Top Banner

of 124

Welcome message from author
This document is posted to help you gain knowledge. Please leave a comment to let me know what you think about it! Share it to your friends and learn new things together.
Transcript

1

Ilm ka haasil karna har Musalmaan par farz hai.

(Urdu English Transliteration)

Tel. : 022 - 23051111 Fax : 022 - 23051144 Website : www.deeniyat.com email : [email protected] Reserved Regd. L-26249

2

Pesh LafzIs daur mein hamaari zindagiyaan machine ki tarah masroof wa mashghool hoti chali jaa rahi hain, in masroofiyaat ke pesh-e-nazar waqt ki hifaazat aur qadr karne waale log, mazdoor pesha afraad apne zaroori kaamon ko anjaam dene ke liye fursat ke lamhat ka intezaar karte hain, neez waalidain ko bhi apne bachchon ki chhuttiyon ka intezaar rehta hai. Jab taatilaat (Vacation) ka mauqaa aata hai to unhein anjaam dene ki koshish karte hain. Yeh bazaat-e-khud bahot achchhi cheez hai. Ek Momin ki pehchaan yehi honi chahiye ke woh apne auqaat ko qeemti samjhe aur use lahw wa laib, khel tamaashe mein mashghool ho kar zaye na kare. Hadees -e- paak mein hai ke Apne fursat ke lamhaat ko mashghool hone se pehle ghaneemat Jaano. Waqt ki isi qadr -wa- qeemat aur fursat ke lamhaat ki ahmiyat ke pesh-e-nazar Summer Vacation ke liye

a

3

ek course tayyar karne ki koshish ki gayi hai taake Allah ke bande apni doosri masroofiyaat (Activities) ke saath saath deen ki baatein bhi seekh lein aur aakhirat ke liye kuchh amal kar lein kyunke Hadees-e-paak mein hai. Aqalmand aur samajhdaar woh hai jo apne aap ko (Allah Taala ki raza ke kaamon ka) mutee banaaye aur marne ke baad kaam aane waale aamaal kare aur aajiz wa bewaqoof hai woh shakhs jo nafs ki khwaahishat ki pairwi kare aur Allah Taala se ummeedein baandhe. [Tirmizi] Nisaab ki khusoosiyaat Yeh tees din ka mukhtasar nisaab hai. Is mein deen ki ahem aur zaroori baaton ko jama kiya gaya hai. Nisaab mein chaar buniyaadi anaaween ke tahet chand ahem cheezein hain jin ki tafseel mundarja zail hai. Quraan : Nooraani Qaaidah, Hifz-e-Surah. Hadees : Dua, Sunnat. Aqaaid/Masaail : Aqaaid, Masaail, Namaaz Islami Tarbiyat : Seerat, Aasaan Deen. Course mein intehaai buniyaadi aur zaroori baaton ko jama kiya gaya hai taake un masaail ko jaan lein jin se waaqif hona deen par amal karne ke liye be had zaroori hai. Ibteda hi mein

b

4

Namaaz ki mukammal mashq di gai hai. Saath mein chand suraton ko hifz karaane ki tarteeb likhi gai hai jin se Namaaz sahih ho jaaye, Quraan ko sahih aur tajweed ke saath padhne ke liye course mein nooraani qaaidah shamil kiya gaya hai. Hadees ke unwaan ke tahet ahem ahem duayein aur sunnatein hain. Aqaaid mein Islaami kalime diye gaye hain. Masaail ke zimn mein Wuzu, Ghusl, Namaaz ke faraaiz aur waajibaat ko shamil-e-nisab kiya gaya hai. Huzoor r aur ki Seerat Deen ke paanch shobon se mutaalliq tarbiyati wa akhlaqi baatein, ahaadees wa waaqiaat ko zikr kiya gaya hai. Is mazmoon se hamaara mansha yeh hai ke taalib-e-ilm tarbiyat ki rozaana deeni hoti rahe, is liye is

mazmoon ko khoob achchhi tarah padhaaya jaaye aur samjhaaya jaaye taake taalib-e-ilm deeni bedaari paida ho. Khulaasa-e-kalaam hai ke is nisaab ko is taur par murattab tamaam kiya ahem gaya aur hai ke zaroori yeh mein

cheezein is mein aagai hain.

c

5

Padhaane ka tareeqah Kitaab ke har Mazmoon ko rozaana padhaaya jaaye, albatta Aasaan Deen ke asbaaq ko padhaate huwe deen ki sahih shakl wa soorat ki wazaahat bhi karte jaayen. Course mein shaamil anaaween ke shuru mein har unwaan ki mafhoomi taareef aur us se mutaalliq targheebi baat zikr ki gai hai, padhaate waqt woh samjha di jaaye. har unwaan ko kaise padhaana hai? Kaun si cheezein yaad karaani hain? Is ki tafseel har unwaan ke shuru mein Hidaayat baraye Ustaaz ke zimn mein zikr kar di gai hai. Masaail ke saath Namaaz ki amali mashq par khoob tawajja dein taake Namaaz ka zaahir aur baatin Aap r ki bataai huwi Namaaz ke mutaabiq ho jaaye. Isi maqsad ke tahet akhir mein Namaaz chart diya gaya hai, neez taalib-e-ilm ki haaziri ka chart bhi diya gaya hai jis par ehtemaam ke saath nishaan lagaayein. Akhir mein dua hai ke Allah Taala is koshish ko kaamiyaab farmaaye, Ummat ke liye naafe banaaye aur hamaare liye zakhira-e-aakhirat banaaye. (Aamin Ya Rabbal Aalameen)

d

6

Mazaameen ki tarteeb

e

7

Anaaween (Topics)IbtedaaiyaHamd HamdTaareef, Targheebi Baat

1 Quraan

A

Nooraani Qaaidah TargheebiBaat

Taareef,

Makhaarij-e-Huroof Nuqte Huroof-e-Tahajji ki mukammal takhti Murakkab (mile huwe) Huroof ki shaklen Harkat ka Bayaan Sukoon (Jazm) ka Bayaan Hamza-e-Saakinah ka Bayaan Huroof-e-Maddah ka Bayaan Khada zabar, khada zer, ulta pesh

B

Hifz-e-Surah

Taareef, Targheebi Baat

41 41 Sura-e-Feel Sura-e-Quraish 41 41

4 1 4 1 4 1 4 1f

8

Anaaween (Topics)

Sura-e-Kaafiroon

Sura-e-Lahab Sura-e-Ikhlaas Sura-e-Falaq Sura-e-Naas

43 43 43 43

4 3 4 3 4 3 4 3

2 Hadees Dua, SunnatTaareef, Targheebi Baat

Khaane se pehle ki Dua Shuroo mein Dua padhna bhool jaaye to... Khaane ke baad ki Dua Khaane ki Sunnatein 48 ...

Paani peene ke baad ki Dua 49 Paani peene ki Sunnatein Doodh peene ki Dua Baitul khala jaane se pehle ki Dua Baitul khala se baahar nikalne ke baad ki Dua 49 50 50 50

4 8 4 9 4 9 5 0 5 0 5 0g

9

Anaaween (Topics)Bait-ul-khala ki Sunnatein Sone se pehle ki Dua So kar uthne ki Dua Sone ki Sunnatein So kar uthne ki Sunnatein 51 52 52 53 54

5 1 5 2 5 2 5 3 5 4 5 6 5 8 5 8 5 9 5 9 6 0 6 1 6 1 6 3 6 5 6 5 6 6 6 6 6 7h

3 Aqaaid, Masaail

A

Aqaaid

Taareef, Targheebi Baat

56 58 58 59 59 60 61 61 63 65 65 66 66 67

Kalima-e-Tayyiba Kalima-e-Shahaadat Kalima-e-Tamjeed Kalima-e-Tauheed Kalima-e-Istighfaar Imaan-e-Mujmal Imaan-e-Mufassal

B

Masaail

Taareef, Targheebi Baat

Ghusl ke Faraaiz Wuzu ke Faraaiz Nawaqiz-e-Wuzu Paanch Namaazein Rakat ki Taadaad

10

Anaaween (Topics)Juma ki Rakatein Namaaz ke Sharaait Namaaz ke Arkaan Namaaz ke Waajibaat Namaaz ke Mufsidaat 68 68 69 69 71 73 77 82 83 87 88 89 90 91 91 93

C

Namaaz Targheebi Baat

Taareef,

Namaaz ka Tareeqa Aurton ki namaaz ka farg Namaaz ki Tarkeeb Kalimaat-e-Namaaz Sanaa Tashahhud (Attahiyyaat) . Durood Shareef Dua-e-Masoorah Dua-e-Qunoot Namaaz ke baad ki dua

6 8 6 8 6 9 6 9 7 1 7 3 7 7 8 2 8 3 8 7 8 8 8 9 9 0 9 1 9 1 9 3

4 Islaami Tarbiyat A BSeeratTaareef, Targheebi Baat

495 96 101

Sawaalaat, Jawaabaat Aasaan DeenTaareef, Targheebi Baat

9 5 9 6 1 0 1i

11

Hamd Nazm ke andaaz mein Allah ki taareef karne ko Hamd kehte hain. Hadees Hazrat ubai bin Kaab t se riwaayat hai ke baaz shearon mein hikmat ki baatein [Bukhari] hoti hain. Jin ashaar mein shariyat ke khilaaf koi baat na ho balke us mein Allah ki taareef, hamare Nabi r ki sifaat aur pyaari baatein hon to woh ashaar pasandeedah hain. Hidaayat Baraye Ustaaz Is unwaan ke tahat ek Hamd di gai hai. Jo bachchon ko ijtemaai taur par aane ke waqt padhaa di jaaye. Ibtedaa mein khud padhaayen phir yaad ho jaane ke baad jis bachche ki aawaaz achchhi ho us se padhwaayein, Ise baqaaida yaad karaane ki zaroorat naheen, bas rozaana paabandi se padhaate rahein to insha Allah khud ba khud bachchon ke zahan nashin ho jaayegi.

1

12

Aao geet

Aao sar ko jhukaein khuda ki hamd ke gaein

jis ne is duniya ko banaya aur hamein phir is mein basaya

jis ne hamein imaan diya hai ham pe bada ehsaan kiya hai

fikr hai kuchh na kisi ka gham hai yeh ham pe khuda hi ka karam hai

2

13

3

14

Qaaidah Allaah taala ki woh kitaab jo Muhammad r par naazil hui us ko Quraan kehte hain aur Jis kitaab mein Quraan padhne ke tareeqe bataaye jaayein us ko Qaaidah kehte hain. Hadees Rasoolullah r ne farmaaya : tum mein sab se achchha shakhs woh hai jo Quraan ko seekhe aur sikhaaye.[Bukhaari ]

Quraan Allaah taala ki woh kitaab hai jis ko qayaamat tak tamaam insaanon ki hidaayat ke liye utaara gaya hai aur use donon jahaan ki zindagi ki kaamyabi ka meyaar banaaya gaya hai. jis ki zindagi Quraan se milti hogi Allaah us ko donon jahaan mein kaamyaab karein ge aur jis ki zindagi Quraan se door hogi Allaah us ko naakaam kareinge, Huzoor r ki zindagi Quraan ka namoona thi. Hazrat Aaisha se kisi ne poochha Huzoor r ke akhlaaq kya the ? Hazrat Aaisha ne jawaab diya : Ke tum Quraan nahin padhte? Huzoor r

4

15

(ki zindagi) ke akhlaaq Quraan (ke mutaabiq) the.[Musnad-e-Ahmed] Pas Quraan ko sikhna, us ko padhna aur us par amal karna har musalmaan par laazim hai aur aisa musalmaan Allah ki nigaah mein behad mahboob hai. Hidaayat Baraye Ustaaz Mukammal Noorani Qaaida jis ko Majlis-e-Dawatul Haque Hardoi ne Noorani Qaaide ke qadeem nuskhe ki mutaabaqat ke baad aur mufeed izafon ke saath shae kiya hai. Isi ko zaroori aur mazeed mufeed izafon ke saath shamil-enisaab kar liya gaya hai aur us ka naam mufassal Noorani Qaaidah rakha gaya hai. Asbaaq ki tarteeb mein is baat ka lihaaz kiya gaya hai ke har aaindah Qaaide ka guzishta Qaaide se talluq ho. Is ke pesh-e-nazar kahin kahin Noorani Qaaide ke asbaaq ki tarteeb mein taqdeem wa taakheer ki gai hai. Neez qawaid ko bade sahal andaaz aur aasaan zaban mein zikr kiya gaya hai.

5

16

Makhaarij-e-HuroofNote : Asaatza-e-kiraam talabah ko huroof ki adaaigi samjhaane ke liye in makhaarij se madad le sakte hain. Kisi bhi harf ka makhraj maaloom karne ka tareeqa yeh hai ke Harf ko saakin karke us ke shuroo mein hamzah lagaa do, jahaan aawaaz ruk jaaye woh us harf ka makhraj hai jaise: AB IB UB, AT IT UT, - -IS US. AS Alif, Waw,Ya Maddah : Munh ke andar ke khaali hisse se ada hote hain, jaise : Baa, Boo, Bee. Hamzah, Ha: Halaq ke seene ki taraf waale hisse se ada hote , , , hain, jaise : Aa, Ie, Ua. Ah, Ih, Uh. Ain, Ha:Halaq ke darmiyaani hisse . se ada. hote hain, jaise : Aa, Ie, . . Uu. Ah, Eh, Uh. Ghain, Kha : Halaq ke munh ki jaanib waale hisse se ada hote hain, jaise : Agh, Igh, Ugh. Akh, Ikh, Ukh. Qaaf:Zabaan ki jad ki ibtida aur us ke muqaabil oopar ke taalu se ada hota hai, jaise : Aq, Iq, Uq.Kaaf : Zabaan ki jad ki intiha aur us ke muqaabil oopar ke taalu (Qaaf) ke makhraj

6

17

Se zara munh ki taraf hat kar narmi se ada hota hai, jaise : Ak, Ik, Uk. Jeem, Sheen, Ya : Zabaan ke beech aur us ke muqaabil oopar ke taalu se ada hote hain, jaise : Aj, Ij, Uj, Ash, Ish, Ush, Ay, Uy. Zaad:Zabaan ki karwat aur oopar ki daadhon ki jad se ada hota hai, jaise : Az, Iz, Uz. - Laam : Zabaan ka kinaara aur oopar ke saamne waale aath daanton ke masoodhon se ada hota hai, Jaise: Al, Il, Ul. Noon : Zabaan ka kinaara aur oopar ke saamne ke ek nokeele daant se le kar doosre nokeele daant ke masoodhon se ada hota hai, jaise : An, In, Un, Ra : Zabaan ke kinaare aur pusht aur oopar ke saamne ke chaar daanton ke masoodhon se ada hoti hai, jaise : Ar, Ir, Ur. Ta, Daal,Ta: Zabaan ki nok aur . saamne ke oopar wale do danton ki jad se ada hote hain, jaise: At, It, Ut, Ad, Id, Ud, At, . It, Ut. . . 7

18

Sa, Zaal, .. Za: Zabaan ki nok aur saamne ke oopar waale do daanton ke kinaare se ada hote hain jaise : As, Is, Us,- Az, Iz, - Uz, Az , Iz , Uz .. .. ... Za, Seen, Saad: Zabaan ki nok aur . . saamne ke oopar neeche waale chaar daanton ke kinaare se ada hote hain, jaise: Az, Iz, . . Uz, As, Is, Us, As, Is, Us. . . . . Fa : Neeche ke hont ke geele hisse aur oopar ke do daanton ke kinaare se ada hota hai, jaise : Af,If, Uf. Ba : Donon honton ke geele hisse se ada hota hai , jaise : Ab, Ib, Ub. Meem : Donon honton ke khushk hisse se ada hota hai, jaise: Am, Im, Um. Waw : Donon honton ko gol karne se ada hota hai jaise: Aw, Iw. Note : In Huroof ko hamesha pur padhein, Kha, Saad , Zad, Ghain, . Ta, Qaf, Za.In Huroof ki adaigi mein . dhyaan rakhne ki sakht zaroorat hai, take in harfon ki awaz ka farq maalum ho jaye. Hamza Ain , Saa Seen Saad, Taa . Taa , Zaal Zaa Saa, Zaa.. Zaad, . .. Qaaf Kaaf, Ha Ha. . 8

19

Takhti No. 1 Sabaq 1Nuqte

Huroof ki Pehchaan

Saa -

Taa

Baa

Alif

9

20

Khaa

Haa .

Jeem

10

21

Zaa .

Raa

Zaal

Daal

11

22

Zaad -

Saad .

Sheen

Seen

12

23

Ghain

Ain

Zaa ..

Taa

13

24

Laam

Kaaf

Qaaf

Faa

14

25

Waaw

Noon

Meem

15

26

Yaa

Hamzah

Haa

16

27

Huroof-e-Tahajji ki Mukammal Takhti

17

28

Takhti No. 2

Murakkab (Mile Huwe) Huroof ki Shaklein

18

29

Murakkab Huroof ki Mashq

19

30

20

31

Murakkab Huroof ke Shuroo, Darmiyaan aur Aakhir mein hone ki Mashq

21

32

Takhti No. 3 Sabaq 1Harkat ka BayanPesh Zer Zabar

1) Zabar, Zer aur pesh ko harkat kehte hain. 2) Jis harf par zabar, zer ya pesh ho us ko mutaharrik kehte hain. 3) Mutaharrik harf ko jaldi padhein zara bhi na kheenchein jaise . 4) Alif hamesha khaali hota hai aur us par harkat Aa jaaye to woh hamzah ho jata hai.

Zabar

22

33

Ek Harf par Zabar ki Mashq

Do Harf waale kalimaat par Zabar ki Mashq

FAA: Fa zabar FA, ain zabar AA =

.

Teen Harf waale kalimaat par Zabar ki Mashq

23

34

Darasa : Daal zabar DA, Ra zabar RA, DARA, Seen zabar SA, .

Sabaq 2

Zer

Zer waale harf ko jaldi padhein, zara bhi na kheenchein, maaroof padhein, Majhool se bachein jaise, .

Ek Harf par Zer ki Mashq

24

35

Do Harf waale kalimaat par Zer ki Mashq

IBI: Hamzah zer I, Ba zer BI =

.

Teen Harf waale Kalimaat par Zer ki Mashq

IBILI: Hamzah zer I, Ba zer BI, IBI, laam zer LI = .

Sabaq 3

Pesh

Pesh waale harf ko jaldi padhein, zara bhi na kheenchein maaroof padhein, majhool se bachein, jaise .

25

36

Ek Harf par Pesh ki Mashq

Do Harf waale kalimaat par Pesh ki Mashq

LUSU: Laam pesh LU, SA pesh SU= -

.

26

37

Teen Harf waale kalimaat par Pesh ki Mashq

RUSULU: Ra pesh RU, seen pesh SU, RUSU, laam pesh LU = .

Harkat ki Umoomi Mashq

27

38

Takhti No. 4Sukoon

Sukoon (jazm) ka bayaanSukoon ko Jazm bhi kehte hain, jis Harf par sukoon ho us ko Saakin kehte hain. Saakin Harf ke saath pehle waale Harf ko milaakar padhein.

Sukoon ki Misaalein Zabar ke saathMasalan : Hamzah Ba Zabar = Ba Ta zabar = . ,

28

39

Sukoon ki Misaalein Zer ke saathMasalan : Noon Ba Zer = Waaw Ta Zer = . ,

Sukoon ki Misaalein Pesh ke saathMasalan: Ta Ba Pesh = Ra Ta Pesh = . ,

29

40

Sukoon ki Mashq Teenon harkaton ke saath

30

41

Hamza-e-Saakinah ka BayaanHamza-e-Saakinah ko jhatke ke saath padhein ge. Hamzah kabhi Alif ki shakl mein hota hai, kabhi waaw ki shakl mein aur kabhi ya ki shakl mein.

Takhti No. 5Huroof-e-Maddah ka BayaanHuroof-e-maddah teen hain, Alif, Waaw, Ya. Huroof-e-maddah ko ek alif ki miqdaar kheench kar padhein. Alif se pehle zabar ho to alif maddah hota hai. Jaise ba alif zabar .

31

42

Mashq

ZAADA: ZA alif zabar ZAA . Daal zabar DA, = .

Ya saakin se pehle Zer ho to ya maddah hoti hai jaise: ba ya zer .

32

43

Mashq

DEENEE : Daal ya zer DEE, Noon ya zer NEE = .

Waaw saakin se pehle pesh ho to waaw Maddah hota hai Jaise: ba waaw pesh .

33

44

Mashq

NOOHU: Noon waaw pesh NOO, Haa pesh HU = .

Umoomi Mashq

34

45

Khada zabar, khada zer, ulta peshKhada zabar, khada zer aur ulta pesh ko ek Alif ke baraabar kheench kar padhein ge. Khada zabar Alif maddah ke baraabar hota hai. Jaise: Ba khada zabar , ba alif zabar .

Mashq

35

46

Aadama: Hamzah khada zabar AA. Daal zabar DA, AADA. Meem zabar MA .

Khada zer ya Maddah ke baraabar hota hai. Jaise: Ba khada zer , ba ya zer .

Mashq

36

47

EELAAFI: Hamzah khada zer EE, laam khada zabar LAA, EELAA. Fa zer FI .

Ulta pesh waaw Maddah ke baraabar hota hai. Jaise : Ba ulta pesh , ba waaw pesh .

Mashq

DAAWOODA: Daal alif zabar DAA, waaw ulta pesh woo, DAAWOO, Daal zabar da = .

37

48

38

49

Hifz-e-Surah Quraan-e-Kareem ki kisi surat ke yaad karne ko hifze-surah kehte hain. Hadees Aap r ka irshaad hai ke jis shakhs ne Quraan padha, phir us ko zabaani yaad kiya aur us ke halaal ko halaal jaana aur haraam ko haraam, haq taala shaanuhu us ko jannat mein dakhil farmaaeinge aur us ke gharaane mein se aise das aadmiyon ke baare mein us ki shafaat farmaaeinge jin ke liye jahannam wajib ho chuki hogi.[Tirmizi]

Quraan Allah taala ki kitaab hai, us ko padhne par beshumaar sawaab hai, us ko hifz karne ki badi fazilat hai. chunancha Huzoor r ka irshaad hai ke woh Quraan ka hafiz jis ko yaad bhi achhcha ho aur padhta bhi achhcha ho, us ka hashr qayaamat ke din un muazzaz farmanbardaar farishton ke saath hoga jo Quraan ko Lauh-eMahfooz se naql karne wale hain.[Muslim]

Neez Huzoor r ne farmaaya : jis ke dil mein Quraan ka koi hissa bhi nahin woh veeraan ghar ki tarah hai. [Tirmizi]

39

50

Jis tarah ghar ki aabaadi aur raunaq rahne wale se hai, Aise hi insaan ke dil ki raunaq wa aabaadi Quraan ko yaad rakhne se hai. Lihaza Quraan-e-Kareem ko hifz karna chahiye, kam az kam itna to zaroor yaad hona chahiye jis se namaaz saheeh hojaye. jis ko jitna hissa Quraan-e-Kareem ka hifz hoga us ko usi ke baqadr jannat ke darjaat haasil honge. Hidaayat Baraye Ustaaz Hifze-Surah ke nisaab mein sura-efatiha ke alaawah Sura-e-Feel se Sura-e-Naas tak das surtein hain. Talabah ko surtein yaad karate waqt jin baaton ko pesh -enazar rakhna hai un mein sab se awwal yeh hai ke tajweed ki mukammal riaayat ke saath padhaaya jaye. Har surat ko yaad karaate waqt kuch din khud padhaaein, phir bachchon se baari baari padhwaya jaye. Choonke suratein Quraan-eKareem ka hi hissa hain lihaza is kitaab ka bhi pura pura ehteraam kiya jaye.

40

51

41

52

8

42

53

9

1 0

1 1

1 2

43

54

44 72

55

Dua, Sunnat Allah se maangne ko "Dua" aur hamare nabi r ke tariqe ko "Sunnat" kehte hain. Hadees- Rasoolullah r ne farmaya: jis ne meri ummat mein bigaad ke waqt meri

sunnat ko mazbooti se pakda to us ke liye Sau (100) Shahidon ka sawaab hai. Hazrat zindagi namona Muhammed liye lihaza [Baihaqi] r ki kamil aap ki

hamaare hai,

zindagi ko jaanna zaruri hai. kis mauqe par Aap ramal ne kya kiya? Aap r ki kya sunnat hai? aur kin kin mawaaqe par Aap r ne kaun kaun si duaaein padhin? un tamaam ko seekhna aur un par amal karna bahot zaroori hai is tarah zindagi guzaarne par duniya mein bhi chain-osukoon aur izzat ke waade hain aur yehi zindagi Allah ko

45

56

pyaari hai, isi liye Allah taala ne Quraan-e-Kareem mein irshaad farmaya : (Pyare paigambar!) keh do ke agar tum Allah se muhabbat karte ho (to is muhabbat ke sachcha hone ki dalil ye hai ke tum meri ittibaa karo, Allah bhi tumhein mehboob bana le ga aur tumhare gunahon ko muaaf kar dega.[sura-e-Aal-e- imraan]

Hidaayat

Baraye

Ustaaz

Is unwaan ke tahat woh zaruri aur aham duaaein aur sunnatein zikr ki gai hain jo din bhar mein umooman insaan ko pesh aati hain, jaise khaana, peena, sona, baitulkhala jaana wagairah

wagairah. In duaaon ko ijtemai taur par yaad karaein saath saath is baat ki nigraani bhi karein ke sunnatein talabah ki amli zindagi mein aarahi hain ya nahin?

46

57

Sabaq 1

Sabaq 2

47

58

Sabaq 4

48

59

Sabaq 5

Tarjamah : Tamaam taarifein Us Allah ke liye hain Jis ne hamein apni rahmat se meetha paani pilaaya aur us ko hamaare gunaahon ki wajah se khaara aur kadwa nahin banaaya.

49

60

[Abu Dawood , Ibn-e-Maaja]

50

61

51

62

Sone se pehle ki DuaAllahumma bismika Amootu wa ahyaa .[Bukhari]

Tarjamah: Aye Allah ! Main tere hi naam se marta hoon aur jeeta hoon.

So kar uthne ki DuaAlhamdu lillahillazi . ahyaanaa Bada maa . amaatanaa wa ilaihin nushoor[Bukhari]

Tarjamah : Tamaamtaarifein Allah ke liye hain jis ne hamein maut dene ke baad zindagi di aur Usi ki taraf sab ko jaana hai. 52

63

Sone ki Sunnatein1) Isha ke baad jaldi sone ki fikr karna, duniya ki baat na karna. 2)[Bukhari]

Sone se pehle kapde tabdeel karna.[Zaadul Maad]

3) 4)

Ba wuzu sona.

[Bukhari]

Teen martaba bistar jhaad kar sona. [Bukhari] Teen salaai surma lagaana.[Shamaail-e-Tirmizi]

5)

6)

Istighfaar padhna.

[Kanzul Ummal]

7)

Tasbeeh-e-Fatimi

(Subhanallah .

33 martaba,

Alhamdulillah 33 martaba, . Allahu Akbarpadhna. 34 martaba).[Bukhari]

53

64

8)

Teen Qul (Sura-e-Ikhlaas, Surae-Falaq, Sura-e-Naas) Padhna.[Tirmizi]

9)

Daahani karwat let kar hath gaal ke niche rakhna.[Bukhari]

10) Pet ke bal aundha na letna.[Tirmizi]

11) Sone ki dua padhna.

[Bukhari]

So kar uthne ki Sunnatein1) Neend se uthte hi donon

Haathon se chehra aur aankhon ko malna. 2) 3)[Muslim]

So kar uthne ki dua padhna.[Bukhari]

Miswaak karna.

[Bukhari]

54

65

55

66

Aqaaid Aadmi jin deeni baaton par dil se yaqin rakhta hai un ko Aqaaid kehte hain. Hadees Hazrat Umar t bayaan karte hain ke ham Rasoolullah r ki khidmat mein haazir the, ek shakhs ne aa kar Aap r se daryaft kiya ke mujhe batlaaiye Imaan kya hai? Aap r ne farmaaya Imaan ye hai ke tum Allah ko, Us ke Farishton ko, Us ki kitaabon ko, Us ke rasoolon ko aur qayaamat ke din ko haq jaano, haq maano aur har achchi buri taqdeer ko bhi haq jaano, haq maano.[Muslim]

t

Islam mein jin baaton ka taalluq sirf dil se hai un ko Aqaaid kehte hain aur jin baaton ka taalluq zaahiri jism aur badan ke saath hai un ko Aamaal kaha jaata hai, pas Quran wa Hadees se aqeede ke mutaalliq jo cheezein saabit hain un ko poore taur par maanna zaroori hai, un mein zara bhi kami ziyadati karna jaaiz nahin hai, jaise Allah ko ek maanna, kisi ko us ka shareek wa saajhi na maanna aur us ko apni zaat wa sifaat mein aisa hi maanna jaisa woh hai,

56

67

ko Hazrat Muhammad r aakhiri Nabi maanna, Farishton ko maanna, tamaam paighambaron ko maanna, tamaam aasmaani kitaabon aur sahifon ko maanna, Qabr, Hashr ko, Jannat wa Jahannam ko maanna aur dil ke yaqin ke saath maanna, is liye ke aqeeda musalmaan ke liye woh buniyadi cheez hai jis par poore deen ki imaarat khadi hoti hai. Jis ka aqeeda jitna sahih aur mazboot hoga us ka deen bhi utna hi sahih aur mazboot hoga aur jis ka aqeeda jitna kamzor hoga us ka deen bhi utna hi kamzor hoga. Lihaaza aqeede ko sahih karna aur dil ke yaqeen ko mazboot banaana har musalmaan ke liye zaroori hai take Muhammad r ka laaya huwa deen aasaani ke saath zindagi mein aa sake. Hidaayat Baraye Ustaaz Aqaaid mein Islam ke paanch kalime, Imaan-e- Mujmal aur Imaan-e- Mufassal tarjame ke saath diye gaye hain, In ko ijtemaai taur par padhaayen. Tarjame yaad karaane ke saath saath is baat ko bhi waazeh kiya jaaye ke un mein maujood tamaam cheezon par dil se yaqeen rakhna aur zabaan se iqraar karna zaroori hai.

57

68

Sabaq 1Kalima -e- TayyibahLaa ilaaha illallaahu Muhammadur rasoolullaah .Tarjamah: Allaah ke siwa koi mabood naheen, Muhammad (r ) Allaah ke Rasool hain.

1

Sabaq 2Kalima -e- Shahaadat

2

Tarjamah: Main gawaahi deta hoon ke Allaah ke siwa koi mabood naheen aur main gawaahi deta hoon ke (Hazrat) Muhammad r ke Allaah bande aur Us ke Rasool hain.

58

69

Sabaq 3Kalima-e-Tamjeed. Subhaanallaahi . walhamdu lillaahi walaa ilaaha illallaahu wallaahu akbar walaa h . awla w alaa quwwata illaa illaahil b aliyyilazeem ..Tarjamah: Allaah paak hai aur tamaam taareefein Allaah ke liye hain aur Allaah ke siwa koi maabood naheen aur Allaah sab se bada hai, gunaahon se bachne ki taaqat aur nek kaam karne ki quwwat Allaah hi ki taraf se hai jo bahot buland, azmat waala hai.

3

Sabaq 4Kalima-e-Tauheed .La ilaaha illallaahu wahdahu laa shareeka . lahoo, lahul mulku walahul hamdu, yuh. yee . wa yumeetu biyadihil khair, wahuwa alaa kulli shai in qadeer59

70

Tarjamah : Allaah ke siwa koi maabood naheen, woh akela hai, Us ka koi shareek naheen, Usi ke liye baadshaahat hai aur Usi ke liye taareef hai, Woh zinda karta hai aur maut deta hai, Usi ke qabza-e-qudrat mein tamaam bhalaai hai aur Woh har cheez par qaadir hai.

Sabaq 5Kalima-e-IstighfaarAllaahumma innee aoozubika min an ushrika bika shaiaunw wa ana aalamu, wa astaghfiruka limaa laa aalamuTarjamah : Aye Allaah ! main Teri panaah chaahta hoon is baat se ke main tere saath kisi ko shareek karoon, is haal mein ke main us ko jaanta hoon aur aise gunaah se bhi maafi chaahta hoon jis ko main naheen jaanta.

60

71

Sabaq 6Imaan-e-Mujmal

Tarjamah : Main Imaan laaya Allaah par jaisa ke Woh apne naamon aur sifaton ke saath hai aur main ne Us ke tamaam ahkaam qubool kiye.

Sabaq 7Imaan-e-MufassalAamantubill aahiwa malaaikatihee wa kutubihee wa rusulihee walyawmil aakhiri walqadri khairihee wa sharrihee minallaahi taaalaa walbaasibaadal maut Tarjamah : Main Imaan laaya Allaah par aur Us ke Farishton par, aur Us ki Kitaabon par, aur Us ke Rasoolon par, aur qayaamat ke din par, aur is baat par ke achchhi buri taqdeer Allaah taala ki taraf se hoti hai aur maut ke baad dobaara zinda kiye jaane par.

61

72

62

73

Masaail Deen ki woh baatein jin mein amal ka tariqa ya us ka sahih aur galat hona bataaya jaaye un ko "Masaail" kehte hain. Hadees Hazrat Abuzar t

t

kehte hain ke Rasoolullah r ne mujh se farmaaya, Abuzar ! Agar ek baab ilm ka seekh lo, khwaah us waqt us par amal ho ya na ho (jaise tayammum ke masaail paani ke hote huwe seekhna) to hazaar rakat nawaafil padhne se afzal hai.[bn-e-Maajah] I

Ilm Allah taala ki bahot badinemat hai, isi ke zariye Insaan ko zindagi guzaarne ka sahih raasta maalum hota hai aur zindagi ke har shobe mein sahih aur galat ki tameez hoti hai, isi ilm ke zariye halaal wa haraam ki pehchaan hoti hai, Isi liye Quraan

63

74

wa Hadees mein ilm haasil karne waalon ka bahot badaa martaba aur darja bataaya gaya hai, Hadees mein farmaaya gaya: Ulama nabiyon ke waaris hain.[Abu Dawood]

Ilm do tarah ka hai, Ek fazaailka ilm, is ilm ke zariye amal par Allah ke waade maalum honge aur is se amal ka shauq aur jazba paida hoga, doosre masaail ka ilm, is se amal ka sahih tariqa maalum hoga aur amal mukammal hoga, lihaaza fazaail ka ilm bhi zaroori hai aur Masaail ka ilm bhi zaroori hai. Hidaayat Baraye Ustaaz Masaail ke zimn mein ham ne sirf namaaz aur namaaz se mutaalliq aham Masaail ko tarjeeh di hai, chunke ye roz marrah pesh aane waale Masaail hain, lihaaza is ka khoob daur karaaya jaaye. Namaaz ki amali mashq ki tarah wuzu bhi amali taur par karaaein.

64

75

Sabaq 1

Sabaq 2

65

76

Sabaq 3

Sabaq 4

Zohar

66

77

67

78

Juma ki Rakatein

Sabaq 5

68

79

Sabaq 6

Sabaq 7

69

80

70

81

Sabaq 8

71

82

72

83

Namaaz Ek Khaas andaaz mein Allah ke saamne apni bandgi ka izhaar karne ko Namaaz kehte hain. Hadees Rasoolullah r ne farmaaya, Allah taala ne paanch namaazein farz ki hain, jo shakhs achchi tarah wuzu kare aur waqt par namaaz padhe rukoo bhi achchi tarah kare aur khushoo se padhe to Allah ke zimme hai ke woh us ki magfirat kare aur jo aisa na kare us ki Allah par koi zimmedaari nahi, chaahe maghfirat kare, chaahe azaab de.[Abu Dawood]

Deen ki sab se aham ibaadat Namaaz hai, Namaaz ka darja deen mein aisa hai jaisa ke sar ka darja badan mein hai. Namaaz ki paabandi par Allah taala ne maghfirat ke waade farmaae hain, Namaaz padhne par Allah taala achchi zindagi aur rozi mein barkat ata farmaate hain, Namaaz hamaare Nabi r ki aankhon ki thandak hai, Namaaz jannat ki kunji hai, qayaamat mein sab se

73

84

pehle namaaz hi ka hisaab hoga. jis ki namaaz sahih nikle gi us ke baaqi aamaal bhi sahih niklenge aur jis ki namaaz sahih nahin hogi us ke baaqi aamaal bhi sahih nahin honge. Namaaz mein banda apne maula ke saath baat cheet karta hai. Garz Namaaz ka islaam mein bahot ooncha darja hai. Lihaaza namaz ko seekh kar sahih tariqe par padhna aur is ka ehtemaam karna har musalmaan par farz hai. Hidaayat Baraye Ustaaz Is mauzoo se hamaari manshaa ye hai ke har taalib-e-ilm ki namaz sahih ho jaaye. Is mazmoon mein padhi jaane waali cheezon ko yaad karaane ke saath saath namaaz ka tariqe ko saamne rakh kar masnoon tariqe ke mutaabiq talabah ko Namaaz ki mashq karana hai jaise tarteeb ke saath nisaab mein zikr kiya gaya hai, is ke alaawah namaaz ki amali masq ijtemaai karaaein is ki soorat ye hogi ke pehle khud khade ho kar talaba ko namaaz ka tariqa bataaya jaaye

74

85

ke namaaz mein kis tarah khada hona hai? Haath kahaan

baandhna hai? Rukoo ka tariqa kya hai? Sajda kaise kiya jaaye? Phir talabah se khud namaaz ki mashq karaai jaaye, is taur par ke un ko safon mein khada kar diya jaaye aur ustaaz buland aawaaz padhaaye se poori aur namaaz safon ke

darmiyaan chalte huwe talabah ki nigraani bhi karte rahein. Un ke khade hone, Rukoo karne, sajda karne ke tariqe ko dekhte rahein aur un ki galtiyon ko durust karein. Ustaaz ke saath talaba bhi buland aawaaz se padhein, jaise Ustaaz "Allahu Akbar" kahe to talaba bhi "Allahu Akbar" kahein, jab ustaaz sanaa padhein to talaba bhi padhein jaise ustaaz sanaa padhe

Subhaanakallahumma ... to talaba bhi padhein Subhaanak allahumma... ustaaz padhein

75

86

wa bihamdika... to talaba padhein wa bihamdika... aakhir tak. Isi tarah ustaaz tamaam kalimaat ko padhaata rahe aur talaba un ko dohraate rahein. Is ke baad kisi zahin taalibe-ilm ko Imaam banaa kar namaaz padhwaai jaaye, Isi tarteeb se baari baari har taalib-eilm se namaaz padhwaai jaaye aur khud paabandi se nigraani karte rahein ke taalib-e-ilm sunnat tariqe par namaaz padh raha hai ya nahin? Rukoo, sajda wagaira sahih kar raha hai ya nahin? Is tarah mashq karaane se har taalib-e-ilm sahih tariqe par namaaz padhne waala ban jaayega aur namaaz ke kalimaat aur sooratein aasaani se yaad ho jaayengi. Note : Tarkeeb-e-Namaaz ke zimn mein jo Namaaz ka tariqa diya gaya hai use talabah ko itna zahan nasheen karadein ke talabah apne alfaaz mein Namaaz ka tariqa bayaan kar sakein. Namaaz ki duaaon ke tarjame yaad karne par zor na diya jaaye, yaad kar lein to theek.

76

87

Namaaz ka TariqaQayaam aur donon haaton ko uthaane ka tariqa1) Takbeer-e-tahreema ke waqt seedha khada hona, yaani sar ko na jhukaana. 2) Takbeer-e-tahreema ke waqt donon haathon ko kaanon tak uthaana. 3) Hatheliyon ko qible ki taraf rakhna. 4) Ungliyon ko apni haalat par rakhna, yaani na ziyada khuli rakhna aur na ziyada band. 5) Donon pairon ke darmiyaan kam se kam chaar ungal ka faasla rakhna aur pairon ki ungliyan qible ki taraf rakhna. 6) Haalat-e-qayaam mein nigaah ko sajde ki jagah rakhna, jhuk kar khada na hona. Note : Takbeer-e-tahrima ke waqt haathon se kaanon ko chhoona zaroori naheen.

Haath baandhne ka Tariqa

77

88

Rukoo ka tareeqa

78

89

Sajde mein jaane ka tareeqa1) Rukoo se uth kar itminaan se bilkul seedha khada hona. 2) Sajde mein jaate waqt sar aur seene ko na jhukaana, balke seedha rakhna. 3) Pehle donon ghutnon ko zameen par rakhna, phir donon haathon ko, phir naak aur phir peshaani.

Sajde ka tareeqa1) Sajde ki takbeer kehna. 2) Donon haathon ke darmiyaan sajdah karna aur Sajde mein naak aur peshaani donon ko zameen par rakhna.

79

90

9) Sajde ki haalat mein haath ki ungliyon ko mili hui rakhna aur nigaahein naak par rakhna aur pair ki ungliyon ko mod kar qible ki taraf rakhna. Note: Donon sajdon ke darmiyaan itminaan se baithne ko ''Jalsa'' kehte hain, yeh jalsa waajib hai, is liye is par khaas tawajjuh dena chahye.

Sajde se uthne ka tareeqa1) Sajde se uthte waqt pehle

peshaani phir naak phir donon haath, phir ghutnon ko uthaana. 2) Sajde se uthte waqt bhi sar aur seena na jhukaana balke seedha hi rakhna.

Q'aade ka Tareeqa

80

91

3) Tashahhud mein Laa ilaaha par shahaadat ki ungli uthaana aur illallaahu par rakh dena. 4) Qaada-e-akheerah mein Durood shareef padhna.

?

81

92

Aurton ki namaaz ka farg

82

93

Sabaq 1Namaaz ki TarkeebNamaaz padhne ke liye ba wuzu qible ki taraf rukh karke khada ho jaaye aur jo namaaz padhna ho dil mein us ki niyyat karle, jaise Fajr ki namaaz ya Zohar ki namaaz padh rahaa hoon, aur farz, sunnat ya nafl namaaz ki tayeen kar le. Yeh niyyat zabaan se bhi kehna behtar hai. Niyyat ke baad donon haath kaan ki lau tak utha kar takbeer-e-tahreema yaani ALLAHU AKBAR kahe aur donon haathon ko naaf` ke neeche baandh le. Phir sana padhe :

Subhaanakallaa humma . wa bihamdika wa . tabaarakasmuka wa taaalaa jadduka wa laa ilaaha ghairukphir taawwuz padhe:

Aoozubillaahi minash shaitaanir rajeemphir tasmiyah padhe :

Bismillaahir rahmaanir . raheem .83

94

Phir Sura-e-Faatiha Padhe : Sura-e-Fatiha padhne ke baad bilkul aahista se "Aamin" kahe. phir "Bismillah ........" Padhe. Phir Quraan ki koi Surat padhe, masalan:

Phir Allaahu Akbar kehte huwe rukoo mein jaaye, phir rukoo ki tasbeeh Subhaana . rabbiyal azeem kam az kam .. teen baar padhe, phir Sami Allaahu liman hamidah kehte . huwe itmenaan se seedha khada ho jaaye. Phir Rabbanaa Lakal hamdkahe, agar Imaam ke . peechhe ho to imaam ke Sami Allaahu liman hamidah . kehne ke baad Rabbanaa Lakal hamd Kahe. phir Allaahu . Akbar kehte huwe sajde mein jaaye aur sajde ki tasbeeh Subhaana Rabbiyal aalaa . 84

95

kam az kam teen martaba padhe. Phir Allaahu Akbar kehte huwe itmenaan Allaahu se baith Akbar jaaye, kehte phir huwe

doosre sajde mein jaaye aur sajde ki tasbeeh Subhaana . Rabbiyal

aalaa kam az kam teen martaba padhe, phirAllaahu Akbar kehte huwe doosri rakat ke liye seedha khada ho jaaye. Phir isi tarah Bismillaah padhe aur Sura-eFatiha aur phir Bismillaah padh kar koi surah padhe maslan

aur isi tarah doosri rakat poori kar ke qaade mein baith jaaye. Phir tashahhud Attahiyyaatulillaahi . .... aakhir tak padhe. aur jab Ash hadu par pahonche to beech ki ungli aur angoothe se halqa banaa le Laa ilaaha kehte waqt shahaadat ki ungli uthaaye aur illallaahu par ungli jhuka de magar halqe ki haalat ko namaaz ke akhir tak barqaraar Attahiyyaatpadhne . rakhe aur ke baad

85

96

durood sharif padhe. Allahumma salli alaa muhammad..., Akhir . . tak, phir duaae maasoora padhe, Allaahumma nafsee..., Assalaamu innee aakhir zalamtu .. tak, phir wa

alaikum

rahmatullaah kehte huwe pehle . daaein jaanib phir baaien jaanib, is tarah do rakat namaaz poori huwi aur agar teen ya chaar rakat waali namaaz padh raha ho, to

Attahiyyaat .

ke baad fauran

teesri rakaat ke liye Allaahu Akbar kehte huwe khada ho jaaye aur (farz Namaaz ke alaawa)

bataaye huwe tariqe ke mutaabiq baqiya rakaatein poori kar ke

qa'aida-e-akhirah mein baith jaaye (farz namaaz ki teesri aur chauthi rakat mein sirf sura-e-fatiha padhe aur koi doosri surat na padhe), aur attahiyaaat, durood shareef aur duaa-e-maasoora padhne ke

baad salaam pher kar namaaz mukammal kare.

86

97

Sabaq 2Kalimaat-e- NamaazTakbeer-e-Tahreema: .

Allaahu AkbarTarjamah : Allaah Sab se bada hai. Rukoo ki tasbeeh : .

SubhaanaRabbi yal AzeemTarjamah : Main apne azeem Rabb ki paaki bayaan karta hoon. Tasmeee : (Rukoo se uthte hue kahe)

Sami Allaahu liman. hamidahTarjamah : Allaah taala ne sun li us shakhs ki jis ne us ki taareef ki. Tahmeed: . (Jab seedha khada ho jaaye to kehe)

Rabbanaa lakalhamd .Tarjamah : Aye hamaare Rab! tamaam taareefein tere hi liye hain.

87

98

Sajde ki tasbeeh :

Subhaana Rabbiyal aala .Tarjamah :Main apne Baland Rabb ki paaki bayan karta hoon.

Salaam : Assalaamu alaikum

wa rahmatullaah .Tarjamah: Tum par salaamati aur Allaah ki Rahmat ho.

Sabaq 3Sana Subhaanakallaahumma wa . bihamdika wa tabaarak as . muka wa taaalaa jadduka walaa ilaaha ghairukTarjamah: Aye Allaah hum teri paaki ka iqraar karte hain aur teri taareef bayaan karte hain aur tera naam bahot barkat waala hai aur teri buzurgi bartar hai aur tere siwa koi ibaadat ke laaiq naheen. Note : Namaaz ki tamaam duaaein yaad karaadi jaayein aur un ke tarjame samjha diye jaayein.

88

99

Tashahhud (Attahiyyaat)

Tarjamah: Tamaam qauli ibaadatein aur tamaam feali ibaadatein aur tamaam maali ibaadatein Allaah taala hi ke liye hain, Aye Nabi! Aap par salaam aur Allaah ki rahmat aur Us ki barkatein hon, aur salaam ho hum par aur Allaah ke nek bandon par, main gawaahi detahoon ke Allaah ke siwa koi maabood naheen aur main gawaahi deta hoon ke Muhammad r bande aur Allaah ke us ke Rasool hain. 89

100

Sabaq 5Durood Shareef

Tarjamah : Aye Allaah ! rahmat naazil farma Muhammad r par aur Aap ki aal par, jaisa ke tu ne rahmat naazil farmaai Ibraaheem u par aur un ki aal par, beshak tu taareef ke laaiq, badi buzurgi waala hai. Aye Allaah! barkat naazil farma Muhammad r Aap ki aal par par aur jaisa ke tu ne barkat naazil farmaai Ibraaheem u par , par aur un ki aal beshak tu taareef ke laaiq, badi buzurgi waala hai. 90

101

Sabaq 6Duaa-e-Maasooarah -

Tarjamah: Aye Allaah! main ne apne nafs par bahot ziyaadah zulm kiya aur tere siwa koi gunaahon ko bakhsh naheen sakta, pas tu apni khaas bakhshish se mujh ko bakhsh de aur mujh par raham farma de, beshak tu hi bakhshne waala, nihaayat raham karne waala hai.

Sabaq 7Duaa-e-Qunoot

91

102

Tarjamah: Aye Allaah ! hum tujh se madad maangte hain aur Maghfirat talab karte hain aur tujh par imaan laate hain aur tuhj par bharosa karte hain aur teri behtar taarif karte hain aur tera shukr ada karte hain aur teri na shukri nahin karte aur alahedah kar dete hain aur chhod dete hain us shakhs ko jo teri na farmaani kare. Ae Allah hum teri hi ibaadat karte hain aur khaas tere liye namaaz padhte hain aur sajdah

92

103

karte hain aur teri hi taraf daudte aur lapakte hain aur teri hi rahmat ki ummeed rakhte hain aur tere hi azaab se darte hain, beshak tera azaab kaafiron ko pahonchne

waala hai.

Sabaq 8Namaaz ke baad ki DuaJab namaaz se faarigh ho to pehle ek martaba Allaahu Akbar kahe, phir teen martaba Astaghfirullaah kahe phir yeh dua padhe:

93

104

94

105

r Seerat Hamaare nabi ki zindagi ke haalat ko seerat kehte hain. Hadees Rasoolullah r ne farmaaya, Tum mein se koi shakhs us waqt tak kaamil momin nahin ho sakta jab tak ke main us ke nazdeek us ke waalidain, bachcho aur tamaam logon se ziyada mahboob na ho jaaun.[Bukhari]

Huzoor r ko jaanna ki seerat aur padhna har musalmaan ke liye bahot zaroori hai taake Aap r ki zaat se muhabbat badh jaaye aur Huzoor r ki seerat ke mutaabiq apni zindagi guzaar sake, jo aap r se hat kar ke tariqe zindagi guzaare ga woh duniya aur aakhirat mein nuqsaan uthaaye ga. Hidaayat Baraye Ustaaz Seerat se muraad Aap r ki zindagi ke halat hain. Islami maalumaat ke tariqe par is mein bhi sawaal wa jawaab ka hi andaaz ikhtiyaar kiya gaya hai. Aap r ke ki zindagi baare mein un baton ko jamaa kiya gaya hai jin ko jaanna bahot zaroori hai. In tamaam sawaalaat ko zabaani yaad karaaya jaaye.

95

106

Sabaq 1

r r

Sabaq 2r

r

Sabaq 3r

r

96

107

Sabaq 4r

r r

Sabaq 5r

r

97

108

r

Sabaq 6

Sabaq 7r r

Sabaq 8

98

109

r

Sabaq 9

r

Sabaq 10

99

110

100

111

Aasaan Deen Allah taala ke hukm aur Nabi r par ke tariqe zindagi guzaarne ko "Deen" kehte hain. Hadees Aap r ne farmaaya, Deen Aasaan hai. [Bukhari] Allah taala ne tamaam insaanon ki kaamyaabi deen mein rakhi hai aur deen har insaan ki bunyaadi zaroorat hai jaise paani har insaan ki zaroorat hai, lihaaza deen ko achchi tarah seekhna aur us ke mutaabiq zindagi guzaarna chaahiye, Allah ne deen ko itna aasaan rakha hai ke har ek insaan is par amal kar sakta hai. Hidaayat Baraye Ustaaz Talaaba ki tarbiyat ko madd-enazar rakhte huwe is mein is baat ko samjhaaya gaya hai ke deen Namaaz, Rozah ke alaawah poori zindagi ko Allah taala ke ahkaam aur Aap r ke ke tariqe mutaabiq guzaarne ka naam hai. Is mazmoon ke asbaaq ko bhi sirf talaba ke saamne padhna hai taake paanchon shobe achchi tarah talabah ke zahen nasheen ho jaayen aur aasaan andaaz mein un ko samjha dena hai,

101

112

Allaah taala ne tamaam insaanon ki dunya aur aakhirat ( marne ke baad ki zindagi) ki kaamyaabi Deen mein rakhi hai aur Deen ke paanch shobe hain.

In tamaam shobon mein Allaah taala ke hukm aur Nabi-e-akram r ke tareeqe par chalne ko deen kehte hain. Note : Aasaan Deen ka har sabaq padhaane se pehle oopar waali satrein zaroor padhaayein.

Sabaq 1Imaaniyaat: se muraad woh cheezein hain jin par har ek musalmaan ko dil se pakka yaqeen rakhna aur maanna zaroori hai. Jaise Allaah ek hai, Hazrat Mohammad r nabi hain. hamaare Har cheez Allaah ki marzi se hoti hai. Us ki marzi ke baghair kuchh naheen hota. Har ek ko ek na ek din marna hai aur marne ke baad dobaara zinda hona hai. Poori zindagi kaise guzaari us ka hisaab dena hai. Phir Jannat Jahannam ka faisla hona hai waghairah waghairah. 102

113

Ibaadaat: se muraad woh cheezein hain jo Allaah taala ne hum par farz ki hain jaise namaaz, rozah, zakaat, haj waghairah aur woh cheezein jin se Allaah taala khush hote hain jaise Quraan padhna, us ka hifz karna, deen ka ilm haasil karna waghairah. Muaamlaat: se muraad khareedne, bechne, tijaarat, (business) wiraasat aur aapas mein len den ko deen ke mutaabiq karna. Jaise tijaarat mein kisi ko dhoka na dena, poora poora naap tol karna, Is mein kami na karna, kisi ki amaanat mein khayaanat na karna waghairah. Muaasharat : se muraad yeh hai ke zindagi mein jitne logon se hum ko waasta padta hai aur jin ke saath hum rehte hain, uthte baithte hain, un ke saath kis tarah bartaao karna, jaise waalidain ki farmaan bardaari karna, rishte daaron ke saath achchha sulook karna, bachche, dost, ahbaab, padosi waghairah ka haq ada karna, kisi ko apni zabaano-haath se takleef na pahonchaana. Islaami aadaat-o-atwaar aur deeni waza'a qataa ke saath rehna, jaise good morning-o-aadaab kehne ke bajaaye assalaamu alaikum kehna, sunnat libaas aur pardeh ka ehtimaam karna.

103

114

Akhlaaqiyaat: se muraad woh achchhi sifaten hain jo ek insaan ke andar honi chaahye jaise sachchaai, amaanat daari waghairah aur buri aadaton jaise jhoot gheebat ,bugz wa hasad waghairah se bilkul paak wa saaf hona.

Sabaq 2

104

115

Sabaq 3

105

116

Sabaq 4Muaamlaat : Musalmaan jab kaarobaar aur business karte hain to amaanat-daari ke saath karte hain, gaahak ke saath achcha bartaao karte hain, kisi gaahak ko dhoka nahin dete, maal mein milaawat nahin karte, kaaro-baar aur business mein dhoka dena bahot bura hai, kyunke : Rasoolullah r ne farmaaya, "Jo dhoka de, woh ham mein se nahin."[Tirmizi]

106

117

Sabaq 5

r

Rasoolullah r ne farmaaya, " Allah ta'ala qayaamat ke din farmaaenge,

107

118

Sabaq 6

r

Hadees : Hazrat Abdullah bin Umar thain ke, "Ek martaba kehte Rasoolullah r par chadhhe mimbar aur buland awaaz se pukaara, "Aye woh logo jo zabaan se Islam laaye ho aur dil mein abhi imaan poori tarah nahin utra hai, Musalmaanon 108

119

Sabaq 7

r

109

120

r

r

r r

110

121

Sabaq 9

r

r

Sabaq 10

111

122

r

r

112

123

113

124

Date Fajr Zohar Asr Maghrib Isha Present Absent /

F Z A M I Attendance

1 F Z A M I 2 F Z A M I 3 F Z A M I 4 F Z A M I 5 F Z A M I 6 F Z A M I 7 F Z A M I 8 F Z A M I 9 F Z A M I 10 F Z A M I 11 F Z A M I 12 F Z A M I 13 F Z A M I 14 F Z A M I 15 F Z A M I 16 F Z A M I 17 F Z A M I 18 F Z A M I 19 F Z A M I 20 F Z A M I 21 F Z A M I 22 F Z A M I 23 F Z A M I 24 F Z A M I 25 F Z A M I 26 F Z A M I 27 F Z A M I 28 F Z A M I 29 F Z A M I 30 F Z A M I 31 F Z A M IAur agar qazaa bhi na ki ho to koi nishaan na lagaaein.Aur agar qazaa karli hai to yeh Nishaan lagaaein. Agar begair jamaat ke Namaaz ada ki hai to yeh nishaan lagaaein. Agar Jamaat se Namaaz ada ki hai to yeh Nishaan lagaaein jaise

Taalib-e- Ilm ka Namaaz Aur Attendance Chart

Namaaz Chart ki TarteebF ZA

M

I

Bataaye gaye tariqe ke mutaabiq taarikh ke etebaar se nishaan lagaaein. Jo Namaaz jamaat se nahin padhi gai us ki targeeb dein aur jo Namaaz nahin padhi gai us ki qazaa karwaa lein. Mahine ke khatm par dastakhat karein.

Attendance Chart ki Tarteeb

Student ki attendance ke liye ek box diya gaya hai, Agar student Present ho to P likh dein aur agar Absent hai to A likh dein. 114