Top Banner
http://www.tangali.net Publicatie 113 Sawaal-o-Jawaab 25-07-2010 met
18

113 sawaal o jawaab 25072010

Jul 21, 2016

Download

Documents

 
Welcome message from author
This document is posted to help you gain knowledge. Please leave a comment to let me know what you think about it! Share it to your friends and learn new things together.
Transcript
Page 1: 113 sawaal o jawaab 25072010

http://www.tangali.net

Publicatie 113

Sawaal-o-Jawaab 25-07-2010 met

Page 2: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net

Sawaal-o-Jawaab metTaajush Shari'ah Mufti Muhammad

Akhtar Rida Khan al-Qadri

Assalamu Alaikum wa raHmatullahi Ta'ala wa Barakaatuhu

Tou Ae Lougon Ilm walon se poocho agar

tumhain Ilm nahin

25th July 2010 [ Jeddah - Hijaz al Muqaddas ]

Urdu | Roman | English

Page 3: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

Question 1: Badmazhabon ki Masjid main agar kisi nay imamatkarwanay ko kaha k paish Imam ki tabiat kharab hay waghaira kya aisisoorat main agar koi Sunni hazir na ho to kya hamm Imam ban saktayhaiN?

Answer: Yai saael ka sawal bohat mubham hay agar koi Sunni hazir naho to aisi soorat par b phir yai poochtay hain k hamm Imam ban saktayhain to hamm say kon murad hayN? Ghair e Sunni agar murad hay, aurzahir to yai nahi hay k Ghair e Sunni murad hoga. Hamm say muradbahar haal wazeh nahi hay, aur qareena yai hi hay k saael Sunni hayussne apni Imamat k baaray main poocha hay. Tou badmazhabonka Imam ban’na iss ki ijazat nahi hosakti. Agar wahan par saaray ksaaray badmazhab hain to wahan par Imamat karnay ka kya mahal hay.Unn (Badmazhabon) ki apni namaz durust nahi hay, wo khwaah tanhaparhain ya kisi ki Imamat main parhain khawaa koi Sunni unn kaImam ya unn jaisa koi Badmazhab Imam ho, agar Badmazhabi Hadd eKufr tak pohanchi ho to aam taur par aaj kal Kafir (aur) Badmazhabdono lafz aik doosray k mutaradif bolay jatay hain. Ab agarBadmazhabi Hadd e Kufr takk pohanchi hay to unn ki Imamat karnayka koi sawal hi nahi uThta.

Download

Question 2: Tawaf kartay waqt shuru k teen chakkar main seedhakaandha khula rakhna chahiyai ya saat chakkar younhi hi karnaychahiyai, aur seedha kaandha khula rakhnay main kya hikamt hay?

Answer: Hikmat kya hay yai sawal to bay-jaa hay. Hamko hikmatmaaloom ho gaee kisi hukm ki yai ALLAH tabarake ta’alaa ka hammpar ehsaan hay, warna hamari zimmaydaari yai hay k jo hukm ham kodia gya hay hamm uss ki ta’meel karain aur uss ko adaa karain. AursaatoN phairon main seedha khula rahay ga tawaaf shuru kartay waqtsay lay kar k khatam tak yai uss tawaf ka hukm hay k jis tawaf k baadsa’ee hay, jese Umrah men ya Hajj k liye yai tawaf kia jata hay iss kbaad sa’ee hay uss main seedha kaandhaKholna(mumty)/Orhna(imran) Sunnat hay. Aur jiss tawaf k baad sa’eenahi  hay  jaisay  nafli  tawaf  ho  uss  main  istiba’  ka  seedha  kaandhakholnay ka hukm nahi hay.

Page 4: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

Download

Question 3: Muslim auraton k liay Kafira auratain kya ajnabi insan kicategory main aateeN hain, ajnabi auraton say ta’luq kaisay rakhnachahiyai?

Answer: Saael nay yai bohat aham sawal poocha hay. Main iss ka jawabdainay say pehlay munasib yai samajhta hoon k Surah Noor kiwo Aayat e Kareema tilawat karoon jis main parday k Hijab e Shar’ee kahkam bohat nafees andaz main mukhtasar kalemat k tehet bohat sayahkam ki tafseel mukhtasar alfaz main kar di gaee hay aur ussi main‘aghyaar ki auraton k saath kya bartao’ aur  ‘Musalmanon ki Muslimauraton ko unn k saamnay kis taur par aanaa chahiyai’ uss ki taalem uss(ayat) main numaayaaN hay. Quraan e Shareef main irshad hota hay

“Aur Musalman auraton ko hukm do k apni nigaahain kuch neechirakhain, aur apni paarsaaee ki hifazat karen, apna banao aur singhaarna dikhayain, magar jitna khud hi zaahir hay, aur dopattay apnaygiraybanoN par dalay rakhain, aur apna singhaar zahir na karaiN,magar apnay shoharon par ya apnay baap ya shoharon k baap ya apnaybaitay ya shoharon k baitay ya apnay bhai ya apnay bhatijay ya apnaybhanjay ya apnay Deen ki auratain ya apni kaneezain jo apnay haath kimilk hon ya nokar ba-shart ye k shehwat walay mard na hoN ya wobachay jinhain auraton ki sharm ki cheezon ki khabar nahi, aur zameenpaon zor say na rakhain k jana jayai unn ka chup hua singhaar, aurAllah ki taraf tauba karo ay Musalmano sab k sab iss umeed par ktum falah pao” [Surah Noor, 24:31]

Yai bohat nafees tarjuma hay iss say bohat saaray ahkaam auraton kmuta’liq  jo  hain  unn  k  libas  k  mutalliq  aur  unn  ko  dupatta  kaisaauRhna chahiyai aur dupattay k auRhnay say kya maqsad hay aur iss ksaath saath yai k Kaafira auraton k samnay unn ko kis taur say aanaachahiyai yai iss Ayat e Kareema say khoob wazeh ho gya ho ga. Aur isssay  yai  b  pata  lagta  hay  k  jo  Shar’ee  Hijab  ka  hukm  aurat  ko  namehram aur ajnabi mard k saamnay dia gya hay k wo Shar’ee Hijabbarte aur apna sarr aur apna, gala, seena, pait ya peeth ya pindliwaghaira zahir na karay, iss hukm main Kafira aurtaon ka b wohi hukmhay unn k saamnay b Musalman aurat ko bay-ahtiyati k saath iss

Page 5: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

taur par k kalaee khuli ho ya galaa khula ho seena khula ho ya pait yapeeth ka kuch hissa nazar aataa ho ya sarr khula ho uss ko kafiraauraton k saath iss taur par jana jaaez nahi hay. Iss silsilay mainHazrat Umar Radi allahu tabaraka ta’alaa anho apnay aik Governer kolikha wo mein Khazain ul Irfan, Hazrat e Naeem ud Din Muradabadi kiTafseer jo Kanzul Iman pay avaialable hay, uss ko main paRhwa kar kaap ko sunwata hooN aur iss Aayat e Kareema ki mukhtafsar Tafseer bparhi jayai gi, usko aap log sunen ye ap logon k liay ghayat darjamufeed hay “Aur Musalman auraton ko hukm do k apni nigahain kuchneechi rakhain kuch neechi rakhaiN” ki Tafseer main farmaya gaya

“aur Ghair Mardon ko na daikhain, Hadees shareef main hay k Azwaaje Mutaaharaat main say baaz Ummahaat ul Momineen Syed AalamSallallaho alaihe wassallam ki khidamat main then, ussi waqt IbnUmme Makhtoom aayae, Huzoor nay ajwaaz ko parday ka hukmfarmaya to unhon nay arz kia k wo to naa beena hain to aap nayfarmaya k tum to na beena nahi ho, iss Hadees shareef say maloom huak auraton ko b na mehram ka daikhna aur k uss k samnay hona jaeznahi”.  “Aur  apni  paarsaee  ki  hifazat  karain  aur  apna  banao  nadikhayain”  iss  main  banao  na  dikhayain  ki  Tafseer  main  farmaya“aZhar yai hay k yai hukm namaz ka hay na nazar ka q k Hurra (yaniazaad aurat) ka tamam badan aurat hay, shohar ya mehram k siwa aurkisi k liay uss k kisi hissay ka daikhna bay-zaroorat jaaez nahi, aurmuaalija waghaira ki zaroorat say ba-qadr e zaroorat jaaez hay”. Yaanilady doctor ko ya doctor agar gent ho to us men agar zaroorat ho aurbaghair daikhay ilaj mumkin nahi hay to jis hissay ka dikhana na jaaeznahi hay wo ba qadr e zaroorat uss ko daikh sakta hay. “magar jitnakhud hi zahir hay aur dopattay apnay giraybano par dalay rakhain aurapna singhar zahir na karain magar apnay shohar par ya apnay baap”magar jo jitna khud hi zahir hay yaani haath aur pair azad aurat kapoora badan aurat hay aur hath aur pair iss say mustasna hain is liye kye khud hi zahir hen, laikin haath k ooper jo kalaee hay uss ka dikhanajaaez nahi hay aisay hi pair k ooper pindli ka kholna jaaez nahi hay. “yaapne baap” ki Tafseer mein farmate hen k “aur unhi k hukm main haindada pardada waghaira tamam usool” yaani baap dada pardada jitnayusool  hain  wo  unhi  k  hukm  hain  sab  baap  k  hukm  men  hain.  “yashoharon k baap” aur shoharon k baap k hukm ki Tafseer main hay k“wo bhi mehram ho jatay hain” shoharon k baap b mehram aur dadapardada (bhi mehram). “ya apnay baitay” (jiski Tafseer hai) “aur unhik hukm hay k unn ki aulad” unhi k hukm main unki bhi aulad hai. “yashoharon k baitay” (Tafseer) “k wo b ab mehram ho gaey”. “ya apnaybhaee ya apnay bhateejay ya apnay bhaanjay” (jiski tafseer hai) “aurunhi k hukm main hain chacha maamoN waghaira tamam Maharim”.Hazrat Umar Radi Allahu Anh ne apne kisi Governor, wo Governor konthay Abu Ubaida ibn Jarrah jo iss ummat k Ameen hain, un ko yai

Page 6: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

likh kar k bhaija k “Kuffaar Ahle kitaab ki auraton ko Musalmanauraton k saath hammaam main daakhil honay say mana’ karain, isssay maaloom hua k Musalma aurat ko Kafira aurat k saamnay apnabadan khona jaaez nahi, masla: Musalman aurat apnay Ghulam say bmisl e ajnabi k parda karay”. [Tafseer Khazain al Irfan - Surah Noor :31]

Download

Question 4: Huzoor main aap ki mureed hooN, mujhay apni shaadi saykuch maah pehlay yai ittelaa mili k meray honay walay shohar k aksarrishtay daar badmazhab hain mujhay uss ki bimaari ka b pata tha.Shadi k baad wo mujhay martay peet’tay hain gaaliaan daitay hain aurmujh par fahash ilzam lagatay hain. Main nay unn k aqaaed sudhaarnayki bohat koshish ki magar naa kaam rahi. Mujhay unn k badmazhabrishtay daron ko b izzat daina parthi hay aur unn say milna paRta hay,ab main aur bardaasht nahi kar sakti aur unn say alag hona chahtihooN. Meray liay kya hukm hay.

Answer: Saa’elaa nay yahan par chand baatain zahir keen, jis main aikbaat jismani bimaari ki hay khair uss say yahan par behes nahi hay, aikbaat jo khaas hay jis ko uss nay aakhir aa kar k bol dia yai uss k aqaaedko durust karnay ki uss nay koshish ki, to iss say pata lagta hay kshohar k aqaaed biwi ki aqaaed k mawafiq nahi hain aur wo Ahlesunnatwal Jamaat k mutabiq aqeeda nahi rakhta. Agar yai waqaee baat hayaur wo badmazhab hay aur uss ki badmazhabi hadd e Kufr takkpohanchi to yai nikah asalan nahi hau. aur uss k ooper yai farz hay kforan uss say juda ho jaaey aur uss k fasq ka uss ko ikhiyaar hay aurfasq ki b iss ko zaroorat nahi hay k nikah asal hua hi nahi. Aur agar usski badmazhabi hadd e Kufr tak nahi pohanchi aur yai bohat naadir hay,aaj kal Wahabia waghaira ki badmazhabi hadd e Kufr takk pohanchchuki hay naadiran maan lia jayai k uss ki badmazhabi hadd e Kufr takknahi pohanchi to iss soorat main jab uss ko yai maaloom hua k uss kashohar badmazhab hay aur yai Sunni Sahi ul Aqeeda baligha hay tobaaligha ka nikah iss soorat main wo badmazhab iss Sunnia ka Kufunahi hay aur baaligha ka nikaah ghair e Kufu say Wali ki Ijazat eSareeha k baghair, k Wali uss ko ghair e Kufu ko ghair e Kufu jantayhuay uss say nikah e sareeha ki ijazat day iss par baaligha ka nikahmauqoof hay. Agar Wali ki ijazat e sareeha k baghair k agar Wali nayuss ki ijazat sareeha nahi di ya jabb uss say nikah hua Wali ko uss kaghair e Kufu hona maloom nahi tha aur sawal say yehi zahir hay k naaurat ko maloom tha na uss k Wali ko maloom tha to iss soorat mainyai nikaah sarahatan Ghair e Wali say hua bay-raza e Wali hua yahan

Page 7: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

par Wali ki raza mafqood hay, lehaza riwayat e muftabehi yai nikahasalan sahi nahi hua aur iss soorat main b fasq ki zaroorat nahi hay issliay k nikah jabb aslan hua hi nahi to fasq kis baat ka kia jayai ga.

ghair e Kufu main yai fatwa dia jata hay aslan nikah sahi nahi hay auryai hi fatwe k liay mukhtar hay fasad e zamana ki wajah say Durr eMukhtar main aisa hi farmaya. [Durr e Mukhtar, Vol 1, Page 191]

Lehaza iss soorat main wo azad jis Sunni Sahi ul Aqeeda say chahay wonikah kar sakti hay, albatta qanooni chara joee say bachnay k liay woqanooni taur par uss say chuTkara haasil kar sakti hay agarche qanoonitaur par jo courts say talaq li jati hay wo talaq nahi hoti hay laikinyahan par to nikah sahi nahi hua hay iss liay uss ko ijazat hay qanoonichara joi apni gulu khalaasi k liay kar lay.

Download

Question 5: Insurance karwana aur uss ka kaam karna kaisa hay? kuchmazhabi logon say suna k na jaaez aur haram hay, agar aisa hay to usski wazahat farma dain.

Answer: Insurance ki kuch sooratain aisi hain jo zaroorat aur haajat kimanzilay main aati hain, aur iss soorat main jo mubtala hay uss k liayinsurance ki ijazat hay. Maslan gaaRi ka insurance k road par gaaRi aahi nahi sakti jabb takk k insurance na ho aur agar baghair insurance kgaaRi chalaee to uss k nuqsaanaat bohat zyada hotay hain, uss saybachnay k liay iss zaroorat k tehet insurance ki ijazat hay aur naukri kmutaaliq mutalqan adam e jawaz ka hukm nahi dia ja sakta, uss mein byai hay k jo soorat insurance ki jaaez hay uss ki taur par uss ki jazat hosakti hay albatta agar iss naukri say bachay k iss main bohat sisooratain adam e jawaz ki hain, to uss ki yai sabeel hay to uss saybachna chahiyai.

Arz: Life Insurance (Beema Policy) ka kia Hukm hay?

Irshad: Life insurance ka hukm yai hay k jo company Ghair Muslimonk qabzay main hay kul ki kul uss main koi Musalman kisi taur parshareek nahi hay uss main beema karana jaaez hay Musalman ko, issliay k jo ziadati milti hay government ki taraf say ya company ki tarafsay yai wo maal hay jo Kaafir say Musalman ko mehez uss ki riza sayuss ki taraf say bad-ahli k baghair milta hay, aur aisa maal jis mainMusalman ki taraf say koi bad-ahli na ho aur khalisan uski riza se

Page 8: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

milay wo musalman k liay khalis mubah hay.

Download

Question 6: Zaid k paas zameen thi uss nay uss ko baicha jis main ussko paanch laakh rupay milay, ussi raqam ko uss nay fixed deposit mainrakha aur fixed deposit main rakhay huay ussay abhi sirf chaar maahhuay hain kya kya Zaid ko zakat ada karni ho gi?

Answer: Saal guzar jaanay k baad uss par zakat ho gi laikin iss kiadaa’egi saal ba saal uss par zakat wajib hoti rahay gi aur adaa’egi usssoorat main ho gi jab k usko ba qadr e nisaab ya nisab k 1/5 qabzaymain uss k aa jaayai, ab jitnay saal ki uss par zakat wajib hui wo adakaray ab agar Mojooda Saal ki bhi ba qadr e nisaab baqi hay to uss ki bZakat ada karay.

Download

Question 7: Chishtiya silsilay k baani kon hain? aik kitab main Masalikut Tarikeen k hawalay say likha hay k Chishtiya silsila Hazrat KhwajaAbu Ishaq Chishti alaihe rehmat o ridwan say shuru jab k awam mainKhwaja Mueen ud Din Chishti alaihe rehmat o ridwan hi ko banisamjha jata hai, rehnumaa’ee farma dain.

Answer: Iss silsilay main mujhay sar e dast koi tehqeeq nahi hay.

Download

Question 8: Kia harr Nabi paidaeshi Nabi hay aur Nubuwat ka a’elaanchalees saal ki umar main hota hay ya chalees saal main Nubuwat miltihay?

Answer: Paisdaaeshi Nabi to channd huay, aur hamaray Sarkar AbadQarar sallallaho tabaraka wa ta’ala alaihe wassallam sabb say pehlayNabi hain aur saaray Ambiya say pehlay Ap ka zahoor hua aur jab hisay Aap ko mansab e Nubuwat ataa kia gaya.

“Main  Nabi  tha  jab  k  Adam  Ala  Nabiyina  wa  salat  o  tasleem kaKhameer tayyar nahi hua tha aur wo Rooh aur Jasad k darmyan thay”.

Page 9: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

[Sunan Tirmidhi, Vol 13, Page 189, Hadith 3968]

“Adam apnay Khameer main thay k Main uss waqt Nabi tha”. [Kashfal-Khifa, Vol 2, Page 1012, Hadith 2017]

Mukhtalif qism ki riwayataiN iss silsilay main aayi hain, aur Ayat eKareema say yai ma’naa unn ahadees ka ya ma’na uss Ayata e Kareemasay saabit hota hay

“yaad karo jab ALLAH nay NabioN say yai wada lia tha ko jo uss kitabaur hikmat tum ko doon, phir tumharay paas tashreef lay aayai woRasool jo tumhaari kitabon ki aur Nubuwaton ki tasdeeq karta ho totum uss par zaroor Imaan lao gay aur uss ki madad karo gay” [SurahAal-Imran, 3:81]

Iss Ayat e Kareema say yai saabit hota hay k ALLAH tabaraka wa ta’alanay Alam e Arwah mein Huzoor Sarwar e Alam sallallaho tabaraka wata’ala alaihe wassallam k saath uss Ambiya ki Anjuman main Sadr eAnjuman MUHAMMAD UR RASOOLLULLAH sallallaho tabaraka wata’ala  alaihe  wassallam  ko  banaya  aur  Ambiya  say  ehed  lia  k  yai  joTumharay Sadr hain, (yani) MUHAMMAD UR RasoolUllah, MEIN(ALLAH) Tum ko Nubuwat daita hoon iss shart par k aalam e ajsaammain agar yai tumharay Nubuwat k period main agar yai zahir huay toinn par eemaan lao gae aur inn ki madad karo gae. To sabb nay kaha,abhi wo keh nahi paayai thay iqrar nahi kar payai thay k ALLAHtabaraka wa ta’ala nay sabqat kar k ALLAH nay poocha k “kya inn kaiqrar  kartay  ho”to  sabb  nay  “ham  sabb  nay  iqrar  kia”.  ALLAH  nayfarmaya  k  “ab  aapas  main  gawah  ho  jao  iss  baat  par  aur  MEINTumharay saath hoon gawah mein”.

Hazrat Taqi ud Din Subki ne At-Ta’zeemu wal Minnah mein Huzoor kiAzeem ul Qadr Fazeelat aur Azeem Khoobi o khususiat ko iss mainzaahir  kia  hay  aur  chalees  saal  ka  arsa  guzarnay  k  baad  ae’laan  eNubuwat Sarkar nay farmaya.

Download

Question 9: Zaid nay zakat k paisay Dar ul Uloom k counter par iss liaydiay k uss ki zakat adaa ho jayai aur uss ko zakat k sawab k ilawamadarsay main istemaal ka b sawab milay. Bakar nay yai kaha k zakat

Page 10: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

to ada ho jayai gi laikim madarsay ka sawab nahi milay ga, madarsayko dainay ka sawab to ussay milay ga to jis ko heelay k liay zakat digaee aur wo madarsay ko chanda day ga, agar madarsay ko dainay kasawab chahiyai to apnay saaf paisay say madarsay ko chanda do. Kyabakar ka kehna theek hay.

Answer: Bakar ka jawab mutlaqan sahi nahi hay uss k jawab k pehlajuzz k  ‘zakat  to ada ho gaee’ yai mutlaqan sahi nahi hay. Zakat usssoorat main adaa ho gi jab k faqeer e Muslim ko maalik banaya uss nayuss ko day kar k kaha k ‘yai paisay tumhari milk hain jo tum chahokaro’ aur phir uss nay apni riza say madarsay ko day diay iss sooratmain zakat adaa ho jayai gi. Aur doosri baat jo bakar nay kahi madarsayko dainay ka sawab nahi milay ga yai b ghalat hay, Heelaa eShar’ee k zariay say zakat b adaa ho jayai gi phir zakat dainay walayfaqeer e muslim ko yai kaha k ‘tum chaho to falaaN madarasay ko daydo’ iss soorat main uss miskeen aur faqeer ko b dainay ka sawab milayga aur iss ko b apnay iss nek amal ki talqeen ka sawab milay aur uss kdainay ka b sawab milay ga. Hadees main yai farmaya

“ jo Islam main koi achi baat karay ya uss baat ko karnay k liay kahay touss k liay uss ka ajar hay aur jo uss k batanay par jo aadmi uss par amalkaray uss ka uss k liay ajar hay, qayamat takk jitnay log uss par amalkartay rahain gae sabb ka sawab iss k naamaa e aamal main ho gabaghair iss k keh unn k sawab main say koi kami ho”. [Sahih Muslim,Vol 8, Page 390, Hadith 2566]

Download

Question 10: Imama shareef kis simt main baandhna chahiyai aurshimla right side say nikaalna Sunnat hay ya left side par kya imamay kneechay say Topi nazar aanaa chahiyai?

Answer: Imama bandhnay ka tareeqa yai hay k beech sarr main imamarakhay aur uss k baad uss pait daahni taraf say lay kar k baaein taraf layjayai iss taur par jo hay wo gird e sarr bandhay aur Imamay ka aik hissasarr k ooper rakhay jiss say poora sarr khaas taur par yai haamaa jis kokhoopRi kehtay hain Urdu main yai dhakk jayai aur Imamay k neechaysay Topi nazar aayai agar beech sarr say aati hay to yai ehtijar hay isssoorat say namaz Makrooh e Tehreemi Wajib ul I’ada hogi. Aur agar yaiTopi dayaiN baayaiN say nazar aati hay to yai b acha nahi hay uss kopooray imamay ko gird e sarr aur ooper uss k pait hona

Page 11: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

chahiyai.

Download

Question 11: Hamaray yahan aam riwaj hay k 15 Sha’ban ko Maghrib kinamaz k baad 6 nawafil parhay jatay hay aur harr 2 nawafil k baadYaseen shareef parhi jati hay kuch log shirk aur biddat kehtay hain, kyanamaz parhna b shirk aur biddat hay?

Answer: Inn logon ko shirk k ma’nay hi nahi maloom, Shirk yai hay kALLAH tabaraka wa ta’alaa ki Zaat main kisi ko shareek Tehraayai yauss ki Sifaat main kisi ko shareek Tehraayai. yai harr kaam ko Shirk kehdaitay hain inn k taur par yai laazim aataa hay k inn ka Mauhoom aurFarzi Khuda wo ho ga jo haath pair wala ho ga aur jiss k ooper koiKhuda ho ga wo uss ki namaz parhta ho ga. Hamara Khuda aisamauhoom haath pair wala nahi hay aur uss k ooper koi Khuda nahi hayjis ki wo namaz parhay. Aur iss ko Bid’at  kehna  b  inn  ki  Bid’at  eBayhooda aur Bid’at e Mazmooma hay namaz ko Bid’at kehna naa jaaezaur haraam hay, koi namaz jo hay ALLAH aur RASOOL nay jis saymana nahi farmaya wo haram nahi ho sakta, namaz to namaz hay.

Download

Question 12: 15 Sha’ban hi ko bohat say gharoN main halwa pakaya jatahay iss ka kuch log mazaq uraatay hain aur ye bhi kehte hen k logbhookay hain aur tum log halwa kha rahay ho, jabb k hamm nay sunahay k SARKAR alaihe salato wassllaam Shireeni yaani meetha pasandfarmatay thay, Hazrat aisay logon ko jawab main kya farmayain?

Answer: Yehi jo Sarkar Sallallaho tabaraka wa ta’ala alaihe wassalamasay suna saael nay poocha k jawab main bass hay k Huzoor Sarwar eAalam Sallallaho tabaraka wa ta’ala alaihe wassalama ko Halwa aurShehed pasand thaa, hamm unn ki Sunnat ko zinda rakh rahay hain aurhamain unn ki Sunnat pasand hay, hamm barkat wala din mein unn kiSunnat ka ahyaa kar rahay hain aur Halwa paka rahay hainapnay aa’izza ko aqriba ko aur yateemoN ko aur miskeenoN ko khanakhila rahay hain jis ki yai b bajayai khud aik fazeelat hay aur Sunnathay aur Bukhaari ki Hadees main aayaa hay k

“logon ko khana khilana”. [Sahih Bukhari, Baab It'aam al-Ta'am, Vol 1,

Page 12: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

Page 26]

Aur QURAN e Kareem main b iss ki fazeelat muta’did aayaat main aayihay uss ka mazaq uRana aur uss ko naa jaaez o haram kehna balkay ussko shirk o biddat kehna yai sakht jahaalat aur sakht gumrahi hay.

Download

Question 13: Kya SYED say kufr ho sakta hay? Q k bohat saray naam kSyed badmazhab bhi hain, kya hamm unn say rishta rakh saktay hain?Syed ko hamm kis tarah say pehchan saktay hain?

Answer: Kufr jis say b sar zad ho ma’az ALLAH wo uss main kisi kiri’ayat nahi hay albatta yai umeed hay, aur koi yaqeeni aur qat’i baatnahi hay yai aqeeda nahi hay, k jo Sahi un Nasab Syed hay jis ko Sarkare Abad Qarar Sallallaho tabaraka wa ta’ala alaihe wassalama say sachisachi Nisbat hasil hay aur yai Nisbat bohat aik Amr e Ghaibi hay jonihayat dar nihayat posheeda hay. yai iss ka ilm hona aur iss katayyaqun hasil hona yai bohat mushkil hay aur muhaal e aadi k qareebqareeb uss ki manzil main hay. Hamain kaisay ilm ho, Syed to darkinaar, k falaan ki nisbat falaan tak bilkul aisi sachi pakki hay k ussmain koi shubah aur ikhtilaaf aur kisi shakk ki gunjaaesh nahi yai aikamr e ghaibi hay, is amr e ghaibi par ALLAH tabaraka wa ta’alaa k siwaaur jis ko WO chahay apnay bandon main say unke siwa ko b ittelaanahi hay. Jis ki aisi sachi pakki Sarkar say nisbat ho uss k liay yai hay kuss say INSHAA ALLAH kufr sarr zadd nahi ho ga aur uss ka Khatmabil Imaan par ho ga. Ab jo apnay aap ko Syed kehta hay ya apnay aap koPathan kehta hay ya apnay aap ko Shaikh kehta hay ya koi apne aap koFarooqi kehta hay ya koi apne ap ko Siddiqui kehta hay, log apnayapnay nasab k maamlay main maamoor hain unn say unn k nasab kmaamlay jhagra nahi kia jayai ga unn ko bila wajah jhoota nahi kahajayai ga unn ki takzeeb nahi ki jayai gi, jo apnay aap ko jaisa batata haywaisa hi maana jayai ga jabb takk Daleel e Shara’ say yai saabit na ho kyai Syed nahi hay ya yai Pathan nahi hay ya yai iss qaum ka nahi hay.Ab rahi baat k kisi say Kalma e Kufr sarzadd hota hay wo chahay Syedkehlata ho ya koi aur ho to wo iss maamlay main aam Musalmanon kitarah hai, jo ahkam aam Musalmanon k hain iss k b hain. Jiss taur paraik Ghair e Syed chahay samaj k aitibaar say kitna hi neecha ho kuch bho uss par hukm jari ga wohi Syed par b jari ho ga. Ahkam eKhudawandi jo ALLAH aur Rasool k ahkaam hain, is waja se k ye Syedsahb hen, utha kar k rakhe nahi jaenge. Aur issi waja se ye hai jo bohotsaare naam k Syed hen unse kufriat waqe hue wo apni nisbat kho bethe.Ab unka Syed hona darkinar, aam Musalmanon mein aik

Page 13: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

Musalman ki jo izzat hai aur hesiat hai wo bhi Musalmanon k dilonmen unke liye nahi hai.

Download

Question 14: Harr Isalmic maheenay main din kab badaltay hain?Kuch Ulama kehtay hain k Maghrib main din badalta hay.

Answer: Mafghrib hi k waqt din badalta hay, iss liay k Shar’an din johai Subh e Sadiq say lay kar k Ghuroob e Aftaab tak yai Nahaar eShar’ee hay, aur Nahar e Urfi Tulu e Aftaab say lay kar k Ghuroob eAftaab tak hay, jab Ghuroob e aftab ho gya to din khatam ho gya auraglay din ki raat shuru ho gaee lehaza din badal jayai ga.

Download

Question 15: Haraam raqm ko bina kisi sawab ki niyyat say day dainachahiyai to kya yai haraam raqam bina sawab ki niyyat say achay kaamjaisay k ijtimaa waghair main use kar saktay hain?

Answer: Haraam raqm ka masraf Faqeer e Muslim hay, Faqeer eMuslim ko wo raqm day dai ab wo apni khushi say kisi masraf paykharch kar day ya uss ki ijazat say kisi doosray masraf pay kharch ki jasakti hay.

Download

Question 16: Hamaray sheher main bohat saaray log Soula (16) Syed knaam say rozay rakhtay hain, yai harr maheenay ki solahween tareekhko rakhtay hain aur Soula Syed ki kahani sunatay hain aur Soula rozaykhatam honay par Soula Ayed k naam say fateha dilatay hain, iss kikuch haqeeqat hay?

Answer: Yai Soula Syed ki kahani yai to bay-asal hay aur roza fi nafsihijaaez hay mustahab hai uss say mumane’at nahi ho sakti, laikin yaiSoula SyedoN ka roza iss ki koi asal nahi hay.

Download

Page 14: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

Question 17: Shadi k baad biwi k saath maaN baap say alag ho janakaisay hai jab k unn ki madad kartay rahaiN?

Answer: Agar koi zaroorat ya haajat e shariah aisi na ho k jo maaNbaap say alehdagi par majboor karti ho to unn say alag na ho, agar kisizaroorat k tehet ya haajat k tehet wo alag hua laikin unn say raabtarakha aur unn ki madad aur unn ki khidmat karta raha to yai alehdaginahi hay yai jaaez hay, aur iss taur par unn k saath raha k unn saygharz nahi hay rehta unhi k saath hay unn say gharaz nahi unn kimadad nahi karta unn k kaam nahi aataa unn ka kehna nahi manta, toagarche saath rehta hay yai alahedagi ki soorat hay yai soorat jaaeznahi.

Download

Question 18: Kya ham Chaand ki shahadat video call par lay saktayhain.

Answer: Na-Jaaiz hay.

Download

Question 19: Mard heeray ki angoothi pehen sakta hay, Jis mainpathar ki jagah heera laga hua ho?

Answer: Heeray ki Angoothi se kia Muraad hay?

Arz: Ya'ni patthar ki jageh Heera laga ho.

Irshad: Iss main to harj nahi maaloom hota jab k aik hi nagg ho, aurangoothi chaandi ki ho sarhe chaar maashay say kamm ki aik nagg aikangoothi mard ko jaaez hay.

Download

Question 20: Kisi k paas rehnay k liay bohat bara aur wasee’ makan hojo uss ki zaroorat say zaayed ho to kya uss ki maaliyat par b zakat dainiho gi?

Answer: Uss par zakat nahi hay jabb k wo makan uss k rehnay ka hay.

Page 15: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

Download

Question 21: Kuch logoN ko yai kehtay suna k ‘Islam main daarhi hay,daarhi main Islam nahi hay’ aisa kehna kaisa hay?

Answer: ‘Islam main daarhi hay’ iss ka to matlab yai hua k Islam maindaarhi ka hukm hay. Aur ‘darhi main Islam nahi hay’ iss say uss ki kamurad hay k ‘daarhi main islam nahi hay’? Agar yai kehna chahta hay kIslam k ahkam daarhi pay munhasir nahi hain to yai aik sahi baathay aur sahi ma’na hain, aur agar iss say daarhi ka radd karna chahtahay jabb k uss ko pehlay hukm e Islam maan chuka hay to yai aikghalat e fasid hay, aur ab apni murad ko zahir karay jo uss ki murad hogi jaisi bara’t, agar acha ma’na hay to sahi hay agar murad koi burama’na hay to yai qaul na jaaez.

Download

Question 22: Kya nahaanay say k baad wuzu ki zaroorat hay yanahanay say wuzu b ho jata hay?

Answer: Nahanay say wuzu ho jata hay aur wuzu to pehlay hi kar lainachahiyai uss k baad nahayai, aur nahanay k baad wuzu ki zaroorat nahihay albatta agar koi aisi zaroorat paish aayi k jis say wuzu nahi raha toab wuzu aap hi karay ga.

Download

Question 23: Kya qayamat ki nishanion main b aisa koi zikr hay kMasjid k aas paas main oonchi imaratain banaiN gi?

Answer: Aasaar e qayamat main bohat sari baatain hain unn main aikyai b hay k Sarkar nay farmaya k tum masjidoN ko Muzakhraf aurmuzayyan karao gae. Aur yai lafz mujhay iss waqt yad nahi hay, yai b hosakta hay. Albatta oonchi imaraton par fakhr karna yai to Sarkar naybayaan kia Bukhari aur Muslim ki Hadeeson main yai hay Jibreel eAmeen se jab poocha qayamat k baaray main to Sarkar nay farmaya

[Sahih Bukhari, Vol 1, Page 97, Hadith 50]

Page 16: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

Ya'ni jis say sawal kia jaa raha hay (qayamat k baaray main) wo saaelsay qayamat k waqt k baaray main mas’ool anho ka Ilm saael say zyadanahi hay yaani “mera aur tumhara ilm iss ilsilay main barabar hay”. Logiss say nadaan log aur Beemar Dil log iss say yai daleel laatay haink Huzoor Sarwar e Alam sallallaho tabaraka wa ta’ala alaihe wassallamko Ilm e Ghaib nahi ya yai samajhtay hain k Huzoor ko qayamat kawaqt maaloom nahi, haalaaN k ye jumla iss baat ka qareena hay kSarkar ko qayamat k baaray main maloom to hay jab hi to keh rahayhain k saael say zyada mas’ool anho iss silsilay main saael se zyada nahijanta. Yaani bata rahay hain k saael ko b maloom hay aur jis say poochajaa raha hay uss ko b maaloom hay laikin yai hay dono ka ilm issmaamlay main barabar hay, aur yai Hadees hay wo nihayat tarz e lateefsay yai bayaan kar rahi hay k jo poochnay wala Sarkar ki khidmat mainaayaa hay wo haqeeqatan saael nahi hay balkay wohaqaeeqatan jan’nay wala hay aur iss hikmat ki bina par sawal karnahar jagah anjan honay ki aur adam e ilm honay ki nadaan honay kidaleel nahi hoti hay balkay sawal kabhi kabhi kisi aur maslay say kiajata hay. Yahan Jibreel e Ameen aayai thay k Huzoor Sarkar e Alamsallallaho tabaraka wa ta’ala alaihe wassallam ki zaban say zaban e faiztarjuman say qayamat ki nishaaniaan ummat ko maloom ho jayain auryai b maloom ho jayai k Huzoor Sarkar e Alam sallallaho tabaraka wata’ala alaihe wassallam na sirf yai k qayamat ko jantay hain balkay yai bjantay hain k qayamat kab qaaem ho gi laikin uss k saath saath dono koJibreel e Ameen ko aur Sarkar ko iss ki ijazat nahi hay k wo ummat kobatayain iss liay wo bata nahi rahay. Ab yahan par yai poocha to Sarkarnay farmaya k laikin main uss ki kuch nishaaniyaan byan karoon ga,unn nishaniyon main aik nishani Sarkar nay yai bayan ki k tum dekhoge k nangay pair aur nangay badan aur faqeer aur bakrion ko charanaywalay gadariye oojad jo hain inn k haath main paisa ho ga rail pail ho giinn k haath main hakoomat ho gi aur baray baray mehellaat aurimartain yai banayain gae aur unn par fakhar karain gae.

[Sahih Bukhari, Vol 23, Page 331, Hadith 7121]

To iss say pata laga k qayamat k qareeb wo tarz e tameer badal jayai gapehlay tarz e tameer yai thaa k masjidain unn main Gumbad nahi hotaythay masjiden mundi banti theen aur passt hua karti theen, laikin uss kbaad Sarkar ki Hadees say pata laga k jaisay jaisay zamana barhay ga toonnchay do manzilain teen manzilain sau manzilain aur kahan takkhuda maloom wo imaratain banti rahain gi iss liay b ho ga k Masjidneechi ho jayai gi aur ghar wo ooncha ho jayai ga.

Page 17: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

Download

Question 24: Ghusl e Janabat ka kya tareeqa hay?

Answer: Jo ghusl ka tareeqa hay wohi ghusl e janabat ka b hay, ussmain ehtiyaatain A’laa Hazrat nay b bayan ki hain ghaliban Liwa al-Ahkam aik risala hay uss main ehtiyatain bayan ki hain, uss main yai haypooray badan par paani daalay qatray qatray par purzay purzaypar paani beh jayai aur khaas jo a’azaa hain k jin main agar paani qasdannahi dalaa jayai ga to wahan paani nahi bahay ga to unn jaghon parkhaas taur say jaisay pait k neechay aik shikan hay uss ko khol kar k aisayhi dono raanoN k darmyan hay uss ko khol kar k aur issi taur par jahanjahan jo jaghain aisi hain baghal waghair main khol kar k aur iss taur parAap Alaihir raHma ne aik aHtiyat ye batae k jabb tak iss hissay ko nahiuthayai ga paani galay k neechay nahi bahay ga iss hissay ko utha karpaani bahayai aur madmada yani kulli iss taur par karay k poora munhaur munh k daanton waghair main agar koi cheez lagi hui hay to uss kochuRayai aur paani munh main iss taur gardish karay k halaq tak paanipohanch jayai aur Istinshaq iss taur par karayk wo naak main paani chaRhayai, youN nahi k naak main paani soonghaaur soonghtay hi paani phaink dia balkay naak main paani chaRhayai aurnaak ka narm baasaa hay yahan takk paani pohanch jayai yai teenoNbaaten hain rukun hain ghusl e janabat ki, agar iss say agar koi cheez rehgaee to ghusl e janabat nahi utray ga.

Download

Dua and Names of those who entered Silsila Aaliya Qadiriyah

DUA

Tamam Murideen MuHibbeen Mutawassilin ki Janib se Hazratko aur Hazrat k tamam Ahle Khana ko Sahibzada Asjad RazaKhan Sahab k yahan Shahzaday "Muhammad Humaam AhmadRaza" ki Wiladat bohat bohat Mubarak ho! ALLAH KareemShahzaday ko Maslak-e-AlaHazrat ka Pasban banaey Aur Hazratka Saccha Ja Nasheen Muqarrar farmaeyAsad Siddiq ki Walida Naadira Khatoon "Sugar" k Marz meinMubatala hain ... Unki Sehatyabi k liye DUAMeri Zaban mein Luknat hay. Dua farmaey ye khatam ho jaeytou koi wazeefa bhi taleem farmaen.meri biwi ummed se hai dua karey ki delivery normal ho aur isbaar neek aur saleh ladki paida hoMERI BACHOON NAY METRIC AUR INTERMEDIATE KA

Page 18: 113 sawaal o jawaab 25072010

www.tangali.net 1 augustus 2010

IMTIHAN DIAY UN KAY LAIYA PASS HONAY KI DUAAFARMA DAI.EK SAHIB NAY MUJH SAY QARZA LIYA HUVA HAI. 1 MAH(MONTH) BA'AD WAPIS KARNAY KA WA'ADA THA, 7 MAH(MONTH) HO GAI HAI LIKIN MERA QARZA WAPIS NAHIKIYA. DUA FARMAN K MERA QARZA WAPIS MIL JAI MUJAYPAISON KI BUHAT ZAROORAT HA.mai chahta hu ke mai ek momine kimil ki zindgi jiyun hazratmere lie hidayat, iman ki salamati, duniya or akhirat ki bhalai kliye dua farma deinmera zahan bahut kamzor he, mein b.com 1st year me hun,Hafiza Qawi karnay k liye aur Sharh-e-Sadr k liye koi wazifaInayat farma deinTariq Hussain Sahab k liye Halal Kushada Rozgar k liye DUAWasim Khan k 10th august se exam hein. Exam me kamiyabi keliye dua farma dein.Meray 3 Maah k betay (jo aap ka Mureed hay) ki tabi'at theeknahin rehti uski Sehatyabi k liye dua farma dein.Aliabad k liye DUA farmaen. Wahan Maslak-e-AlaHazrat kiTarweej o Isha'at mein rukawatain aa rahi hain.Syeda Aaliya ki Sehatyabi k liye Dua.

Bait

Waseem KhanSyed SanaullahNazeem un Nisa BaigamMohsin KhanZainab KhatoonIqbal Jawed MuhammadJawed Shariq JawedTabassum NaazShaheen Naaz

* Ooper likhay gaey Sawalat wa Jawabat ya Unn ki Roman Composing meinagar koi Galati hui hay tou Huzoor TajushShari'ah iss se baree hain.Choonkay ye kaam kuch loug mil kar Raza karana tour par Anjaam detayhain jis mein Galati ki Gunjaish hay. Agar aap ko koi Galati nazar aaey [email protected] par muttala' faramen. JazakALLAH Kher!