Top Banner
42

Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

Sep 30, 2020

Download

Documents

dariahiddleston
Welcome message from author
This document is posted to help you gain knowledge. Please leave a comment to let me know what you think about it! Share it to your friends and learn new things together.
Transcript
Page 1: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq
Page 2: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne

farmaya:

Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-

Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq (11,12,13 Dhu al-Hijja)

humari Ahle Islaam ki Eidein hain, yeh khane ke din hain.

(Musnad Ahmad, Abu Dawud, Tirmizi, Nasa'i, Haakim)

Rawi Uqba bin 'Amir

[Saheeh ul-Jami' 8192] (Saheeh)

Page 3: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

EIDAYN KI RAATON MEIN QIYAM KI EK DA'EEF HADEES

Ibn Majah farmate hain:

Page 4: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

Hum se Abu Ahmad al-Marrar bin Hammuya ne, un se

Muhammad bin al-Musaffa ne, un se Baqiyya bin al-

Waleed ne, un se Shaur bin Yazeed ne, un se Khalid bin

Ma'dan ne aur un se Abu Umama ne Hadees bayan ki ke

Nabi Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Jis ne

dono Eidayan ki (Eid al-Fitr aur Eid al-Adha) raaton ko

Allah se sawab ki ummid rakhte huye Qiyam kiya, toh us

ka dil us din murdah na hoga jis din tamam quloob

murdah ho jayenge.

(Ibn Majah) Rawi Abu Umama

[Da'eef al-Jami' 5742, Ad-Da'eefah 521] (Da'eef)

Page 5: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

1. FASL: EIDGAAH JANE SE QABL

1. EIDGAAH JANE SE QABL GHUSL KARNA

Nafi' Rahimahullah farmate hain:

Abdullah bin 'Umar RadhiAllahu Anhuma Eid al-

Fitr ke din Eidgaah jane se pehle ghusl kiya karte

thein.

[Muwatta: An-Nidaa' lis-Salat 384]

Page 6: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

2. EID KE DIN ZEENAT IKHTIYAR KARNA

Abdullah bin 'Umar RadhiAllahu Anhuma farmate hain:

'Umar RadhiAllahu Anhu ne Bazaar mein dekha, ek mota resham

ka kapda bik raha tha, aap usey Allah ke Rasool Sallallahu Alayhi

Wa-sallam ke paas le kar aaye aur kaha: Ai Allah ke Rasool! yeh

kapda khareed lijiye, Eid aur Wufood ki aamad par is se zeenat

ikhtiyar kijiye. Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne

farmaya: yeh libaas un logon ke liye hai jin ka aakhirat mein koi

hissa nahin hai.

[Bukhari: al-Eidayan 948]

Page 7: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

Nafi' Rahimahullah farmate hain:

Ibn 'Umar RadhiAllahu Anhuma Eidayn ke liye apna sab se achha

libaas pehna karte thein.

[Bayhaqi fi Sunan: Salat al-Eidayn: 6363]

3. EID KE DIN ROZA

Abu Hurairah RadhiAllahu Anhu farmate hain:

Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne Yaum al-Adha aur

Yaum-e-Fitr mein Roza rakhne se manah farmaya hai.

[Muslim: As-Siyaam: 1921]

Page 8: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

4. EIDGAAH NIKALNE SE PEHLE KHANA

Anas bin Malik RadhiAllahu Anhu farmate hain:

Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam Yaum al-Fitr ke din

(Namaaz ke liye) Taaq adad Khajoorein khaye beghair nahin

nikalte thein.

[Bukhari: Al-Eidayn: 953]

2. FASL: EID KI NAMAAZ

1. NAMAAZ KE LIYE EIDGAAH JANA

Abu Sa'id Khudri Radhiallahu Anhu farmate hain:

Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam Eid al-Fitr aur Eid al-

Adha ke din Eidgaah jaya karte thein. [Bukhari: Al-Eidayn 956]

Page 9: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

3. FASL: NAMAAZ-E-EID MEIN TAKBEERAT

1. EID AL-FITR KI NAMAAZ MEIN TAKBEERAT

Ibn Abbas RadhiAllahu Anhuma farmate hain:

Musalmano par Haqq hai ki jab woh Shawwal ka chand dekh lein

toh takbeer kehna shuru kar dein yahan tak ki eid se farigh ho

jayein. Kyunki khud Allah Ta'ala ne is ka zikr karte huye

farmaya: Aur taki tum ginti poori kar lo aur Allah ki di huyi

hidayat par Us ki takbeer bayan karo.

[Tafseer at-Tabari: Fee Tafseer Ayah al-Baqarah 185 Raqam

2380]

Page 10: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

2. NAMAAZ KE LIYE TAKBEER KEHTE HUYE JANA

Zuhri Rahimahullah farmate hain:

Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam Eid al-Fitr ke din

Eidgaah nikalte toh Takbeer kehte huye jate hatta ki Eidgaah

pahunchh jate aur Namaaz padh lete jab Namaaz se farigh ho jate

toh Takbeer kehna band kar dete.

(Ibn Abee Shaybah) [As-Saheehah Raqam 171]

Shaykh al-Albani kehte hain is ki sanad agar Mursal na hoti toh is

ka darjah Saheeh ka hota albatta isey ek mausool shahid se taqwat

milti hai jise Bayhaqi ne riwayat kiya hai.

Page 11: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

3. EIDGAAH PAHUNCHNE TAK TAKBEER KEHNA

Ibn 'Umar RadhiAllahu Anhuma se riwayat hai:

Aap RadhiAllahu Anhuma Eid ke din Eidgaah jane aur Imaam ke

aane tak baland aawaz se Takbeer kehte.

[Ibn Abee Shaybah: As-Salwat 5609]

Page 12: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

4. AURATEIN TAKBEER KEHNA?

Umm 'Attiyah RadhiAllahu Anha farmati hai:

Humein Eid ke din Eidgaah jane ka hukum diya jata, hum apne

saath Pardahposh Kunwariyan aur Ha'izah Khawateen ko bhi le

lete aur mardon ke pichhe rehte aur unki Takbeer ke saath

Takbeer kehte aur unki Duaa'on mein sharik hote aur us din ki

barkat aur pakeezgi hasil karne ki ummid rakhte.

[Bukhari: al-Eidayn 971- Muslim: Salat al-Eidayn 1474 mein isi

tarah hai]

Page 13: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

4. FASL: AURATEIN AUR BACHCHE EIDGAAH MEIN HAZRI 1. AURATEIN HATTA KI HA'IZAH BHI EIDGAAH MEIN

Umm 'Atiyyah RadhiAllahu anha farmati hai:

Humein Eidayn ke din Eidgaah jane aur humare saath Ha'izah aur

Pardewaliyon ko nikalne ka hukum diya jata. Yeh Khawateen

Musalmano ki Jama'at aur unki Duaa'on mein sharik hoteen, albatta

Ha'izah Musalla se door rehteen, (is hukum par) ek Aurat ne kaha: Ai

Allah ke Rasool! Hum mein se kisi ke paas Jilbaab nahin hota. Aap ne

farmaya: Us ki saheli usey apne Jilbaab mein se udhaye.

[Bukhari: As-Salat 351]

Page 14: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

2. AURATEIN KHUSBOO LAGAKAR NA NIKLEIN

Allah ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya:

Allah ki bandiyon ko Masjidon se na roko, albatta woh Khusboo

lag kar na nikle.

(Musnad Ahmad, Abu Dawud) Rawi Abu Hurairah

[Saheeh al-Jami' 7457] (Saheeh)

Allah ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya:

Jo koi Aurat is tarah Khusboo lagye ke jab logon ke saamne se

guzre toh log us ki khusboo mahsoos karein, woh zaniyah hai.

(Musnad Ahmad, Nasa'i, Haakim) Rawi Abu Musa

[Saheeh al-Jami' 2701] (Hasan)

Page 15: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

3. KHAWATEEN RASTE MEIN KAISE CHALEIN?

Aaseed al-Ansari RadhiAllahu Anhu farmate hain:

Maine Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam ko farmate

huye suna, jab Aap Masjid se bahar nikal rahe thein aur raste

mein Auratein aur Mard ek doosre mein mukhtalat ho rahe the.

Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne Auratonj se

farmaya: zara theher jao, tumhara beech raste mein chalna durust

nahin balki raste ke kinare se chalo. Us ke baad Auraton ka haal

Page 16: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

yeh tha ke woh deewaron se lag kar chalne lageen yahan tak ki

baaz ka kapda deewar mein (kisi cheez se) ulajh jata.

(Abu Dawud) [As-Saheehah 856, Saheeh al-Jami' 929] (Hasan)

1. EIDGAAH MEIN BACHCHE

Ibn Abbas RadhiAllahu Anhuma farmate hain:

Maine Nabi Sallallahu Alayhi Wa-sallam ke saath Eid al-Fitr ya

Eid al-Azha ko nikla. Aap ne Namaaz padhi aur Khutbah diya

phir Auraton ke paas gaye aur unhein waaz wa nasheehat ki aur

unhein Sadqa ka hukum diya.

[Bukahri: al-Eidayn 975]

[Note: Allah ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ke daur

mein Ibn Abbas RadhiAllahu Anhuma khud Bachche thein

(Izafa)]

Page 17: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

5. FASL: NAMAAZ KO JANE KI KAIFIYAT KA BAYAN

1. PAIDAL EIDGAAH KI TARAF

Ali bin Abi Talib RadhiAllahu Anhu farmate hain:

Sunnat yeh hai ki Eidgaah Paidal jaye.

(Tirmizi) [Irwa' Jild 3 Safa 103 Raqam 636] (Hasan)

2. AANE AUR JANE KA RASTA BADALNA

Jabir bin Abdullah RadhiAllahu Anhu farmate hain:

Nabi Sallallahu Alayhi Wa-sallam Eid ke din ek raste se jate aur doosre

se aate.

[Bukhari: al-Eidayn 986]

Page 18: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

6. FASL: EIDAYN KI NAMAAZ KE AHKAAM

1. EID KI NAMAAZ KA WAQT

Yazid bin Khumair Ar-Rahabi Rahimahullah farmate hain:

Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam ke Sahabi Abdullah bin Busr

RadhiAllahu Anhu ek din logon ke saath Eid al-Fitr ya Eid al-Adha ke

din Eidgaah ki taraf nikle toh Imaam ki ta'kheer se aap barhum huye aur

farmaya: "Is waqt tak toh hum Namaaz se farigh ho jaya karte thein."-

yeh Salat al-Duha ka waqt tha.

(Abu Dawud, Ibn Majah)

[Irwa' al-Ghaleel Jild 3 Safa 101 Tahat Raqam 632] (Saheeh)

Page 19: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

2. IMAAM SE PEHLE NAMAAZ PADHNA

Ibn Abbas RadhiAllahu Anhuma farmate hain:

Nabi Sallallahu Alayhi Wa-sallam Eid al-Fitr ko nikle aur 2

Raka'at Namaaz padhi. Aap ne Eid ki Namaaz se pehle aur us ke

baad koi Namaaz nahin padhi, aur Aap ke saath Bilal

RadhiAllahu Anhu thein.

[Bukhari: al-Eidayn 989- Muslim: Salat al-Eidayn 1476]

Ibn 'Umar RadhiAllahu Anhuma se riwayat hai:

Aap RadhiAllahu Anhuma Eid ke din nikle aur Eid ki Namaaz se

pehle aur baad mein koi Namaaz nahin padhi aur farmaya ki Nabi

Sallallahu Alayhi Wa-sallam ka yehi amal tha.

(Tirmizi) [Sunan at-Tirmizi biTahqeeq al-Albani 538]

[Irwa' Jild 3 Safa 99 Raqam 631] (Hasan Saheeh)

Page 20: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

Sha'labah bin Zahdam Rahimahullah farmate hain:

Ali RadhiAllahu Anhu ne Abu Mas'ood RadhiAllahu Anhu ko

logon ki Imaamat ke liye apna na'ib banaya. Aap RadhiAllahu

Anhu Eid ke din nikle aur farmaya: Ai Logon! Imaam ke aane se

qabl (Nafl) Namaaz padhna Sunnat nahin hai.

(Nasa'i) (Sunan an-Nasa'i biTahqeeq al-Albani 1561]

(Saheeh ul-Isnaad)

3. EIDAYN KI NAMAAZ MEIN AZAN AUR IQAMAT

Ibn Abbas aur Jabir bin Abdullah RadhiAllahu Anhuma farmate

hain:

(Allah ke Nabi Sallallahu Alayhi Wa-sallam ke zamane mein)

Eid al-Fitr aur Eid al-Adha ki Namaaz ke liye Azan nahin di jati

thi. [Bukhari: al-Eidayn 960]

Page 21: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

Jabir bin Samurah RadhiAllahu Anhu farmate hain:

Maine ek do baar nahin kayi martaba Allah ke Rasool Sallallahu

Alayhi Wa-sallam ke saath beghair Azan wa Iqamat Eid ki

Namaaz padhi hai.

[Muslim: Salat al-Eidayn 1470]

4. EIDAYN KI NAMAAZEIN 2 RAKA'AT

'Umar RadhiAllahu Anhu farmate hain:

Safar ki, Jumu'ah ki, Fitr aur al-Adha ki Namaaz 2 Raka'at hai jo

Allah ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ki zubaani

mukammal hai qasr nahin hai.

(Musnad Ahmad, Ibn Majah) [Saheeh Ibn Majah 872]

Page 22: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

5. EIDAYN MEIN ADAD E TAKBEERAT

Aaishah RadhiAllahu Anha farmati hain:

Rasool Allah Sallallahu Alayhi Wa-sallam Eid al-Fitr aur Eid al-

Adha ki Namaaz mein pehli raka'at mein 7 aur soosri mein 5

zay'ed Takbeer kehte thein.

(Abu Dawud) [Saheeh Abee Dawud 1018] (Saheeh)

Page 23: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

6. HAR RAKA'AT MEIN ZAYED TAKBEERAT QIRA'AT SE PEHLE

Nafi’ Rahimahullah farmate hain:

Maine Abu Hurairah RadhiAllahu Anhu ke saath Eid Al-Adha

aur Eid al-Fitr ki Namaaz padhi, Aapne pehli raka'at mein qira'at

se pehle 7 aur doosri mein qira'at se pehle 5 Takbeerein kaheen.

[Al-Muwatta: An-Nida' lis-Salat : Baab Ma Ja' fi at-Takbeer wal-

Qira'at fi Salat ad-Eidayn]

Page 24: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

Ibn Abbas RadhiAllahu Anhuma se riwayat hai:

Aap Eid ki Namaaz mein pehli raka'at mein Takbeer-e-Tahreema

ke saath 7 Takbeerein aur doosri raka'at mein Qiyam ki Takbeer

ke saath 6 Takbeerein kaheen, yeh tamam Takbeerein Aapne

qira'at se pehle kaheen.

(Ibn Abee Shaybah) [Irwa' Jild 3 Safa 111 Tahat Raqam 639]

(Saheeh)

Page 25: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

7. HAR 2 TAKBEER KE DARMIYAN KYA KAHEIN?

Abdullah nin Mas'ood RadhiAllahu Anhu Eid ki Namaaz ke mutalliq

farmate hain:

Har 2 Takbeer ke darmiyan Allah ki Hamd wa Sana' bayan ki jaye.

(Al-Mahaamilee fi "Salat al-Eidayn" Bayhaqi fi Sunan)

[Irwa' Jild 3 Safa 115]

Page 26: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

8. EID KI NAMAAZ MEIN PADHI JAANE WALI SURATEIN

Nu’man bin Basheer Radhi Allahu Anhu farmate hai:

Rasool Allah Sallallahu Aalaihi Wasallam Eidayn ki aur

Jumu'ah ki Namaaz mein

)aaAAl-i isma Rabbika alh(Sabbi

aur

Page 27: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

ashiyati)hadeesu alGHka a(Hal at

padha karte thein, aur farmate hain: agar kisi din Eid aur

Jumu'ah jama ho jaate toh yehi dono suratein Aap (Eid

aur Jumu'ah) dono Namaazon mein padhte thein.

[Muslim: Al-Jumu'ah 1452]

Ubaidullah bin Abdullah Rahimahullah farmate hai:

Page 28: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

Umar bin Khattab Radhi Allahu Anhu ne Abu Waqid Al

Laisi se pucha: Rasool Allah Sallallahu Aalaihi Wasallam

Eid-ul-Adha aur Eid-ul-fitr ki Namaaz mein kya padhte

thein? Unhune jawaab diya: Aap Sallallahu Aalaihi

Wasallam dono Namaazon mein

ni almajeedi)af waalQur'a(Q

aur

AAatu wainshaqqa alqamaru)a(Iqtarabati alsS

padha karte thein. [Muslim: Salatul Eidayn 1477]

Page 29: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

9. EID AUR JUMU’AH EK HI DIN AAYE

Nu'man bin Basheer Radhi Allahu Anhu farmate hai:

Rasool Allah Sallallahu Aalaihi Wasallam Eidayn ki aur

Jumu'ah ki Namaaz mein

)aaAAl-i isma Rabbika alh(Sabbi

aur

ashiyati)hadeesu alGHka a(Hal at

Page 30: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

padha karte thein, aur farmate hai: agar kisi din Eid aur

Jumu’ah jama ho jaate toh yehi dono suratein Aap dono

Namaazon mein padhte thein.

[Muslim: Al Jumu'ah 1452]

Abu Huraira Radhi Allahu Anhu farmate hai ke Allah ke Rasool

Sallallahu Aalaihi Wasallam ne farmaya:

Aaj dono Eidein jama ho gayee hai, lihaza jo Eid ki Namaaz par iktefa'

karna chahta hai toh yeh uske liye Jumu’ah ke badle kafi hai, magar

Hum toh Jumu’ah padhengen.

(Abu Dawood, Ibn Majah, Haakim) Rawi Abu Huraira

(Ibn Majah) Rawi Ibn Abbas aur Ibn 'Umar

[Saheeh Al-Jami' 4365] (Saheeh)

Page 31: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

Muhammad bin Ali bin al-Husain bin Ali bin Abee Talib farmate hai:

Ali Radhi Allahu Anhu ke zamane mein do Eidein jama hogayee, Aap

eid ki Namaaz mein aaye aur kaha: Aaj hum Jumu’ah padhengen jo is

mein hazir hona chahta hai wo aaye.

[Ibn Abee Shaybah: As-Salaat Jild 2 Safa 92]

Page 32: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

7. FASL: EID KE KHUTBA KE AHKAAM

1. EID KA KHUTBA NAMAAZ KE BAAD.

Ibn Umar Radhi Allahu Anhuma farmate hai:

Rasool Allah Sallallahu Aalaihi Wasallam, Abu Bakr wa Umar Radhi

Allahu Anhuma Eid ki namaaz khutba se pehle padha karte thein.

[Bukhari: Al-Eidayn 963, Muslim: Salatul Eidayn 1471]

Page 33: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

2. KYA KHUTBA-E-EID MEIN BAITHNA LAZMI HAI?

Abdullan bin Al-Saib Radhi Allahu Anhu farmate hai:

Main Rasool Allah Sallallahu Aalaihi Wasallam ke saath Eid ki Namaaz

mein shareek huwa, jab Aap ne Namaaz mukammal ki toh farmaya:

Hum Khutba deingen so jo khutbe ke liye baithna chahta hai wo baith

jaye aur jo jana chahta hai hai chala jaye.

(Abu Dawood) [Saheeh Abi Dawood 1024] [Saheeh]

Page 34: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

3. KHUTBE KI KAIFIYAT.

Jabir bin Abdullah Radhi Allahu Anhu farmate hai:

Rasool Allah Sallallahu Aalaihi Wasallam jab khutba diya karte toh Aap

ki aankhein soorkh ho jaate, Aap ki awaaz buland ho jaati aur Aap behat

josh mein hote yahan tak ke yun mehsoos hota goya Aap kisi lashkar se

aagah karne wale hai.

[Muslim: Al Jumu'ah 1435]

Page 35: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

4. LOG KHUTBA SUNNE KE LIYE SAFON MEIN HI BAITHE RAHE.

Abu Sayeed Al Khudri Radhi Allahu Anhu farmate hai:

Rasool Allah Sallallahu Aalaihi Wasallam Eid-ul-fitr aur Eid-ul-Adha

ko Eidgaah jaate, sab se pehle Aap Namaaz padhte phir safon mein

baithe huwe logon se rubaru hote aur inhe waaz wa nasihat karte aur

ahkamaat batlate aur kahin lashkar bhejna hota toh bhej dete ya kisi

cheez ka hukum dena hota toh hukum dete phir laut aate.

[Bukhari: Al-Eidayn 956- Muslim Salatul Eidayn 1472]

Page 36: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

8. FASL: AGAR EID KI NAMAAZ FAUT HO JAYE

1. EID KI NAMAAZ KI QAZA'

Abu Umair bin Anas bin Malik Ansaari apni ansaariya phoophi Radhi

Allahu Anha se riwayat karte hain:

Kuch logon ne chand dekha toh Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ke

paas pahunche aur Aap ko is ki khabar di, dopahar ka waqt ho chuka tha,

Aap Sallallahu Aalaihi Wasallam ne logon ko iftar karne aur dusre din

Eidgaah aane ka hukum diya.

(Nasa'i) [Sunan An Nasa'i BiTahqeeq Al-AlBani 1557] (Saheeh)

Page 37: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

Abu Umair bin Anas bin Malik Ansaari farmate hai:

Meri Ansariya phoophi Radhi Allahu Anha ne mujse hadees bayaan ki:

logon ne kaha: Humein Eid ka chand nazar nahi aaya so hum roze se the,

din ke aakhri peher ek wafd aaya aur Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam

ke paas gawahi di ke unhone kal chand dekha tha, is par Nabi Sallallahu

Aalaihi Wasallam ne logon ko iftar karne aur dusre din Eidgaah aane ka

hukum diya.

(Ibn Majah) [Saheeh Sunan Ibn Majah 1340] (Saheeh)

Page 38: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

2. KISI KI EID KI NAMAAZ CHHOOT JAYE.

Imam Bukhari Rahimahullah farmate hain:

BAAB AGAR KISI KI EID KI NAMAZ CHHOOT JAYE TOH

WOH DO RAKA'AT PADH LEY.

Isi tarah auratein bhi kare aur wo log bhi jo gharon aur dehaton mein ho,

is liye ke Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam ne farmaya: yeh humari

Ahle Islam ki Eid hai. Aur Anas bin Malik ne apne gulam Ibne Abee

Utba ko bhi isi tarah karne ka hukum diya tha, lihaza unhune apne biwi

Page 39: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

bachcho ko jama kiya aur shehar walon ki tarah Namaaz padhi aur

takbeer kaheen. Aur Ikrima farmate hai: shaher ke aas paas wale bhi jis

tarah Imaam karta hai usi tarah kare. Aur 'Ata farmate hai: agar kisi

ki Eid ki Namaaz faut ho jaye toh woh do rakt padh ley.

(Bukhari ne isey Taliqan "Al-Eidayn" mein zikr kiya hai)

3. EID KE DIN AGAR APNE BHAI SE MULAQAAT HO TOH KYA KAHE?

Ibn Hajar Rahimahullah farmate hai: Aur humne "Mahaamileeyat"

mein Jubair bin Nafeer Rahimahullah se Hasan sanad ke saath riwayat

naqal ki jis mein hai:

Rasool Allah Sallallahu Aalaihi Wasallam ke Sahaba jab Eid ke din ek

dusre se milte toh kehte

"Taqabballahu Minna Wa Mink”

(Allah hum se aur aap se qubool farmayein)

[Fath Al-Bari: Al Eidayn: Baab Sunnatal Eid Li-Ahlil Islam]

Page 40: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

Ek riwayth mein hai :

"Taqabballahu Minna Wa Minkum"

(Allah hum se aur aap sab se qubool farmayein)

[Is Hadees ko Abul Qasim al-Asbahanee ne apni Kitaab "At-Targheeb

wat-Tarheeb" mein riwayat kiya hai.] [Tamam al-Minnah, Safa 355]

Page 41: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

4. EID KE DIN MUBAH KHEL KHELNA AUR ACHCHYE ASH'AAR PADHNA.

Aaisha Radhi Allahu Anha farmati hai:

Abu Bakr Radhi Allahu Anhu humare yahan aayen toh mere paas do

ansari ladkiyan Ash'aar padh rahi thi jo Ansaar ne Jung-e-Buaas mein ek

dusre se kehte the. Yeh ladkiyan asal mein gane waliyan na thi. Abu

Bakr Radhi Allahu Anhu ne farmaya Rasool Allah Sallallahu Aalaihi

Wasallam ke ghar mein shaytaan ki saaz? Aur yeh Eid ka din tha, is par

Page 42: Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne...Allah Ke Rasool Sallallahu Alayhi Wa-sallam ne farmaya: Yaum al-Fitr (Eid al-Fitr) aur Yaum an-Nahar (Eid al-Adha) aur Aiyyam-e-Tashreeq

Rasool Allah Sallallahu Aalaihi Wasallam ne farmaya: Aye Abu Bakr,

har qaum ki ek Eid hoti hai aur yeh humari Eid hai.

[Bukhari: Al Eidayn 952]

Aaisha Radhi Allahu Anha farmati hai:

Eid ke din kuch SuDaani dhaalon aur barchon se kartab dikha rahe thay,

ya toh maine Nabi Sallallahu Aalaihi Wasallam se pucha ya Aap ne

farmaya : kya tum yeh dekhna chahti ho? Maine kahan : " haan " Aap ne

mujhe Apne pichey khada kiya, mera rukhsaar Aap ke rukhsaar par tha

aur Aap keh rahe thein : ladho aye Bani Arfidah! Yahan tak ke main

ukta gayee. Aap ne farmaya : kafi hai? Maine kahan : han. Aap ne

kahan: theek hai, jaao.

[Bukhari: Al-Eidayn 950]