Transcript

ISHQ AATISH

a mystical saga

Ki mene farishton se dilfareb guzarish

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

Ek junoon, ek pagalpan, ek khumar, ek aag, ek khalish

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

Rahe dil mein tadap hamesha-Rahe aankhon mein barish

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

Rahe rooh mein mere us ke ehsas ki larzish

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

Ho zehen mein mere us ke wajod ki gardish

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

Na koi aur tamana, na koi aur khwaish

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

Khojaon us ki deewangi mein, yeh arzo hai dilkash

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

Hai lazawal woh, aur hai pakeezah kashish

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

Karun hasil use- ab nahi hai koi bandish

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

Pyar-Mohabbat-Dillagi, hain khoobsurat saazish

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

Na koi aur arz, na koi aur garz, na koi aur Farmaish

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

Bus karo mere Khuda se tum yehi ek Sifarish

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

Bus jaye Khuda meri Khudi mein- yehi hai koshish

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

Bus miljaye mujhko mera Maula- yehi hai kashmakash

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

Ki mene farishton se dilfareb guzarish

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

ISHQ AATISHISHQ AATISH

ISHQ AATISH - a spiritual pathof self realization that leads to a knowledge of God. Because, God isseen by “eye of the heart”, not by the Intellect.

ISHQ AATISH - a soul polish!A man is a mirror which, when polishedreflects God.

ISHQ AATISH is actually the ‘Unity in God.’

Ki mene farishton se dilfareb guzarish

Na de mujhko Ishq, de Mujhko Ishq Aatish

Thank you!

By: Kapil K. KellaSwang CommunicationAhmedabad

top related