareen hai,

Haq hai tujhe bhi ai munkir,Per mera to pukhta yaqin hai,

Raasti ki rah per chal, ai musafir,Isi men sab talqeen hai,

Kya karenge hum ''sahil' ma'bad ka,Sajdon ke liye to jabeen hai.

63.Kahe 'Ghalib' jo kaheHar dil ka mareez bemaar nahin hai

Zindagi koi karobaar nahin haiHar subh koi bahaar nahin hai,

Taskin hai to sahìl per,Sahil ke us paar nahin hai,

Qasd men kotahi kaTaqdeer zimmedar nahin hai,

Duniya ek bazaar hai yaro,

Page 46: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Per har koi kharidaar nahin hai,

Ulfat hai bunyaad uski,Ghar koi dar o deewaar nahin hai,

Hamdard ka hona achha hai,Per hamdardi koi pyaar nahin hai,

Miley bahot jahan men 'sahil',Per tujh jaisa dildaar nahin hai.

Chaah zurur hai surur ki,Per 'sahil' koi maikhwar nahin hai.

Kahe 'Ghalib' jo kaheHar dil ka mareez bemaar nahin hai

Kya maaroge tanz se mujko,Yaro, zaban koi talwaar nahin hai.

Zindagi koi karobaar nahin haiHar subh koi bahaar nahin hai,

Taskin hai to sahìl per,Sahil ke us paar nahin hai,

Qasd men kotahi kaTaqdeer zimmedar nahin hai,

Duniya ek bazaar hai yaro,Per har koi kharidaar nahin,

Ulfat hai bunyaad uski,Ghar koi dar o deewaar nahin hai,

Hamdard ka hona achha hai,Per hamdardi koi pyaar nahin hai,

Page 47: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Miley bahot jahan men 'sahil',Per tujh jaisa dildaar nahin hai.

Chaah hai sabko surur ki,Per har koi yaan maikhwar nahin hai,

Rind bhi aur paarsa bhi,Tera yeh shiaar nahin hai.

Page 48: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

64.

Zindagi hai badi suhani, 'sahil',Jaise darya ki ravani, 'sahil', Kar gunah phir pashemani yaro, Zindagi hai kya deewani 'sahil',

Shabaab tha shabab kitna,Peeri bhi kya veerani, 'sahil',

Har roz har shab hai baab ek,Khuda ka karam aur meharbani, 'sahil',

Sun le khitaab vaiz ke tu, Kar li hai tu ne manmaani, 'sahil',

Raftaar e hawa yaksaan nahin hoti,Banti hai saba aur kabhi tufaani 'sahil',

Haal men jeena hi firasat hai,Bhula haimaazi ki jawaani 'sahil'.

65.

Gulshan kahun chaman kahun ya gulzaar kahun,Mausam kahun faza kahun ya bahaar kahun

Nizaam o rumooz kaun samjhe tere, khudaya,Malamat kahun dost kahun ya khaar kahun,

Dasht o sahra men bhi to khilte hain kabhi phul,Kya kahun biyabaan kahun ya gulzaar kahun,

Mukhtalif hain rang kitne zameer ke, ai logo,Khuftah kahun be zaar kahun ya be daar kahun,

Page 49: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Baazi kahun ghaazi kahun ya haar kahun,Shajar kahun samar kahun ya baar kahun,

Ajab hain kitne zaban ke bhi ausaaf dekh, 'sahil',Khateeb kahun shireen kahun ya talwaar kahun.

Page 50: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

66.

'Sahil', bata kya likhoon kya kahoon,Zahn khaali hai jism hai zaboon,

Waahid hun, khuda ek hai sabka,Geeta padhun, Quran padhun ya Anjeel padhun,

Kaari hai bahot yeh ishq e junoon,Kabhi zinda kabhi rab per marun,

Mit te nahin daagh ruswayi ke kabhi,Chalta phirta hun main liye sar nigoon,

Basa hai dil men jo hai maula mera,Raah wo bata jo mujh men hai daroon,

Tu saaqi hai jahan ka khumgaah hain tere,Ji chahta hai maalik mai e naab piyoon,

Mehfil bhari hai, raushan hain dil ,Ragon men kyon daurta hai veerani ka khoon,

Anjaam zindagi ka to qaza hai 'Sahil',Jo laazim hai jahan men main us se kyon darun,

Naseehat main deta hun to khud ko, dosto,Yahan sab to hian mualij kis kis ki sunoon67.

Nauha e bulbul

Dil udaas hai bahot maayus hai chaman,Tark kia bulbul ne aaj mera nasheman,

Page 51: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Hamsafar thi wo bulbul raah e zeest per, Haseen they rang uske, gul jaisa badan,

Behlaya dil jisne gul o gulshan ka har roz, Ehsaas bhi dilaya, kya shai hai apna pan,

Num hai chashm, dil men khaar si khalish, Baaghban ko dekhiye, dekhiye rota saman,

Kahan hai wo bulbul kuch to kaho,Muztarib hai ji mera, bahot udaas hai mera man,

Kyon sajaye baithe ho kafan tum, parindo, Daaim hai naghma us ka, khayal tumhara soo e zan,

Chhord gayi hai bulbul aaj be bas o tanha, Ji chaahta hai 'sahil', baar ha ho darshan,

Marsiya na padh baazgasht hai sada uski, Kahan paayega koi aisa hunar o fan,

Mahabat thi us se, usey yaad kyon na karun, Saari umr na hui yaro, kabhi us se an ban.

68.

Kuch dikhana hai 'sahil' to taare dikhaSaath unke per qismat ke maare dikha,

log ta'awun ke karte hain daawe magar,Jo dete hon kaandha wo sahare dikha,

Mat dikha koi ghubarey udte huay,Falak men tu raushan sayyare dikha

Mat dekh ainey men khud ko tu jaanan,Mujhko gesu tu apne sanwaare dikha,

Page 52: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Nahin aati hai neend, ai 'sahil', mujheMeri tifli ke mujhko gehware dikha.

Mat dikha tu parwaane jalte huay,Bas, sham'a ke mujhko angarey dikha,

Turfa, jahan ke nazare na dikha,Bas humko hamare tu pyaare dikha

Dekh liye hain yahan ke behr o bar sab,Aab e kausar ke ab favvarey dikha. _____________________________

69.

'Sahil', kabhi kotahi na ho faseehat men koi, Dar purdah e gharaz na ho naseehat men koi,

Pehchanta hun gulon ko gulshan men main apne, Gul kya hain batao baagh e jannat men koi,

Masrufiat hai itni har bashar ko yahan, Kaash, kabhi milney to aaye mujhe fursat men koi,

Jaise hota hai ravaan aab e darya, yaro, Vaise rukaavat na ho dil ki harkat men koi,

Pashemaan hun khudaya magar hun main khaaif, Gunah mere na hon haail, teri nemat men koi,

'Sahil', haq men tere main maangta hun dua, Kabhi mazahamat na ho teri sehat men koi

Page 53: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

70.

Gulzaar nahìn har ja dekhiye baazaar hai, Har gul ka naam aaj yahan khaar hai,

Mafhum bahaar ka hua karta tha kuch aur, Aaj khazan ke yaan hi kul bahaar hai,

Na khud ki pehchaan na jaan kisi ki,Sab ke sar per junoon aisa sawaar hai,

Na tabassum koi na labon pe muskaan,Jis dil ko dekho wo dil figaar hai,

Do qalb yak jaan hua karte they kabhi,Aaj mahabat men bhi kaisa pindaar hai,

Bikta hai insan bikta hai imaan,Har shai ka yahan kharidaar hai,

Kho gaya hai kahan wo bashar kal ka,Poojte hain usey aaj jo sarmaya daar hai,

Na fikr Geeta ki na Quran ka lihaaz,Ibadat nahin 'sahil', aaj sarvat se sarokaar hai,

Na kosiye kisi ko na qismat ko kabhi,Ai be-haal bande tu khud hi to zimmedaar hai.

Page 54: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

71.

Jab sar jhuka dia 'Sahil' riyazat to ho chuki,Zamin bos kyon ho jabeen jab ibadat to ho chuki,

Na zer e pa ho aabla na daaman pe ho koi daagh,Phir dekh lia jis ne tujhe, naseehat to ho chuki,

Aya tufaan sahil per aaj, aa kar wo laut gaya,Sahil ki kya tareef karun, nahmat numa to ho chuki,

Khayega tu thapede, shaikh, sumundur ke zurur,Sambhal ja ab bhi, tu, lehar to ja chuki,

Sun ne aya hun main vaaiz khutba tera aaj,Suna de baat kuch aur ab, firasat to ho chuki,

Maanta nahin hai hukm tera bashar tera hi, maula, Qahar dikha, isey samjha, nemat to ho chuki.

Yaad kar khuda ko 'Sahil', lalahzaar ko dekh kar,Waqt hai ab ibadat ka shahadat to ho chuki.

72.Mushkil

Mushkil hai 'Sahil' dil ka lagana,Mushkil hai jaise bahana banana,

Mushkil hai jaise bulbul sa gaana,Hai udaas dil ko jaise manana,

Baaten banana to aasaan hai yaro,

Page 55: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Mushkil hai dilkash daastan sunana,

Charagh ko bujhana mushkil nahin,Mushkil hai raakh men aag lagana

Asbaab jahan ke fuzul hain 'Sahil' ' Na mumkin hai saath inhen le jaana.

73.Mahav hota hai andhera to mahz ujalon se Ghazal banti hai 'sahil' to sirf khayalon se,

Alfaaz se izhaar aur raushan tar bhi hai, Lekin ulfat hoti hai ayaan to nigahon se,

Nahin hota hai hukm se qusuwaar koi, Ai Shaikh, karna padta hai sabit gawahon se,

Kami hai kyon aaj ragon men, logo,Kya lahu milta hai sirf jung ke maidanon se?

Na milna chaho na milo, marzi tumhari hai, Dosto, ukta gaya hai jee woh bahanon se,

Khudaya, bande sab hain banaye tu ne, Phir pehchaane kyon jaate hain zabanon se?

Shab o roz, zulmat aur ujala teri badaulat, Kyon darte hain log khuda ra,imtehanon se?

Biyabaan bhi tere, makhluqaat bhi teriKhauf kyon hai dilon men veeranon se,

Aarifana hai mizaaj 'sahil' ka, dekhiye Bayaan hota hai yeh us ke sawalon se.

Page 56: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

74.Apni aulaad se zyada pyara kya hai,Ma ki god se behtar gehwara kya hai, Jis ne khud ko sajaane men umr guzaari,Us ne khaak ke siwa sanwaara kya hai,

Mamnoon e karam hain tere khudaya,Phir kya batayen tujhe hamara kya hai.

Jab maula hai mallah kashti ki sab ka,Kya tufaan aur kinara kya hai,

Mah o anjum bhi hain sayyare, dosto,Phir, tum hi batao aawaara kya hai,

Faani hai sab kuch, koi to samjhaye,Jaavidaan kya hai, sahara kya hai,

Inkaar hai tujhe, yeh haq hai tera,Per, yeh bata munkir tujhe gawara kya hai,

Gar noor na ho khuda ka 'Sahil' , Tu hi bata, aftaab kya aur sitara kya hai.

76.Jisey pehchan na sakun wo chehra kya hai,Jis men dekh lun main sab kuch wo kuhra kya hai,

Lehron ki nazakat, maujon ka shor o gul,Jo num na karey sahil ko wo thapeda kya hai,

Ghumta phirta hai jo, le kar wo saanp,Maar e aasteen nahin hai to sapera kya hai.

Page 57: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Dil ke sholay na jalao, zulmat ko mat satao,Gar dil raushan rahe to andhera kya hai,

Andheron ne ghera ho jis,Us be bas ka falak kya besera kya hai,

Jo reg e ravaan per banate hain ghar,Koi puchhe un se dasht o sahra kya hai,

Hayat e karwaan ki kar fikr Mir, karwaan tera hai,Main to chala jaunga ik roz , mera kya hai,

Sabr ke pand na de , ai vaiz, yeh samjha, Jo shab ko na tadpaaye , wo savera kya hai,

Tasbeeh ba dast, aur ku e yaar men,Ai shaikh , yeh to bata maajra kya hai,

Rah e khuda per chalne ke liye tawakul chahiye,Siva is ke yaro aasra kya hai.

Jab tu tanha hi khush hai mehfilon men 'Sahil'.Bata, phir anjuman kya, jazeerah kya hai.

Page 58: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

77.

Rangeen kitni hai tabiyat uski , yeh to 'Sahil' hi jaane, Dil kis per hai maail aaj, yeh bhi 'sahil' hi jaane,

Bahot hote hain charche yaan 'Sahil' ke aaj,Aalim kitna hai wo yeh to 'sahil' hi jaane,

Girah dil men rumooz e talkh kitne, dil hi jaane,Kitna gehra hai zakhm yeh to bismil hi jaane.

Raah paimaayi ki hum ne gaam hi se apne,Kitni baaqi hai masafat,rah rau, yeh to manzil hi jaane,

Manzur thi saza be wafai ki usko, lekin,Rahm kyon kiya zaalim ne, uska dil hi jaane,

Kiya jis ne maatam aur ashk bhi bahaye,Usi ke haath men pathar , wo sang dil hi jaane,

Na tufaan, na talatum, na balaa koi aur,Duba kyon tha sahil , yeh to haail hi jaane,

Kyon muqaiyyad hain be gunah koi to batao,Jab salaasil hi na jaanen, phir 'sahil' kya jaane,

'Sahil', Janaaze ko diya kaandha larazte shaanon ne aaj,Vazn kitna tha us khaak men, yeh to haamil hi jaane.

Page 59: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

78.

'Sahil ' Se Ek Guftagu

'Sahil', sahil nahin sumundar ban kar dikha, Phir girdaab se safiney ko bachaa kar dikha,

Sajaya baagh apna to kamaal kya kiya,Auron ka aashian saja kar dikha,

Zaban shamshir hai, miaan men hi rakh,Tanz o tanqid nahin, dil naghmon se behla,

Pyaari hoti hai fitratan zeest sabko apni,Tu jee kar auron ke liye jahan ko dikha,

Amaal tere sab nek hi rahen,Baad e marg, ai dost, zinda reh kar dikha,

Turbat tak aya hai chal kar tu, 'Sahil',Na kaandha, na janaza , ek tamasha aur karte ja.79.Is daur ka kya kahun, yeh daur e siyasat hai,Bata 'Sahil' tu hi bata ya daur e jahalat hai,

Jhukate hain sab, sar shaikh ke aage,Riyakaari kahun ya yeh daur e sadaqat hai,

Kabhi baron ka ehtiram hua karta tha farz,Aaj dekhiye yeh daur e jasaarat hai,

Aina bhi mutee hai, jaise dekhna chaho, dekho,Isey maslahat kahun ya yeh munafaqat hai,

Page 60: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Jaata hun main shauq se maikhane har roz,Bata, ai vaaiz, illat kahun ya yeh ziyarat hai,

Mahabat men an ban to hoti hi hai,Isey adavat kahun ya yeh nazakat hai,

'Sahil', giley shikwe mat kar tanqid mat kar,Qabool kar le, yeh khuda ki nazaamat hai

Ya khudaya, gar hai teri nizamat hai,To kya insaan ki phir shaamat hai

80.Sabr kar, saabir ban, waqt hai tere saath,Raftah raftah chal kar 'Sahil' waqt ko haa

81.

Aisa to na tha 'sahil' zamane men kabhi, Tu hi bata jahan men, kahan chain o aman hai,

Ai ahl e siyasat nai rang mat dikhao,Is mulk ko mat baanto, yeh sab ka watan hai,

Phool sabke hain barabar, baharen bhi sabki, Gulshan hai tumhara to mera bhi chaman hai,

Gulaab tumko ho mubarak mera saman hai,Gar sahan hai tumhara to mera aangan hai,

Kya pehnun, kya seekhun, kya padhun, kya karun, Haq hai yeh mera, mera hi tan man hai,

Pesh raft pe tawajjo zururi hai, magar,Us laash ko bhi dekho jo be gor o kafan hai,

Page 61: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Aansu na baha 'sahil', chashm num na kar, Dhool jhonkna bhi to aakhir khud men ek fan hai.

82.Ai ahl e siyasat nai rang mat dikhao,Is mulk ko mat baanto, yeh sab ka watan hai,

Phool sabke hain barabar , baharen bhi sabki,Gulshan hai tumhara to mera bhi chaman hai,

Gulaab tumko ho mubarak mera saman hai,Gar sahan hai tumhara to mera aangan hai,

Kya pehnun, kya seekhun, kya padhun, kya karun,Haq hai yeh mera, mera hi tan man hai,

Pesh raft pe tawajjo zururi hai, magar,Us laash ko bhi dekho jo be gor o kafan hai,

Aansu na baha 'Sahil', chashm num na kar,Dhool jhonkna bhi to aakhir khud men fan hai.

83.

Ahl - e- Siyasat Ke Naam

Ai ahl -e- siyasat gulaab tumko hon mubarak, mera saman hai,Gar sahan hai tumhara to mera aangan hai,

Nai gul na khilao, nai rang mat dikhao,Is mulk ko mat baanto, yeh sab ka watan hai,

Phool sabke hain barabar, baharen bhi sabki, Gulshan hai tumhara, to mera bhi chaman hai,

Page 62: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Kya pehnun, kya seekhun, kya padhun, kya karun, Haq hai yeh mera, mera tan man hai,

Pesh raft pe tawajjo zururi hai, magar,Us laash ko bhi dekho, jo be gor o kafan hai,

Aisa na tha 'Sahil' zamane men kabhi, Tu hi bata dost, kahan chain o aman hai

Aansu na baha, chashm num na kar, Dhool jhonkna bhi to aakhir, khud men ek fan hai.

Page 63: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

84.

Charagh ki lau hawa men jalti bujhti hai'Sahil', dil ko taskin kh-moshi men milti hai ,

Hua karti thi baazaaron men garmi bahot Aaj jaan ko bhi dekho, kitni sasti bikti hai,

Kabhi sunte they naghme bulbul ke yahan Na jaane yeh aaj kis ki ujdi basti hai,

Hum to bhule hain raah maikade ki bhi yaro,Unki aankhon men na jaane kaisi masti hai,

Nahin jaana hai ab kisi ma'bad ya khumgah,Ai vaaiz o saqi kya yeh bhi zabardasti hai,

Dil men jhaanko, asl jauhar to rooh hi hai Dar ba dar dhundte ho kyon, wo baatin men basti hai

Maula, dua karte they log sukun ki tujhse Aaj badat ka naam daulat parasti hai

Kya bigadegi uska qismat bhi 'sahil',Jis ke chehre pe tabassum, mizaaj faaqa masti hai.

85.Taveel hoti hai bahot dastaan zindagi ki,Kuch waqt to lagega sunaane men usey,

Deewana hai dil, rehte hain gham bhi kuch mustaqil,Kuch waqt to lagega ab samjhaane men usey,

Veeraan dasht men jab rakha hai tu ne gaam, musaafir,

Page 64: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Phir kuch waqt to lagega sajaane men usey,

Rooth jaati hai kyon na jaane jaan hamari,Humne kya na kiya manaane ko usey,

'Sahil', ik umr guzri hai yaad karte jisey,Kuch waqt to lagega ab bhulaane men usey.

86.Dopahar ho gayi hai janab, Badalon se tapak raha hai aab,Chashm num hain , dil hai udaas,Guzra hai mausam jo tha kabhi taab,

Nahin milta hai sabko jahan men sawaab,Kuch rehte hain armaan, kuch rehte hai khwab,Yaad aati hai watan ki jab bhi mujhe, yaro,Yaad aati hai raavi aur wo darya Chenaab.

Us watan ki lau uski aab o taab, Wo chahchahati bulbul us gulshan ka gulaab,Dhundta hun main phir taskin 'Sahil',Ke aaj dil hai afsurda, bahot be taab.

87.Na soor zakhm ko teri yaad ne bharne na dia,Chaah bhi thi zaalim jis ne marne na dia,

Hum to pareshan they hi, be haal they bahot,Kambakht be shab ne phir raat bhar soney na dia,

Sookhi thi dil ki kisht bhi, be barg o bar, aaj,Na meharbaan tha falak jisne boney na dia,

Page 65: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Kotaahi na hui qasd men, lekin, Muqqadar ki riza ne kuch karne na dia,

Dil bhar aata tha aksar manind e sailaab, yaro,'Sahil', per ana bhi thi aisi jisne roney na dia

88.Charagh ki lau hawa men jalti bujhti hai'Sahil', dil ko taskin kh-moshi men milti hai ,

Hua karti thi baazaaron men garmi bahot Aaj jaan ko bhi dekho, kitni sasti bikti hai,

Kabhi sunte they naghme bulbul ke yahan Na jaane yeh kis ki ujdi basti hai,

Hum to bhule hain raah maikade ki yaro,Unki aankhon men na jaane kaisi masti hai,

Nahin jaana hai ab kisi ma'bad ya khumgah,Ai vaaiz o saqi, kya yeh bhi zabardasti hai,

Dil men jhaanko, asl jauhar to rooh hi hai Dar ba dar dhundte ho kyon, wo baatin men basti hai

Maula, dua karte they log sukun ki tujhse Aaj badat ka naam daulat parasti hai

Kya bigadegi uska qismat bhi 'sahil',Jis ke chehre pe tabassum, mizaaj faaqa masti hai.

89.Taveel hoti hai bahot dastaan zindagi ki,Kuch waqt to lagega sunaane men usey,

Page 66: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Deewana hai dil, rehte hain kuch mustaqil,Kuch waqt to lagega ab samjhaane men usey,

Veeraan dasht men jab rakha hai tu ne gaam, musaafir,Phir kuch waqt to lagega sajaane men usey,

Rooth jaati hai kyon na jaane jaan hamari,Humne kya na kiya manaane ko usey,

'Sahil', ik umr guzri hai yaad karte jisey,Kuch waqt to lagega ab bhulaane men usey.

Page 67: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

90. Watan Ki Yaad

Dopahar ho gayi hai, janab, Badalon se tapak raha hai aab,Chashm num hain , dil hai udaas,Guzra hai mausam jo tha kabhi taab,

Nahin milta hai sabko jahan men sawaab,Kuch rehte hain armaan, kuch rehte hain khwab,Yaad aati hai watan ki jab mujhe, yaro,Yaad aati hai Raavi aur wo darya Chenaab.

Us watan ki lau, uski aab o taab, Wo chahchahati bulbul, us gulshan ka gulaab,Dhundta hun main phir taskin, 'Sahil',Ke aaj dil hai afsurda, bahot be taab.

91.Na soor zakhm ko teri yaad ne bharne na dia,Chaah bhi thi aisi zaalim thi, jis ne marne na dia,

Hum to pareshan they hi , be haal they bahot,Kambakht shab ne, phir raat bhar soney na dia,

Sookhi thi dil ki kisht bhi, be barg o bar, aaj,Na - meharbaan tha falak, jisne boney na dia,

Kotaahi na hui qasd men kabhi, lekinMuqqadar ki riza ne kuch karne na dia,

Dil bhar aata tha aksar manind e sailaab, 'Sahil', per ana bhi thi aisi, jisne roney na dia

Page 68: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya
Page 69: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

92.

Jaan apni hi ki ho jis ne qurbaan,Shahadat ki uska kya loge imtehan,

Dhalte suraj ko dekh kar, hai falak aaj udaas,Takta reh gaya zulmat ko, be bas aasman,

Dijiye kh-moshi ka isey dars zurur,Ke hoti hai zaalim bahot yeh zaban,

Anjaam e zeest muqarrar hai sab ka,Kyon rehta hai insan, tu pareshan,

Nazariya dekhne ka hota hai alag sab ka,Koi raushan sham'a dekhta hai, koi uska dukhaan,

Jalata hun jab bhi main dil men misbaah,Yaad aati hai maazi ki dekh kar dhuan,

Na chaman koi na andaleeb kahin,Kor chashm hain mere, ya har su hai khazaan,

Har lamhe ko dekh 'sahil', tu guzarte huay,Bata, kya khushgawaar rahi teri zeest ki daastaan.

93.

Vida hui bahaar, guzra hai shabaab, Nahin hai 'sahil' yeh waqt e inqilaab,

Har su hai daur e khazan, dil bhi veeraan,Khilega kya chaman men koi dilruba gulab,

Be raham hain abr e tar, tishna hai zamin,Tark kia bulbul ne baagh, kya barsegi ab mai e naab,

Page 70: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Mafhum samjha hayat ka, sawaal na mujhse kar,Sawaal per sawaal vaaiz, na hua koi jawaab,

'Sahil' mukhaatab hai haqeeqat, yaad e maazi taaza, Na jaane kyon dikhaate hain log, mujhe khwab o saraab,

Baja hai, dost, sawaal tera, gila bhi qabool,Per raaz jeene ka yehi hai, khushi se janaab.,

Jaana hai sabko baargah men rab ke huzur,Shakwon ka mat rakh, tu fuzul ka hisaab,

Nasheb o faraz usi ka nizaam o nisaab hai,Mat samajh hayat ko tu khwahmah azaab.

94.Zindagi apni to saja lo,Shab o roz ko hamraaz bana lo,Buri bala hai tanhai yaro,Kisi ko to apna bula lo,

Koi to pehnaye ulfat ki maala,Koi to ho sun ne sunane wala,Rooth jao gar zindgi se 'sahìl,,Phir, koi to ho samjhane wala,

Aasaan nahin hai tanha jeena,Khaali jaam se mai e naab peena,Bacha kar rakho tum daman apna,Aasaan nahin hai chaak daaman seena,

Chalte reh 'sahil', kabhi yeh na samajhna,Ke manzil teri hai bahot dur,Main jaanta hun tujh ko, teri himmat ko,Tera junoon, teri lagan, tere futoor ko.

Page 71: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya
Page 72: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

95.

'Sahil' dubti kashti ko bacha le tu,Sooni mehfil ko jaage le tu,

Kyon ujda ujda hai dayaar teraApne kuche ko saja le tu,

Rutha hai kyon aaj khud hi se tu, Pareshan hai dil, to manaa le tu,

Zulmat har su falak bhi udaas, Sham'a baatin men jala le tu,

Anjuman ka hai tu sitara jab,Beroon ki tajali samaa le tu,

Kahin door kho gaya hai 'sahil' bhi tujhse,Ja, dhund, aur ja kar bula le usey,

Kaun jaanta hai tujhko 'sahil' se behtar,Jaan hai wo teri, ja manaa le usey.

96.

Kya neend kya khwaab kaisi chain ki shab guzri hai,Tu hi bata 'sahil', kya yeh meri hi nagri hai,

Qafas hai yeh kaisa zamin o falak ka, kaho, Sawaal hai yeh kaisa jab turfa aseeri hai,

Nasheb o faraz e zindagi se hi samjhe,Faaqa masti, hi asl jauhar o ameeri hai,

Behr bhi haail na tha visaal men kabhi,Aaj, bin deewaar bhi qurbat men kaisi doori hai,

Kabhi ehsaan faramosh na hona ai 'sahil' tu,

Page 73: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Tu to jawaan hai aur woh alamat e peeri hai.

Page 74: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

97.Ram ke bharose hi chalta hai mulk,Ram ke bharose hi chalega,Kar lo jo chaho tum, ahl-e- siyasat, Ram o Rahim hi ki vaani sunega.

Azaadi ke huay hain sattar saal,Dekh lo logo desh ka tum haal,Karte hain vaade hum se yeh shaikh,Phir kuch nahin hota, kaisa hai yeh kamaal?

Naare lagana hai shauq inka,Dekhiye aap vajd -e- zauq inka,Kya nahin karte yahan yeh log,Aap dekhiye shaan- o- shaukat o fauq inka,

Party A ho ya ho phir party B/C,Giroh hain yeh to sirf siyasi,Fikr hai kisey mulk ki yaro,Bhuki rahe janta, ya rahe wo pyaasi,.

Daulat parasti ka mausam hai,Zabardasti ka mausam hai,Kya yeh tera hi nizaam hai maula,Khud parasti ka mausam hai,

Dhool jhonko aankhon men sabki,Zabaan per kya, hai dil men kya,Khuda hi jaane haal in haakimon ka,Tu hi 'Sahil' hamen kuch bata,

Banaiye bandooken banaaiye jahaaz,Bhaad men gayi puja kaun padhta hai namaaz,'Voice in the wilderness', hai teri 'Sahil',

Page 75: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Afsos, yeh teri hai tanha aawaaz.

Page 76: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

98.Mat sunao dastan 'ghalib' ki yaaro,Ke zabaan 'Sahil, ki bhi rekhta hai,Kaafir na hua' Sahil', kabhi , Ke imaan uska bahot pukhta hai.

Shak o shubaah ka shikar na hua,Kabhi ghaflat men bhi wo be aitbaar na hua,Tufan bhi aaye zindagi men jab,'Sahil' kabhi na - farmabardar na hua,

Ghurub hone ko aya hai aftaab ab,Dekhta hai woh usey dhalte huay,Takta hai woh hairat angez, Zamane ko aaj badlate huay.

Na jaane kab ayegi koi haseen shab,Na jaane kab ayegi taskin ab, Subh to hogi kal 'Sahil' zurur,Per kya hogi wo na ghamgin tab ?

99.Kya bujhayegi mashaal e dil ko hawa,Sham'a kya degi parwana e mustaqil ko saza,

Sun kar cheekh sahil ki, karti hai mauj ilteja, Ai sumundur, baaz aa, sahil ko na sata,

Rang jama de saqi, ik jaam pila de tu,Sooni hai mehfil teri, dikha mehfil ko tu ada,

Ai subh, neend hai pyaari mujhe bahot,Soya hun badi mushkil se, tu mat jaga,

Page 77: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Us raah ko dhund 'sahil', us pir e aasitaan ko, Qareeb tere laaye jo teri manzil, sada.

100.

Kha-moshi se kab banti hai koi baat,Aankh band karne se nahin hotii hai raat,

Aftab ki kirnon se ayaan hoti hai subhMastoor chehre se kya hogi koi mulaqaat,

Hamdardi, dard mandi, sahara, farz hain,Insaniyat ki nahin hoti hai koi zaat,

Gardanen kat ti hain shaikh, sar garanon ki,Inkisaari se na hui kisi ki kabhi maat,

Muraqqa e maazi hai ab hamsafar mera,Guzar chuka hai waqt bhi 'Sahil' manind e din o raat,

Chhord ke jaaye jahan men jo shirin do alfaaz,Kya dega koi is se badh kar kisi ko saughaat

101

Haif 'Ghalib', ke tu ne kalisey ko ja-e-kufr kaha, Rishta kya hai mazhab ka imaan se bata,

Gar imaan nahin to insan ka sar o saaman kya hai, Bat gaya mazhab men gar, to iman kya bata,

Isey waseela na bana tu jannat ke liye,

Page 78: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Mit jayegi insaniyat , ai bashar sambhal ja,

Kya hoga wahdat ka, khuda ke hukm ka,Kya sabka alag hai kahin bhagwaan bata,

Log puchhte hain, kyon rehta hai 'sahil' pareshaan, Ai dil, aaj chashm kyon hai giryaan, tu hi bata,

Zeest turfa tamasha hai, zamana hi hai ajab, Farq kya hai tujh men aur haiwaan men, ai insan bata.

102.'Sahil' na chahte huay bhi shab o roz ko ginta hun,Farishta e ajal ke qadam ki aahat sunta hun,

Azaab to nahin hai zindagi , lekin,Daam e zeest men saraab dekhta hun, khwab bunta hun,

Hayat ke nasheb o faraaz se ghaafil nahin hun main,Hamwaar nahin hota kuch bhi, khub jaanta hun,

Taskin ko rakhta hun main baatin men mahfuz,Na sarwat, na shauhrat, ibadat men dhunta hun,

Gulsitan men gul hona koi mojiza nahin hai,'Sahil' main to biyabanon men ja kar phool chunta hun.

103. Sanam rooth jaaye to manaa lijiye,'Sahil', riza rab ki na ho to kya kijiye,

Chhupaye baithe ho kyon dil men tum raaz, Humsafar hain sitaare bata dijiye,

Page 79: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Gar na khush hai andaleeb to muzaika nahin, Baat to naghme ki hai, aap suna dijiye,

Udaas ho kyon ai humdum mere,Dil halka kijiye, hamen rula dijiye,

Neend aa gayi hai jaanam, palken hain bhaari, Tum kaho to sahi 'sham'a bajha dijiye',

Khata hoti hai sab se ulfat men 'sahil', Kyon hote ho khafa, zara muaf kijiye.

Page 80: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

104.

Husn e seerat o surat ki baat kijiye,Zinda insan na ke moorat ki baat kijiye, Aaj zamana hai aisa, 'sahil' tu bhi dekh, Jahan jaaiye kudurat ki baat kijiye.

Waqt ab kahan sair o shughal ke liye,Chaman men miliye , baat khush soorat kijiye, Haif ! ke haal aisa hai 'sahil', jidhar dekhiye, Siyasat nahin to baat zururat ki kijiye,

Husn e ulfat ki kaun karta hai baat,Baat dosti ki nahin sarwat ki kijiye,Falak o zamin men ab dilchaspi kahan,Zindaan o zamanat ki baat kijiye,

Nizamat teri men, ai mere maula,Yeh kaisa hai daur pesh raft ka,Kuch kar mere aaqa, kuch de isey aql,Apne insan ko aap hi bacha lijiye.

105

Riza hai sab khuda ki, isi men hai daanayi,Jab tak na miley is jism se humko bhi rihayi,

"Khata lamhon ne ki thi, saza sadiyon ne paayi'',Turfa kitna hai ke raah - e- haq gunahon ne dikhayi,

Kaun dekhta hai 'Sahil, kisi ki seerat aaj,Shauq hai sabka sat'hi husn aarayi,

Bujh chuki thi dil ki shama na jaane kab aur kyon,Justaju teri ne maula woh phir se jagayi,

Karte hain log daawe daanishmandi ke dekhiye,Firasat to hum ko yaro deewanon ne sikhlayi,

Page 81: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Hum puchhte rahe thikana bulbul ka baghban se,Raah uske ghar ki uske naghmon ne hamen batayi,

Bhul chuke they logo hum husn e zindagi ko,Aaj yaad phir se maazi ki, bachpan ne dilayi,

Bahot kathin hai 'sahil' is dil ko samjhaana,Mahabat bhi hum ne apni dil se hi nibhaayi,

Justaju darya ki thi manzil e maqsud,Humne baith kar kinaare khud tishnagi mitayi,

Jo mila na mila, muqddar, karam tha tera,Khwaabon se hum ne apni zeest li sajayi,

Yaad karta hai tujhko maula tera 'sahil' subh o shaam,Hoti hai is se uski khub hausila afzaayi.

106.

Ulfat aur wafa bhi kar ke dekh li,Jaan nisaar bhi kar ke dekh li,Ab kya bacha hai dekhne ko 'Sahil',Jab nadi bhi paar kar ke dekh li,

Tere kaarwaan men meer hum so liye,Hawaon ke saath hum ho liye,Jane kis rukh yeh ab le jayengi,Umeedon ki chaadar hum dho liye.

Aasmaan ko chhune ki aarzu ab nahin hai, Sumundur men sadaf ki justaju nahin hai, Haath thaama hai ab tanhai ka main ne, Kisi se ab tamanna - e - guftagu nahin hai,

Chaman men bulbul se mil liye ,Naghme bhi uske sun liyeHisaab rakhna hai ab bas anfaas ka,

Page 82: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Tasbeeh ke daane bhi gin liye,

Khwaab aate hain roz manzil ke, mujhe,Saqi aur uski mehfil ke, mujheKhwahish nahin hai ab kuch bhi baaqi,Nakhre dekha diya aawaara dil ne mujhe.

Hamen apni hi hosh nahin hai 'Sahil ',Tujhe kya batayen kidhar hai manzil,Kisey khabar is na paayedaar jahan men,Pur sukoon kaun hai, aur kaun ghaail.

Page 83: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

107.

Wo junoon hi kya jo sawaar na ho,Wo jaan hi kya jo nisaar na ho,

Har lamha sukun to milta nahin,Ai bande, tu yunhi be qaraar na ho,

Kyon koste ho tum qismat ko apni ,Wo momin hi kya jisey aitbaar na ho,

Mat keh saayaara sitaron ko tu,Khanabadosh hai , jiska ghar baar na ho,

Meri fahm se baahar hai khudaya,Usey saza kyon jo gunahgaar na ho,

Gehra hota hai itna malaal kabhi,Doob jaun main dosto, gar gham khwar na ho,

Har maashuq ko hoti hai chaah aashiq ki,Dukhtaraz kya karegi gar mai khwaar na ho,

Azaab hai khaalipan tanhai ka 'Sahil',Tadapti hai niyaam bhi gar talwaar na ho

Page 84: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

108.

Dua dil men na ho to salaam nahin hota hai,Ulfat men koi aaghaaz-o- anjaam nahin hota hai

Kh-mosh tabasum, sard fughaan, nigah baazi,Izhar e ulfat sar e aam nahin hota hai,

Husn asl ko kab samjhoge yaro,Bin bint ul inaab jaam nahin hota hai

Dekhiye talash kis shai ki hai sabko,Afsos, shaurhat ka koi naam nahin hota hai,

Kya hoga gurez is baat se koi,Ke aaj kisi ka ikraam nahin hota hai,

Samajh le tu ai be rahm waqt,Koi kisi ka ghulam nahin hota hai

Khush hain hum bhale anjaan hi sahi,Ke be naam kabhi bad naam nahin hota hai,

Jahan irade hon nek, dil paak ho,Wahan kuch bhi haraam nahin hota hai,

Jaanta hai sab kuch kaho rab ke siwa kaun,Uski rah per chalna kabhi na kaam nahin hota hai,

Karo justaju uski batin men logo,Deedar e khuda sar e baam nahin hota hai,

Page 85: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Tab'a zaad kaho 'Sahil' to kuch baat baney,'Ghalib ' ko padh kar likhna kalaam nahin hota hai.

109.

Gardish e aayam ke nesheb -o- faraaz dekhiye,Jo kal talak baala dast tha aaj saail hai,

Kis shai ka khauf hai tujhe, suraj bhi to hota hai ghurub,Ai musafir, safina -e- zeest ka har haal, anjaam sahil hai,

Dil kis ne dekha , armaan bhi nihaan hote hain,Ayaan hota hai bas nigahon se, kaun qaatil hai.

Khuda ki riza qabool karne walo, zara socho,Jo qasd na karey insan wo to kaahil hai,

Ma'bad men daakhile se koi momin banta,Har gaam-e- hayat ho dil men jiske khuda, woh kaamil hai,

Jahan dil khush ho aur qana'at ki raunaq ho,Wo tanhai bhi ai 'Sahil', mukamal mehfil hai.

Khuda ka ghulaam hai tu to bata,Kahin aziat aur kyon kahin aish-o-araam,

Main ne kaha ghulaam hun taabedaar hun,Na karo tum bhi sawaal, isi men miley aaram.

Page 86: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

110.

Mera Naam

Kisi ne puchha mujhse kya hai tera naam, Main ne kaha main hun rab ka ghulaam,

Dekh lo baatin men tum bhi khuda ko,Kaise dikhaun main tumhen sar e baam,

Naam kya hai  tere khuda ka, bataMain ne kaha, Allah aur Shri Ram,

Kab milta hai wo tujhe 'sahil'Main ne kaha har subh, aur har shaam,

Rang roop hai uska kaisa, bata,Kya kahun, kahin siyah aur kahin gul faam,

Jodta hun kahin haath main ibadat men,Kahin karta hun sajde aur dua salaam,

Kya jaan na chahte ho dosto tum,Maslak mera, dharam mera ya mera naam,

Kaisa hai yeh daur, ai khudaya tera,Kaisa ajab hai yeh nizaam,

Ab tu hi aa kar samjha jahan ko,Tera bashar to laga hai karne  tamaam.

Mat puchho dosto kya hai mera naam,Main ne kaha na tumse, main hun khuda ka ghulaam.

Page 87: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

111.

Shama to jala deti hai parwaane ko 'Sahil',

Dil phool per aa jaaye, to bhanwara kya karey.

112

Giley waqt se na kar, ai insan, tu khud hi be daad hai,Teri havas ne kar diya tujhe, bilkul barbaad hai,

Kya hua hai tujhe, is jahan ko tere,Nazariya be zauq kyon, jab qad e shamshad hai,

Chaahta hai maut tu dushmanon ke liye,Bande hain sab khuda ke, soch, kitni na jaaiz faryaad hai,

Har bashar ke dil men jab basta hai maula, Phir bhi wo kabhi maseeha, aur kyon kabhi jallad hai,

Maqsud tera khuda hai, kis mustaqbil ki baat hai,Ai bande, zindagi to bas maazi ki roodaad hai,

Kehte hain rooh bhi jism men qaid hai,Mera to aqeedah hai dosto, tan men rooh hi aazaad hai,

'Sahil', bakhshin hain tujhko rehmaten maula ne, be shumar,Takte hain log tujhko, ke dil tera aabaad hai,

Yaro dekhta hun main aaj ki pesh raft ka junoon,Per, kya karun, dil bahot na shaad hai.

Page 88: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

113.

Aaye tufaan jab bhi aaye, panah teri 'sahil ' hai,Rukiyo na , ai kashtiye zeest, us paar hi terri manzil hai,

Itna gham har su yaro , kuch gham ghalat to chahiye,Kyon ruken naaseh ke yaan, maikhana  hi to manzil hai,

Teer o khanjar ba dast nahin , nazaron men unki ayaan hain,Kyon puchhta hai mujhse munsif, kaun mera qaatil hai?

Gunah apne sar le lun, maaf karun , ya saza dun,kar le tu jo pursish chaahe, wo to bahot sang dil hai,

Parwaa nahin mujhe yaro, siyah shab kitni kyon na ho,Raushan rahe shama ya gul ho jaaye , noor e khuda dil men hai,

Pand na de khalwat ke vaaiz, anjuman main ne dekhi hai,Vaaiz, raunaq jis ke dil men ho, uske ghar men mehfil hai,

Shiaar uska tabassum hai, baatin men uske ik Chaman,Khaar kitne kyon na hon, wo bismil nahin, 'Sahil' hai.

114.

Rumooz ka khazana hai, aaj ka yeh insaan, Bahaar dil men nihaan hai, iyaan hai khazaan,

Bazaar e ishq bana hai aaj maidaan -e- jung,Inkisaari dekhiye, hai kitni sar gardaan,

Sumundur tak aap dekhiye, rau ravaani darya ki,Phir dekhìye phisalti kaise, is insan ki zabaan

Dubone wale bahot hain, num chashm per mat jaana, Hain ashk nahin hamdardi ke, bacha kar rakhna daamaan,

Page 89: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Dil shikastah mat karna, log afsos to karenge , lekin, Aah nahin hai dil se unki, riyayi hai unki fughaan,

Dar ba dar, chaarahgar, maikhana aur sanam, Nahin hai koi dua se badh kar , ai nadaan, darmaan,

Reg per chalne ka khauf kaisa, naqsh e pa zururi hain, Gharq ho jao gar behr men, kuch to rahenge phir nishan.

Kab kaha qismat ne bande , qasd se tu ghafil reh,Mil jayega raah per tujhko, jeene ka aur sar o saamaan,

Qasmen khaate hain khuda ki, khuda ko jo ho so ho,Kam zarf hai kitna bashar aaj, kam asl uska imaan,

Umr guzarti ja rahi hai, kaho kis ka hai yeh jahan,Chalta hun zamin per lekin, nigaah men hai asmaan,

Daur hai yeh jiddat ka, aur tu hai is se na aashna,Kyon hota hai tu yunhi 'Sahil', hirasaan, pareshaan.

115.Qita

Gar be wafai na ho jahan men, to lutf e wafa na ho, Khush rahe yeh duniya gar, kahin jafa na ho, Gar khauf e khuda rahe zahn men , koi be wafa ho kyon,'Sahil', sukun se jeena samjhe dunya, phir koi ho kyon khafa.

Page 90: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

116.

Kitna be sabaat hai yeh dum -e- hayaat,Pal men furqat, aur pal men hi mulaqaat,

Ru- ba -ru -e -zeest rehti hai ajal dar pe,Is kaarzaar e hayat men, na koi jeet na koi maat,

Nazar mai hain ghunche ki fana har aan, lekin,,Rakhte hain woh dil men khilne ke tasavuraat,

Sukun pur ho tu jitna , ai rab ke bande,Uthenge zahn men roz hazaron sawalaat,

Jeene ka mafhum hai khabt din o raat,Puchh lo tum us se logo hai jiski yeh kaenaat,

Tasavur rakh dil men maula ko tu hamesha,Phir karna ai bashar apni tu ehtiyaat.

Wo daur-e- wafa kidhar woh paak daaman kahan,Bazaar-e- ishq men nahin chadhti koi baraat,

Neki se pur karo zeest ka tum khazana,Kya le jaoge saath apne tum la'l o jawaharaat,

Page 91: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Yeh zalzala yeh tufaan yeh mausam-e- khazan Qahr hai yeh khuda ka uski ki hai aafaat

Kaash , koi dekhe usey libaas -e majaaz men kahin,Kya milegi hamen 'Sahil' is taraddud se nijaat.

Kaun hai aurr kya uska kaar, yeh sawaal kaise,Jab bande hain sab khuda ke phir wohi to hai uski zaat.

117.

Khaali wo mai ka jaam tha,Paana khayal e khaam tha,Saqi ke maikade men aaj,Raqib hi ka to naam tha. Dukhtaraz ka wo ghulaam that.

Page 92: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

118.

Rang mukhtalif hote hain 'sahil' shajar per, Nazar kyon hai phir teri mere hi dilbar per,

Jaan bhi haazir hai tere liye jaanam,Aur aafat mat dhaa mere sokhta jigar per

Fitna bahot hai aaj ki dunya men 'sahil', Tu rakh inhesaar apne qalam per, na ke nashtar per

Gar khud se guftagu men lutf na ho koi,Phir kya karoge ja kar tum yaaron ke ghar per,

Jab inkisaari hi bunyaad hai raah e sukun ki, Naqsh e pa na banao tum zar ke dagar per,

Nigahen saath na den gar alfaaz ke, dosto, To rakhiye etimaad aap sirf nazar per,

Aadi hain log itne khushamadi ke aaj,Ke uth gaya hai yaqin, insan e aihqar per,

Shab ka madaar hai aftab ke ghurub hone per, Khurshid bhi bhatakta hai ik umeed e sahar per,

Naqaab chehron per nahin dilon per hai mustaqil,'Sahil',Phir bhi karte hain log etibaar majaazi paikar per.

Page 93: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

119.

Kaarguzari hai kis kh yeh araiash e khayaban,Kaho kaun hai is jahan ka wo baghbaan,

Faani hai sab, bas chund din ke hain mehman,Lam ya'zal to khizr bhi na raha, hum kya honge jaavidaan,

Tamanna khwahish pashemaani hain aah ke ajza,Per, dil se nikli hui dua banti hai fughaan,

Saza o jaza ka taslim karna munasib hai,Bas dua kijiye ke rahe muqaddar meharban,

Hum to chal diye hain yaro, apni manzil ki jaanib,Mubarak ho tumko yeh zamin o asmaan,

Zavaal pazeer hua hai itna, tera jahan khudaya,Ilteeeja hai tere 'Sahil' ki, be laus rahe yeh daamaan.

Kh-mosh hain nigahen, siley hain unke lab,Kaash ke jazbaat ki bhi hoti koi apni zabaan,

Jis ja taskin miley, tashaffi ho jahan,Wo dasht o sahra hi sahi, hai wo rashk e jinaan.

Page 94: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

120.

Shaadmani bhi 'Sahil' banti hai saraab,Jeena gar ho jaaye pur azaab,

Manind e sumundar hai zeest, logo,Hote hain is men donon, sukoot o girdaab,

Turfa hai itna shab o roz ka hungama,Kyon rakhun main kaho phir unka hisaab,

Behlaane ko ji , ghunche e dil hi kaafi hai,Kya karunga main le kar tumhara gulaab,

Matti ka putla hai tu bhi to sheikh,Kyon dikhata hai tu mujhe majaazi ro'b n daab,

Kar lo jama nek amaal tum yaroKya saath le jaoge tum hayat ke asbaab,

Khamoshi se paata hun sukun main bahot, varna,Aata hai mujhe bhi tumhen karna be jawaab,

'Sahil' gardish-e-waqt ki aamad se, dekh kaise,Bhool jaate hai apne, aur aghyaar o aibaab.

Page 95: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

121.

Saudagar nahin hun main hun saudayi,Gar samjho baat meri to ho humnavayi,

Har ja hai dahshat, rang zamin ka hai surkh,Ru ba ru hai sabke yeh kaisi tabaahi,

Be hiss o be zauq hain log aaj aise,Ke parwa nahin hai gar ho ruswayi,

Mudda e hayaat pesh raft nahin hai,Bar'to firasat, isi men hai daanaayi,

Jangal ka raja asad hai maana,Lekin wo bhi hai sabka fikrmand humsayi,

Maidaan -e-jung na banao hayat ko yaro,Isi men hai logo jahan ki bhalayi,

Jahan milti hai taskeen tujhe, ai 'Sahil',Usi ja se tu kar le mukammal shahasayi.

Page 96: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

122.

Wo gul na they bahaar ke Wo rang they bimaar ke,They muntazir yeh naina mere,Na jaane kis ke deedaar ke,Wo gul na they bahaar ke.

Wo gul na they bahaar ke,Nishaan they wo ik khaar ke,Rang surkh to tha per tha lahu,Guzre they din aazaar ke,Wo gul na they bahaar ke.

Jo rang na they bahaar keWo zakhm they ik naar ke,Dil ghunche ka bahot naazuk hai,Asbaab they wo kisi daar ke,Wo gul na they bahaar ke,

Kya khazan ke wo yaar they,Wo rang they kisi aur ke,Wo gul na they mere gulzaar ke,Wo gul na they bahaar ke,

Wo gul na they bahaar ke,Nishaan they wo aar paar ke,Kya teer na tha hadaf per 'Sahil',Shayad dast they wo aghyaar ke,Wo gul na they bahaar ke.

Page 97: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

123.

Aaj mila hai waqt sochne ka fursat men,Ranj o malaal bahot hai dosto furqat men,

Chale aate hain log khushhaali men meri,Farishta to wo hai jo kaam aaye musibat men,

Main khush hun yaro tanhai men apni,Ghabra jaata hun ab hungaam e khalqat men,

Kis ne dekha hai kisi ke dil men jhaank kar,Kaash, ek aina hota logon ki soorat men,

Tere teh khaane men kya khazinah hai shaikh,Hum ne dekhi hai khushi kaasa e ghurbat men,

Usey kya milaoge tum khaak men logo,Inkisaari ho jis ki fitrat men,

Kya nahin jaana hai khaak e gor ke aageAi bande, gar ibadat nahin hoti turbat men,

Haath ki lakiron per kya bharosa karen,Quwat bahot hai dast e qudrat men,

Na bana tu kashmakash zindagi ko 'Sahil',Taslim kar jo likha hai teri qismat men.

Page 98: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

124.Gar waqt na hota to hum kya hote,Aur khushi na hoti to gham kya hote,

Na saba, na naseem, na hawa kahin ,Aisi faza men kaho dum kya hote,

Gar ishq na hota na shaheed koi,Majnun na hote, to sanam kya hote,

Gar kufr na hote na hoti ibadat,Phir dair kya aur haram kya hote,

Qaza ka bhi reh shukrguzaar, 'Sahil' fana na hote to janam kya hote,

Mat koso yaro tum dast e khuda ko,Uska qahar na hota to karam kya hote.

Page 99: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

125.

Aaj fikr hai sab ko diram o daam kiAgarche 'Sahil', zururat hai dilon ko aaraam ki,

Na khabar aaghaaz ki, na kisi anjaam ki,Na safar e hayat ke kisi gaam ki,

Jo dil men aaya so kiya hum ne, Muntazir nahin koi aamad -e- payaam ki,

Pila de saaqi, nazron se pila de,Chaah nahin hai hamen kisi jaam ki,

Chhu lete hain taare zamin se hum,Nahin hai darkaar kisi sar e baam ki,

Ehtiraam to baatin men hota hai , yaroQadar nahin hai kisi salaam ki,

Kaise bhuli hai duniya ibadat ko aaj,Guftagu har ja, hasrat - o - kaam ki,

'Sahil' hun logo , tashaffi hai haasil,Aarzu nahin hai 'Ghalib' ke naam ki.

Page 100: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

126.

Dar par aa kar jo hawaDastak de aur miley na,Kya degi woh taskeen mujhe,Naseem ho ya ho saba.

Page 101: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

127.

Kyon pherta hai tasbbeeh, ai zaahid, tu baar baar,Kum huin hain kya mushkilen, kya kam hua aazaar,

Hua karti hai mahabat dil hi se hameshaNigaahon se hota hai to sirf ulfat ka izhaar,

Is khareed o farokht ke aalam men, dekhiye,Har jagah hai aaj ba pa ik naya hungama e baazaar,

Jab ik luqma bahot hai shikam seri ke liye,Hawas kyon hai tujhe insan, kyon hai tu khwaastaar,

Seerat o soorat mukhtalif, har shakhs apni zaat ka,Phir laazim hai ke sabka, ho alag alag kirdaar,

Jisey khauf lage tufaan se, sahil ki god men,Usey kya le jaoge yaro, sumundar ke tum paar,

Aayega waqt bahaar ka, mat dekh gulshan ke khaar,Ruken na raahi gaam tere, jab raah ho na hamwaar.

Basa liye hai maula ko, dil men humne apne,Tu kab tak rahega kaafir, muntazir e deedaar.

" Baabar ba aish kosh ke aalam dobara n'est','Sahil', kaafi hai ik zindagi, tu gaa le raag malhaar

Page 102: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

128.

Mushkilen hain kitni

Mushkil hai kitna kuch na karna,Mushkil hai kitna khud se lardna, Jab talak aaye na mushkil Mushkil hai kitna chain se marna.

Mushkil hai kitna ehsaan karna,Kar ke ehsan phir bhulana,Qarzdaar ban na aasaan nahìn hai,Mushkil hai kitna qarz khwah hona.

Mushkil hai kitna dil ko manaana,Mushki hai kitna patthar ko rulana,Gham qurbat ke bhaari bahot hain,Mushkil hai zahn se udaasi mitana.

Mushkilen bahot hain 'sahil' maana,Mushkil bahot hai haan men haan milana,Ghuroor, ana, joolan hain yaro,Mushkil hai kitna sar jhuka kar chalna.

Muayyin hai Khursheed ka dhalna,Maah o anjum ka nikalnaAziat hai zulmat shab ki ,Mushkil hai raaton ko sona

Page 103: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

129.

Hawa baazi hawala baazi, Aur ab dagha baazi,Tum hi batao,Kaun jeeta hai kaun si baazi ,

How sharp are the minds at coining phrases,Wonder how many 'baazis' still out there,Baazis no more than roulette, friends,And barbs, like Divaali rocket flare.

Baazian mat lagao, ai ahl -e- siyasat,Logon ke armanon se khilwaard mat karo,Yaad rahe tumko anjaam zindagi ka,Voter se nahin, to khuda se to daro.

Baazis are the stuff that casinos are made of,The chequerboard of life in your face,Kings and queens the humble pie eat,And pawns. once in a while. win the race.

Be zauq na bano, zabaan ko do lagaam,Shireen hai yeh shamsheer bhi,Arz hai tum se dast bastah,Aawaaz sun lo awaam ki,

Else face the music, O, vote -seeker,All terms in life come to an end,So does life meld with dust,Simple to understand, isn't it friend?

Page 104: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

130.

Mere dar per aa kar jo hawa,Dastak de aur miley na,Kya degi wo taskeen mujhe,Naseem ho chahe ho saba,

Jo dil ko na chhuay sada,Chilman men na ho haya,Jo gaam se gaam na mila sakey,Banegi humsafar batao woh kya.

Kyon karte ho baat mai e naab ki,Kabhi nazren saqi se milayeene hain kya,Tassavur e raqib zahn men na ho,Kaho wasl ka lutf aayega kya.

Bech kar zameer jo karey sauda,     Wo taajir kaho taajir hai kya,       'Sahil', pukhta na ho imaan jis ka,Usey kahoge banda Khuda ka kya.

131.

Mujhe rang na deekhao bahaar ke,Main ne dekhen hain bahot rang pyaar ke,

Nahin hote hain mustaqil din bahaar ke,Main ne dekhen hain haail raah e hamwaar ke,

Aasaan nahin hota hai dil ka lagana,Sajde dekhiye wafa ke parastaar ke,

Bhadakte sholay, sulagti aag,Mukhtalif hote hain rang har naar ke,

Ishq men lutf to hota hai bahot ,Per zakhm bhi hote hain chund khaar ke,

Page 105: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Riza nahin hoti ulfat men hamesha,Anjaam bhi dekhe hain main ne inkaar ke,

Dil rota to hai per zaahiran nahin,Ke ashk nahin hote hain dil e figaar ke,

Saada lauhi hai libaas firasat ka, 'sahil'Rang nahin hotey hain hoshyaar ke.

132.

Aashiqui se badh kar, ai sanam, kya hai,Gham e furqat se badh kar, gham kya hai,

Dhoke ke namoone ghazab ke hain yaro, Lab pe muskan, to chasm num kya hai,

Rota dil , Behte ashk aur zaban kh- mosh,Koi to batao dosto, ranj o alam aur kya hai,

Na dua, na sajda, na dil men naam rab ka,Gar zakhmi ho jigar, deegar marham kya hai,

Sultanat ho veeran to baadshaahi kaisi,Naam gulon men na ho to bharam kya hai,

Hujoom se dur, shor o ghul se alag,Muqaddas nahin to dair o haram kya hai,

Dum, gar zest nahin hai to kya hai dum,Haya dil men na ho, to sharam kya hai,

Momin maanta hai tu khud ko phir bata,Tere Zahn men 'Sahil' sawaal aur dil men vahm kya hai.

Page 106: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

133.

Rang men tu bhang ab na mila,Ai dil -e- naadaan tu mujhe na sata,

Din bhar ka thaka hara aaya hun,Ab dast e jafa ki daastan na suna,

Nahin hai gar masarrat qismat men , Kam az nam tu to mujhe na rula,

Kyu nahin hai aab e hayaat, saqi, Umeed -e- farda zinda hai tu mai na pila,

Kya manaoge ghairon ko tum kaho,Gar apne hi dil ne saath na diya,

Kab tak karega tu minnat kiran ki,Shayad rootha hai aftab, tu usey na bula,

Tujhe neend nahin aati to jaag mere dost,Auron ke khwaab to na mita

Chhord falsafa, maskhera ban, 'Sahil',Udaasi bahot hai jaban men, tu aur na phaila.

Page 107: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

134.

Kahin gharq na ho jaaun saahil ke aab men, Khudaya, naqsh e pa rahen darya e pa yaab men,

Buland kirdaar men dekhiye kotaahi aaj,Jaise daagh hota hai haseen mahtaab men,

Lehar daurti hai khushi ki ragon men goya, Jumbish ho kisi jaam e seemaab men,

Haya na ho to kya rakha hai jaanum naqaab men, Sach nahin to phir kya hai tere jawaab men,

Gulsitaan ka haqdaar banega wo kaise,Gar rang o bu na ho gulaab men,

Gar tapish na ho subh ke aaftaab men,Sotey rehiye janaab, shab ke shabaab men,

Hama tan gosh kyon baitha hai 'sahil' tu, Mauseeqi to dil men hoti hai, na ke mizraab men.

135.

Shab e furqat hai kya karenge khud ko sanwaar ke,

Ghamgin hai dil na sunao tum naghme bahaar ke,

Ro kar guzaari hai shaam, phir ashkon ka kya shumar,

Meezaan men nahin tolte, gham dil- e- figaar ke

Page 108: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Dil o jaan haazir, kaho aur kya pesh karen,

Maangte ho shahadat, kis qaul e jaan nisaar ke,

Yaaron ne kiye vaade hum se bhi intezaar ke,

Chund khwaab dekhe hum ne bhi sumundar ke paar ke,

Zakhmi hai jigar, daaman hai taar taar,

Mat suna 'Sahil' to qisse dil e daaghdaar ke.

136.

Jazba hai mahabat, aitbaar deewanon ka kya,

Har su ho khazan, to gulzaar khaaron ka kya,

Hamdardi, humnavayi, kaho aur kya chahiye,

Insan ho to deedar phir, farishton ka kya,

Yeh hua, wo hua, khuda hi jaane kya hua,

Baat karo zeest ki, daastaanon ka kya,

Badalte hain rang misl-e girgit, yeh

Bharosa kaho phir meharbanon ka kya,

Page 109: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Garajte hain insan jaise garjte hain abr,

Yaqin main karun asamonon ka kya,

Na gul, na bahaar, na kuch aur la faani,

Jab gulshan hai faani to baghbanon ka kya,

Ai shaikh, jeeni hai zeest sab ne apni apni,

Taareekh se kya vaasta, zamanon ka kya,

Tai kar ai musafir, tujhe jaana hai kahan,

Manzil na ho zahn men, to raahguzaron ka kya,

'Sahil' mahal na bana, mahalon ka kya,

Humsafar hi na rahey, to deevaron kya,

Khazaan men paley, shanasayi hai khazaan se,

Aati jaati in hain baharen, baharon ka kya.

Page 110: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

143.

Hungama

Khaali wo mai ka jaam tha

Milna , khayal e kham tha,

Saqi ke maikade men aaj,

Raqib hi ka naam tha.

Wo dukhtaraz ka ghulaam tha

Raqib mera badnaam tha

Mai ka tha shauqeen bahot

Rehta sar-e- haam tha.

Rang na siyah na gulfaam tha

Iman us ka na-kaam tha,

Jis dil men basa ho shaitaan,

Us dil men qatl-e-aam tha.

Page 111: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

Hungama khule aam tha

Kisi shai ka na koi daam tha

Baazaar aap ka the janab

Puchhna wahan haraam tha.

Hungama uska naam tha

Hungama uska kaam tha,

Baazar tha woh turfa 'Sahil',

Hungama hi payaam tha.

Page 112: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

144.

Aasaan nahin hai jeena ,nafas ke lete lete,

Kahin ruk na jaaye saans' Sahil' nafas ke lete lete

Marna bhi aasaan nahin hai, chain se jeeta hai kaun,

Le jaana ai khudaya tu, neendon men sotey sotey,

Jeete hain sab ginte huay, subh o sham saare,

Guzaarte hain zindagi goya, sab hi khote khotey,

Din chaar hain sabke dosto, jannat hai muntazir,

Be faiz hai phir jeena inhen, yunhi rote rotey,

Haasil hua zeest men kya, shumaar na kabhi kijiye,

Umr guzarti hai sabki yaro, tukhm hi botey botey,

Chaand per daagh hain, yeh rahenge hamesha

Kul umr lagti hai 'Sahil' daaman ko seete seetey.

Page 113: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

145.

Kab tak naghme sunaoge , dil kab tak behaloge

Roothe nahin udaas hain 'Sahil', tum kab tak hamen manaoge,

Hum jaante hain janab ko huzur, hamen na bataiye

Kyon karte ho vaade milne ke, dilaase kab tak dilaoge,

Page 114: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

146.Rang kya batayen chaman ke gulabon ka,

Hijaab pehnao yaqin nahin, tirchhi nigahon ka,

Naam bahaar kis shai ka hai khazaan se puchhiye,

Kaun jaanega behtar us se, pata baharon ka,

Taar e dil ko na chherdiye, khuftah hain aansu,

Ban jayega jaag gaye to , ik darya ashkon ka,

Dil men hoti hai wafa, ulfat bhi to jazba hai ,

Kya karenge dekh kar jaanaan, tera ruqqa daawon ka,

Dekhta hun hairat zada is vahshi dunya ko main

Shumar karta hun, ungilon per, aaj nek insanon ka,

Aaj ka din khatm hua kya pata kal thikanon ka,

Khabar khud ki hi nahin , kya karun mehmanon ka.

Tanha bahot hai dil 'Sahil', har su hai tanhayi,

Taalib hun ik dost ka, kya karunga tere naghmon ka,

Page 115: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

147.

Samjhte they tu bas ik mehmaan hai,

Dil kehta hai ab, tu 'Sahil', ki jaan hai,

Teri aankhon ka khumar basa hai dil men,

Tu dost hai jahan ki, to mera imaan hai,

Mahabat ki baaten karenge jab log,

Kehenge yeh teri aur meri daastan hain,

Aata hun milne tujh hi ko chaman men,

Tu na ho to maano gulshan khazaan hai,

Mehak ho teri jis baagh men jaanam,

Wahan phulon men tujh ko dhundna aasaan hai,

Tu milne se na itarana kabhi,

Raaz e ulfat dil men 'Sahil' ke pinhaan hai.

Page 116: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

148.

Hazaron , laakhon arbon guzre

Main bhi chala jaunga,

Marhala hai yeh jag bhi yaro

Rab ke ghar sukun paunga,

Muntazir hai firdaus sab ka,

Bas nek amaal hi karte jao,

Jo kaho jo karo,

Usey paak libaas pehnao,

Ghoomta phirta hai iblees

Talaash kamzor insan ki ,

Hawas buri bala hai yaro

Khayal karo tum jaan ki,

Naseehaten mat de tu 'Sahi',

Kaun sunega teri,

Jo bhi jaaye aaj ma'bad men

Us ne jhooti mala pheri.

Page 117: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

149.

Kafan ki chaadar mujhe mat dikhao,

Zinda hai dil, naqaab mat pehnao,

Shab, to shab hi hai , hai wo zulmat bhari,

Umeed sahr hai, mujhe umeed se milao,

Maana ke shab vasl ki hai, aftaab to hoga ayaan,

Jal chuki hai yeh raat bhar, ab to sha'ma bujhao ,

Har su hain ghair jahan men , yaro,

Bulbul ke nahin tum naghme apne sunao

Jaanta ha i'Sahil', haqeeqat zindagi ki ,

Tum sapne suhaane usey mat dikhao

Page 118: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

150.

Tere husn ke deedar ke taalib hain sab,

Tere dare pe baithe hain sab jaan ba lab,

Tujhe kya khabar tera ghar hai kya,

Teri har ada ka hai andaaz ghazab,

Saazgaar the wo zamana bahot,

Kya hua hai is zamane ko ab,

Jab ek hi hai jahan ka parvardigar,

Tera kaun hai bata, falak men rab,

Samjha na khudaya tere jahan ko, 'Sahil',

Ajab hai maula, yeh bahot ajab.

Page 119: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

151.

Jazba hai mahabat, aitbaar fasaanon ka kya,

Har su ho khazan, to gulzaar khaaron ka kya,

Humnavayi ho to phir aur kya chahiye,

Ghair miley nek to deedar mehmaanon ka kya,

Yeh hua, wo hua, khuda jaane kya hua,

Baat karo zeest ki, daastaanon ka kya.

Farhaad, Majnun, Raanjha, pujaari mahahat ke ,

Haal dekhiye aaj ke khokhle deewaanon ka,

Kar ke barbaad zamin ko yeh banda e khuda,

Ab, chala hai haal bigaadne aasmaanon ka,

Zamana tera, tera apna hai 'Sahil',

Log karen jo chaahen zikr zamaanon ka.

Page 120: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

152.

Doob jaati hai kashti girdaab men kayi baar,

Mat kar tu baaten maraasim ki yaar,

Sunen hain qisse tere raub ke bahot,

Soch ai shaikh, kiska hai siva rab ke, ikhtiyaar,

Kyon chalte hain log chashm kor ki tarah,

Kaho, kaun hai khufta aur kaun bedaar,

Daon pech mat sikhao tum zeest ke mujhe,

Ba khabar hai gul ke muhafiz hai uske khaar,

Ai bande , gulshan hai hayat aur baaghban tu,

Isey daulat se nahin ibadat se sanwaar,

Jaanta hai 'Sahil' asliat jahan ki,

Hamsafar hain uske , is baagh ke gul o khaar

Page 121: ashoksawhny.comashoksawhny.com/images/urdu-roman.docx · Web viewHar aasim ke dil men, dil wali ka bhi hai Paak insaan wo dikhao Jo gunahgaar na ho, Do raaha umeed o beem hai duniya

153.

Mere kehne per gar ruk jaaye ajal,

To jaavidaan khizar nahin, main banun,

Dil ki baat sunun ya tumhari sunun,

Koi to batao kis ki sunun, kya karun,

Zulmat se kaho kyon darun,

Aur jeene se pehle, kyon marun,

Aankh band karun neend na aaye,

Jaagun, ya khwabon se ja milun,

Faza, to bas faza hai 'Sahil',

Phir khalah ko kyon aasmaan kahun